:: kyaa kejiye begam ke haiN armaan ziyaadaa :) ::
Posted: Tue Apr 10, 2007 5:06 pm
Yaaran-e-anjuman , aadaab !
aaj pehlii baar baa-qaai'da aek mizaaHiya hazal paish kar rahaa hooN , ummeed hai k pasand aaye gii ! ;D shukriya !
yeh meeri baa-qaai'da taur par pehlii mizaaHiya koshish hai ! . shukriya
:: Urdu Version ::
:: Roman Version ::
1.
hotaa hai abhii qarZoN pe guzraan ziyaadaa !
kyaa kejiye begam ke haiN armaan ziyaadaa !
2.
ho jaaye na meraa kaheN nuqSaan ziyaadaa !
kartaa naheeN begam ko pareeshaan ziyaadaa !
3.
mat poochh k kyaa Hashr miraa karti hai begam
jab ghar pe kabhii aate haiN mehmaan ziyaadaa !
4.
us roz to beham ke karaaTe naheN pochho !
jis roz police karti hai chaalaan ziyaadaa !
5.
is fikr meiN GhaltaaN hooN, kahaaN sab ko rakhooNga ?
saaloN se kaheeN un ke haiN saamaan ziyaadaa !
6.
tum Husn ka chaaqoo ho, maiN hooN i'shq ka tarbooz !
batlaa'o zaraa kis ka hai nuqSaan ziyaadaa ?
7.
maiN kaise bataa'oN k yahaaN kon HaseeN hai ?
make-up ki naheeN hai mujhe pehchaan ziyaadaa !
8.
khaate howe leader ko jo dekhaa to yeh jaanaa
Haivaan se bhii bhooke haiN insaan ziyaadaa !
9.
pooraa yeh kareN aek hi va'daa to bahut hai !
haaN , qaum se karte raheN paimaan ziyaadaa !
10.
saHraa naheeN, voh ahl-e-siyaasat ka hai eevaaN !
hote haiN jahaaN chaak, gareebaan ziyaadaa !
11.
Allah nigah-baan ho ma'yaar-e-Ghazal kaa !
shaai'r ke to baaloN se haiN deevaan ziyaadaa !
12.
meeThii hai kahaaN tere Zia ki abhi chaaye
dau chaar chamach aur mirii jaan ziyaadaa !
...............................................................................
shukriya
Zia Baloch