Page 1 of 1

Guzarish 27 par Janab Nazir Saheb ki mukhtasar Ghazal

Posted: Tue Apr 17, 2007 4:57 pm
by sbashwar
Mohtarameen ahbaab-e-sukhn
:salaam:
Janaab Nazir saheb ne apni mukhtasar ghazal likhwaii hai, jo main yahan pesh kar raha houN:

Ghazal by Nazir


Mohabbat mein shikast-e-dil kabhi maani nahin jaati
"shab-e-Gham aarzooaoN ki firavanee nahiN jaati"

Dar-e-mehboob tak jab meri peshani nahiN jaati
Nidamat ke sabab sar dar girebani nahiN jaati

Tere faiz o karam ki hadd-e-aakhir hi nahiN koi
Magar daryuzagar ki tang daamaani nahiN jaati

Kuch aisey daag thay iss par jo ab achchay nahiN lagte
Meri tasveer-e-maazi khud se pehchani nahiN jaati

Rizamandi se aaker kyon wo buss jaate nahiN nazir
Dil-e-mehroom ki kyon khana viraani nahiN jaati


Mukhlis
Salem Bashwar

Posted: Tue Apr 17, 2007 8:18 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
mukarram-o-moHtaram S. Bashwar SaHib aadaab-o-tasleemaat! :rose

mushae'irah Guzarish 27 ke liye mo'tabar shae'ir Ustaad-e-sukhan, rehnumaa-e-fan, Janab Abdullah Naz^ir SaHib kee dilfareb Ghazal a't^a farma kar aap ne baRa eHsaan kiya hai. is baat meN koee shubah kee gunjaae'ish naheeN keh moHtaram kee Ghazal kee a'adam maojudagee meN mushae'rah gaoya udaas aor suna suna th~a. agar cheh shu'ra karaam tawatur se GhazleeN pesh farma rahe th~e. qawee ummeed hai keh mazeed GhazleeN bh~ee mushae'lrah kee kamyabee meN aham kirdaar ada kareeN gee.

Ustaad-e-sukhan Janab Abdullah Naz^ir SaHib kee yeh Ghazal ham sab sath~iyooN ke liye kisee tabarruk se kam naheeN. aek t^araf to moHtaram beemaree ke shadeed Hamlah se nabard aazma haiN aor dusree t^araf meelan-e-t^aba' hai keh badastoor "parwarish-e-laoH-o-qalam" kiye jata hai. aafareeN hai. is SaHib-e-sukhan peh. meree dua'a hai. keh khuda wand aap ko daraazee-e-u'mr se nawaze. aor aap ne jis buland himmatee aor jawaaN mardee ka cuboot faraham karte huwe apnee i'lalat aor Z^ae'eef ke daoraan Ghazal saraee se haath~ nah kh~eNcha. dekh~a jae to Ghazal ke mat^la' ke miSra'-e-ula hee se aap ke a'zm, haoSilah, aor iradah kee pukhtagee kee gawahee HaSil kee ja saktee hai.

Mohabbat mein shikast-e-dil kabhi maani nahin jaati
"shab-e-Gham aarzooaoN ki firavanee nahiN jaati"

Bohot khub Naz^ir SaHib waah, waah, lajawaab girah laga ke mat^la' hameshah ke liye zindah-o-jawaid kar diya hai. aap ke jazbe aor himmat ko salaam. :clap01:

Dar-e-mehboob tak jab meri peshani nahiN jaati
Nidamat ke sabab sar dar girebani nahiN jaati

kiya kehne waah, waah, bohot khoob janab! :clap01:

Tere faiz o karam ki hadd-e-aakhir hi nahiN koi
Magar daryuzagar ki tang daamaani nahiN jaati

kiya kehne waah waah, kiya khoob farmaya hai. waah. waah, :clap01:

Kuch aisey daag thay iss par jo ab achchay nahiN lagte
Meri tasveer-e-maazi khud se pehchani nahiN jaati

Bohot khoob, kiya achch~a hai waah, waah, :clap01:

Rizamandi se aaker kyon wo buss jaate nahiN nazir
Dil-e-mehroom ki kyon khana viraani nahiN jaati

kiya kehne, waah waah bohot khoob mat^la' kaha hai. waah, waah, :clap01:

aap kee is Ghazal par khuda kare keh aek zamanh daad-o-teHseen ke ph~ool nich~awar karta rahe. meree dua'a hai. keh hamare moHtaram ko duniyaa-e-shae'iree meN itna buland martabah a't^a ho keh gaoya aap ka ism-e-mubarak hameshah hameshah ke liye ehl-e-duniya ke dilooN par naqsh ho jae. abh~ee yeh zamanah aap ke maqaam-o-martabah se aagah naheeN. khuda kare keh aap ka andaaz-e-bayaaN aor rang-e-Ghazal zamane bh~ar peh ch~a jae. aap dilooN par raaj kareeN. aap ke ganjeenah-e-lafz^-o-ma'anee se har khaaS-o-a'aam faeZ^ yaab ho jae. (Ameen)

meree janib se is shahkaar takhleeq par dilee dad aor mubarak baad qubool kijiye!

aor Ghazal ke rang meN iz^haar-e-khulooS-o-muHabbat ke liye ham sab mimbaraan-e-UrduBandhan aap ke shukrguzaar haiN.

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar

Posted: Wed Apr 18, 2007 9:45 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Sara JabeeN SaHibah aadaab! :-)

mohtaram Abdullah Nazir SaHib kee Ghazal ko Urdu rasmul khat^ meN likh~ kar aap ne is ka lut^f do aatishah kar diya hai. shukriyah!

lekin aek do jagah typo se gunjaae'sh reh gaee hai. macala"

she'er#4 meN lafz^(aese) iSlaH t^alab hai.
isee she'er#4 meN lafz^ (khud) behtaree chahata hai. ya'nee :khe+wao+daal: yeh kul teen alfaz^ hone chahiyeeN.

aor she'er #2 aor #4 meN lafz^ (naheeN) kee :noon: ka nuqt^ah naheeN hona chahiye. shukriyah!

khush raheeN.
Muz^affar

Posted: Thu Apr 19, 2007 8:27 am
by muhammad_19k
Salam!

Kaash ke maire saamne bhi alfaaz aisi hi haat baandh kar khaRay hotay jaise ke muzaffar sb ke saamne khaRay rehtay haiN toa apne jazbaat ka khoob izhaar kartaa. urdu bandhan meiN shair paRh kar "His e jamaal" ko khourak milti hai oar ustaad mohtaram ki shirkat se rooH baagh baagh ho gayee hai.

such baat to ye hai ke mairi nazar meiN woh gehrai naheeN ke ustaad e mohtaram ke ashaar se SaHeeH mainoaN mein lutf andoz ho sakeeN . Laikin ashaar hotay hi aise zabardast haiN ke mujh jaise bay His insaan ki bhi rooH meiN utar jaate haiN. ab yehi daikhiaye,

"Kuch aisey daag thay iss par jo ab achchay nahiN lagte
Meri tasveer-e-maazi khud se pehchani nahiN jaati "

Bohat Khoob ustaad e mohtaram. Bohat khoob.

Ub kiss kiss shaer ki taa’reef karooN,

Allah kare zor e qalam aor zyaadaa

Dua’aa gao,
Muhammad K. Siddiqui

* Saleem Sb aor Saraa ji, aap donoaN bhi shukriyaa.

Posted: Mon Apr 23, 2007 5:22 pm
by sbashwar
:salaam:
Aap sub loug ka shukria. Nazir sahib ko sabhi PaRhkar suna diya houn.

Re: Guzarish 27 par Janab Nazir Saheb ki mukhtasar Ghazal

Posted: Fri Apr 27, 2007 7:04 am
by haamidbaaqri
sbashwar wrote:Mohtarameen ahbaab-e-sukhn
:salaam:
Janaab Nazir saheb ne apni mukhtasar ghazal likhwaii hai, jo main yahan pesh kar raha houN:

Ghazal by Nazir


Mohabbat mein shikast-e-dil kabhi maani nahin jaati
"shab-e-Gham aarzooaoN ki firavanee nahiN jaati"

Dar-e-mehboob tak jab meri peshani nahiN jaati
Nidamat ke sabab sar dar girebani nahiN jaati

Tere faiz o karam ki hadd-e-aakhir hi nahiN koi
Magar daryuzagar ki tang daamaani nahiN jaati

Kuch aisey daag thay iss par jo ab achchay nahiN lagte
Meri tasveer-e-maazi khud se pehchani nahiN jaati

Rizamandi se aaker kyon wo buss jaate nahiN nazir
Dil-e-mehroom ki kyon khana viraani nahiN jaati


Mukhlis
Salem Bashwar
Assalaam o alikum
mohtaram salim saahib

aapka shukriya keh aapnay ustaad shayer mohtaram abdullah nazir saahib kay kalaam say hameN nawaaza.

bahut khuch seekhnay ko milta hai yahaaN.

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad haazir hai unkay is munfarid kalaam per. :rose :rose :rose :clap01:

mukhlis
haamidbaaqri

Posted: Mon Apr 30, 2007 3:48 am
by Rehana.A


Mohtaram sir! ki ghazal aik arsa baad paRhnay ka moq,aa mila ,
kya baat hey ? mashallah :rose :rose :rose

nahien haien sher yeh un kay,mojhay tasveerain lagtee haien
sabhi haien boolteen , jazoon ki juolaani ki juolaani nahien jaati :grin:

dil ki gahraauon say du,aa nikaltee hey kah Khuda Sirko mojzaana SaHat o
tandrustee dil ki tamaam juolaaniuon kay saath atta farma,ay aur un ka sayaa humaaray saron par salaamat rakhay ,amin sum amin.