Page 1 of 1

ghazal

Posted: Mon Feb 07, 2005 2:55 pm
by naheedv
aadaab,

aik adad ghazal ke saath haazir huee hooN. aap kee qeemati aaraa kaa intezaar rahe gaa.

shukriya
Naheed


***************************************
ghazal kaa nayaa version update kar rahi hooN

***************************************

Posted: Mon Feb 07, 2005 8:36 pm
by najma
bohat khoon naheed jee!
acha kalam dekh kar khushii hotii hay.bohat khushii huee, :) .
daad hazir hay
:)

Posted: Mon Feb 07, 2005 8:56 pm
by Khalish
Mohtarma Naheed Saahiba:Aadaab !

Buhot he khoobsurat ghazal kahi hai aap ne. Buhot pasand aaee. Meri jaanib se buhot si daad aur mubarakbaadi qabool kijiay.

Ashaar # 3 aur 6 intihaaee la.jawaab haiN, unper khasoosi aur mukarar daad qabool kijiay.

Mukhlis

Khalish

Posted: Tue Feb 08, 2005 12:50 pm
by naheedv
Khalish wrote:Mohtarma Naheed Saahiba:Aadaab !

Buhot he khoobsurat ghazal kahi hai aap ne. Buhot pasand aaee. Meri jaanib se buhot si daad aur mubarakbaadi qabool kijiay.

Ashaar # 3 aur 6 intihaaee la.jawaab haiN, unper khasoosi aur mukarar daad qabool kijiay.

Mukhlis

Khalish
Khalish ji,

pehli baar aap se baat karne kaa moqa' milaa hai aur kyaa hi khoob moqa' hai.
aap ne meree ghazal pasaNd farmaa'ee, maiN iss ke liye aap kee be.had mamnoon hooN.
ummeed hai aap se aa'indah bhee hosla afzaae hoti rahe gee.

buhat shukriya
Naheed

Posted: Tue Feb 08, 2005 12:52 pm
by naheedv
najma wrote:bohat khoon naheed jee!
acha kalam dekh kar khushii hotii hay.bohat khushii huee, :) .
daad hazir hay
:)
Najma ji,

buhat buhat shukriya!

aap mashaa'Allah khud buhat achaa likhti heiN aur aap se daad buhat ehmiyat rakhti hai.

buhat shukriya
Naheed

Posted: Thu Feb 10, 2005 12:55 pm
by Shummu
Wah naheed sis..wahhhhhhhh ghazal maine aap ki tab hi paRh li thi jab aapne post ki thi magar waqt kam tha isliye jawaab na de saki thi...aaj jab dubaara ghazal paRhne aayi to ghazal kuch badli badli lagi magar yaqeen maane pehle bhi ghazal khoob thi magar ab to ghazal bahut hi khoob ho gayi hai,,,sarwar sahab ne bahut achchi tajaveez di hai...ab ghazal behad pukhta aur kisi bahut baDi shaa'iraa ki lag rahi hai... :wink: Aap mein bahut capability ke...I'm sure woh din door nahi jab aap bahut mashoor-omaaroof shaa'iraa ban jaayengi....meri jaanib se is qadar khoobsurat ghazal pe dili daad haazir hai :D

Shumaila

Posted: Fri Feb 11, 2005 10:34 pm
by naheedv
Shummu wrote:Wah naheed sis..wahhhhhhhh ghazal maine aap ki tab hi paRh li thi jab aapne post ki thi magar waqt kam tha isliye jawaab na de saki thi...aaj jab dubaara ghazal paRhne aayi to ghazal kuch badli badli lagi magar yaqeen maane pehle bhi ghazal khoob thi magar ab to ghazal bahut hi khoob ho gayi hai,,,sarwar sahab ne bahut achchi tajaveez di hai...ab ghazal behad pukhta aur kisi bahut baDi shaa'iraa ki lag rahi hai... :wink: Aap mein bahut capability ke...I'm sure woh din door nahi jab aap bahut mashoor-omaaroof shaa'iraa ban jaayengi....meri jaanib se is qadar khoobsurat ghazal pe dili daad haazir hai :D

Shumaila

Shumaila dear,

aap itne khobsoorat aNdaaz se daad do gee tau maIn tau roz kee aik ghazal likhne beith jaa'ooN gee ;)

haaN Sarwar saahab ke mashvaraat ke ba'd ab ghazal kee shakl behtar ho ga'ee hai. isi liye kehte heiN ke "finishing touch" buhat ehmiyat rakhte heiN ;)
daad kaa shukriya!

Posted: Sat Feb 12, 2005 2:59 am
by rahmed25682
Naheed sahiba

Aadaab...

Mashallah bohat he khoob ghazal kahee hay aap nay , khaas taur per aakhri sher

Ab bhee mery aankhon main zakhm saans letay hain
Ab bhee bol utthta hay pichhly maat kaa aanchal

Khush rahain aur apna kalaam share karty rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed

Posted: Sun Feb 13, 2005 1:30 pm
by naheedv
rahmed25682 wrote:Naheed sahiba

Aadaab...

Mashallah bohat he khoob ghazal kahee hay aap nay , khaas taur per aakhri sher

Ab bhee mery aankhon main zakhm saans letay hain
Ab bhee bol utthta hay pichhly maat kaa aanchal

Khush rahain aur apna kalaam share karty rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed
Raheel saahab,
aadaab,

mere khayaal meiN ye meree aap se pehli baar baat ho rahi hae. aap ko iss mehfil meiN khush aamdeed aur meree kaavish paRhne aur ise saraahane kaa buhat buhat shukriya!!
aakhiri she'r ki pazeeraa'e ke liye mamnoon hooN.

mukhlis
Naheed

Posted: Sun Feb 13, 2005 9:10 pm
by Anis Hasan
Buhat hi khubsurat ghazal likhi hai aap nay Mohtarma"NAHEED" nisai ehsaas ki bharpoor akkasi karti hui. Buhat daad qabool kijiyay.

Posted: Mon Feb 14, 2005 3:39 am
by naheedv
Anis Hasan wrote:Buhat hi khubsurat ghazal likhi hai aap nay Mohtarma"NAHEED" nisai ehsaas ki bharpoor akkasi karti hui. Buhat daad qabool kijiyay.
janaab Anis saahab,

Ghaalibun aap se pehli baar baat ho rahi hai. iss mehfil meiN khush.aamdeed.

ghazal pasaNd karne kaa buhat shukriya!

umeed hai aap aa'e heiN tau yahaaN aate raheN ge.

mukhlis
Naheed