Guzarish 27 -------------- Muhammad K. Siddiqui
Posted: Thu Apr 19, 2007 2:50 pm
Tamam yaaraan e bazm ko salam,
chooNke safar meiN hooN iss leeaye koi khaaS iraadaa na thaa is bar tarHi moshairay ke leeaye kuch likhne ka. Laikin ustaad e mohtaram Janab Nazir SaHeb ki ghazal daikhi to dil kiyaa ke kuch likh hi dooN. do chaar sha'er pehlay ke likh rakhay thay. do chaar oar Daal kar aik ghazal ki Soorat day di hai.
ustaad e mohtaram chooNke ISlaaH naheeN day rahay abhi. iss leeaye aap log ke tabSiraa ki zaroorat se zydaa zaroorat hai
GHAZAL
---------------------------------------------------------------------------
1. Faqat shauq e janooN meiN khaak aor chhaani naheeN jaati
miray dil muj se tairi baat ab maani naheeN jaati
2. hoee poori kabhi na aarzoo koi magar phir bhi
shab e gham aarzo-oaN ki farawaani naheeN jaati
3. kabhi mojoaN ne aa kar josh meiN rondaa* thaa saaHil ko
patakhti sir haiN ab apnaa pashemaani naheeN jaati
4. huwaa jo shor jannat meiN ko sheereeN sheer maaNge hai
uthaa farhaad ka shaiwaa, khu-aye Caani naheeN jaati
5. tiray koochay ki uR kar khaak jo choomay ko-ii chehraa
phir us ke b'aad us chehre ki taabaani naheeN jaati
6. wo heeraaN haiN mirii nazraiN tikii rehteeN haiN kyooN un par?
mujhe hairat hai kyooN un ki yey heerani naheeN jaati.
7. pas-e-aa-eena hai yey kon mujh ko taktaa hairat se?
mirii Soorat bhalaa kia us se pehchani naheeN jaati.
8. juloo meiN lay ke aayaa hooN meiN gard o baaraaN rastay kay
karooN kia ub bhi ye aadat sulemaani naheeN jaati
9. hai kaRwi baat ye :khawar: magar such hai so kehni hai
agar mai pee le ko-ii toa musalmaani naheeN jaati.
----------------------------------------------------------------------------
aap ki rehnamai ka taalib,
muhammad k. Siddiqui