A'alami Urdu Conference ke mushae'rah se li gaee aek Ghazal!
Posted: Wed Apr 18, 2007 9:29 pm
Yaran-e-meHfil aadaab!
A'alamee Urdu :Conference: ka teesra salanah ijlaas 23June 06 ko bart^aniyah ke sheher London meN ina'qaad pazeer huwa th~a. yeh sheher a'arSah-e-daraaz se zabaan-o-adab ka markaz raha hai. London meN urdu kee gehmagehmee ka aek samaaN bandh~a rehta hai. chunancheh yeh baat bila khaof-e-tardeed kahee ja saktee hai. keh yeh rawayat barqaraar rahe gee.
is maoqa' par dunya bh~ar se ehl-e-qalam tashreef lae. jin meN Dr.Gopi Chand Narang SaHib, Z^afar Iqbal, aor Iftekhar Arif ke ilawah 80 afraad ne puree dunya se shirkat kee.
teen din par mushtamil is taqreeb meN jahaaN deegar afraad se mulaqateeN hueeN. wahaaN Iftekhar Arif SaHib se bh~ee sharf-e-mulaqaat naSeeb huwa. yeh sare afraad usee HoTal meN Th~ere huwe th~e jahaaN taqreeb ka ehtamaam th~a. is maoqa' par Janab Iftekhar Arif ne mushae'rah meN apnee chand GhazleeN pesh keeN. jo Ghazal mujh~ee wahaaN zeyadah pasand aaee. woh aap dostooN kee khidmat meN pesh kar raha hooN. mushae're meN maiN ne is Ghazal par dil kh~ool kar daad dee. mushae'rah ke ikhtetaam par Iftekhar SaHib ne mujh~e apna deewan (Harf-e-baarYaab) apne dastakhat^ ke sath~ th~ama diya. khaer usee deewaan se yeh Ghazal pesh-e-khidmat hai.
Ghazal
1,
mire khuda mujh~e itna to mo'tabar kar de
maiN jis makan meN rehta hooN us ko gh~ar kar de!
2,
yeh raoshanee ke ta'aqub meN bh~agta huwa din
jo th~ak geya hai. to ab is ko mukhtaSir kar de!
3,
maiN zindagee kee dua'a mangne laga hooN bohot
jo ho sake to dua'aoN ko be acar kar de!
4,
maiN apne khuwaab se kaT kar jiyooN to mera khuda
ujaaR de miree maTTee ko darbadar kar de!
5,
miree zameen mira aakhree Hawalah hai!
so maiN rahooN nah rahooN is ko baar war kar de.