Posted: Fri Apr 20, 2007 2:09 pm
Salam Saraa ji,
aap ne choonke baRay khaaS tore par typing ki mistake ka poochaa hai. to pehlay yehi kaam kar laitay haiN.
4. nahi hai koii shireeN saaz ab barbaT ke taaron meiN --------barbaT ke taaroN meiN. barbaT to-aye se hai. urdu meiN bhi theek karaiN
mere naghmon ki dhun Khud mujh se pehchaani nahiN jaatee
5. meri shaameiN bhi ghamgheeiN subH bhee utnee hi ghamgeeN hai ---SubH
Ilaahi kyuuN mire dil se pareshaani nahi jaatee
8. hamare dil se :Sara: ik sadaa kuch aisee uThtee hai -- Sadaa
keh jo apni si lagti magar janee nahi jaatee ---- lagti hai magar.
ab aa-iaye ghazal ki taraf,
1.mire dil se bhee meri baat ab maanee nahiN jaatee
keh ik choTee see Ghaflat ki pashemaanee nahiN jaatee ------------------ matlA pasand aayaa
2. khushi chehroN se gum aanKhoN meN aansu dil hai afsurdah
na jaane kyun mataa.e Gham ki arzaanii nahi jaatee --------------------- bohat khoob
3. juda jab se huuey tum aur armaaN baRh gaye dil ke
"shab-e-Gham aarzuo'N kee farawanee naheeN jatee" ---------------- Ahaa haa. bohat khoob janab. bohat khoob
4. nahi hai koii shireeN saaz ab barbat ke taaron meiN
mere naghmon ki dhun Khud mujh se pehchaani nahiN jaatee ... -------bohat khoob. daad qabool kijiaye.
5. meri shaameiN bhi ghamgheeiN subH bhee utnee hi ghamgeeN hai --utni se pehlay koi ishaara hona chahiaye ke kitni
Ilaahi kyuuN mire dil se pareshaani nahi jaatee --------------------------- over all bhi is shaer ne koi khaaS asar na choRa
6. gham-e-furqat meiN yaadoN ke dareeche khol deti hooN
miree aanKhon se ashkoN ki farawanee nahi jaatee -----------------------bohat khoob.
7. tiree aaNkhoN men apna Aks dekhooN bus yeh Hasrat hai
ab aaiiney meN apni shakl pehchaanee nahii jaatee ----------------------- mujh lag rahaa hai jaise kuch chhut gyaa hai
8. hamare dil se :Sara: ik sadaa kuch aisee uThtee hai -------------------mire dil se sadaa-e-dard saaraa aisee uthti hai. kya khyaal hai
keh jo apni si lagti magar janee nahi jaatee -------------------------------- maqT'a bhi achhchha hai
majmooee Tor par ghazal ka taSSur bohat achchhaa hai.
dua'aa gao,
Muhammad Khawar Siddiqui