Page 1 of 1

"Muslim Unity" meri taza Nazm ...............

Posted: Sat Apr 21, 2007 5:21 pm
by jawaid badauni

Dosto aur saathiyo! aadaab

"Aligarians.com" per aajkal "Muslim Unity week" manaya ja rha hai.
Yeh Nazm usee silsile meN kahi hai. Ummid hai mera paiGham aap
tak pahooNch jayega.

MuKhlis
Jawaid Badauni
---------------------------------------------------------------------------------------


Meri Taza Nazm


"MUSLIM UNITY"



ItteHaad.e MuslameeN ik aas hai ik Khuwaab hai
Kal bhi yeh naayaab tha aur aaj bhi naayaab hai
Hum haiN tishna pyaar se har qaum ab sairaab hai
Bhaaiichaara bus MuslamanoN meN hi kumyaab hai

Iss tarah bikhre hain hum aadhey yahaN aadhey wahaN
Jaise bikhree hoN lakaRhaare ki saaree lakRiyaaN



Ek din woh tha keh hum dushman peh hotey they zabar
Ek hoker TooT paRte they Adoo per be Khatar
Jung ke maidan meN jaate they akSar besipar
Ek they hum is liye dil meN nah tha dushman ka dar

Aaj hum in KhoobiyoN se kis qadar maHroom haiN
NatawaaN haiN hum shikasta Haal haiN mazloom haiN



Hai woh “Sunnee” woh “Wahaabee” woh shia woh “Hunbalee”
Kitne tukRoN meN baTaa hai aaj deen.e Ahmadee
Subka apna hai aqedah subki apnee fikr bhee
Sub ka kahna hai Ghalat tum ho miyaN aur hum sahee

Ek “Khaliq” ik “Nabee” aur ek hi “QurAAn” hai
Phir bhe tukRoN men baTa Muslim tira eemaan hai



Hausla hota tou laR sakte they har Toofan se
Seekhte hum kuch HadeeSoN se tou kuch QurAAn se
Kuch sabaq lete "PhilisteeN" se tou kuch "Lebanon" se
Ek ho jate tou kuuN Darte kisee Haiwaan se

BhaiiyoN per rozo.o.shub jauro sitam hote rahe
Aur hum ishrat kadey meN chain se sote rahe



Aapsee nafrat ka budHaalee hi bus anjaam hai
Jo kare firqa parastee dushman.e Islam hai
Dosto aaqa "Khumainee" ka yehee paiGham hai
Humko bahkana hamare dushamanoN ka kaam hai

MaGribee dushman boaht bedard hai saffak hai
Tum lacheele ho magar zalim bohat bebaak hai



Ahle eemaN tum ko us pyaare Nabee ka waasta
Ai Ali walo tumheN Maula Ali ka waasta
Us kitaab.e deen.e Haq ki rahbaree ka waasta
Anbia' jitney bhee aaye haiN sabhi ka wasta

Aapsee ranjish bhula do iss se rishta toR do
Ek ho jaao Khudara nafratoN ko choR do



Jawaid Badauni
Muscat-Oman

Posted: Sat Apr 21, 2007 6:48 pm
by sbashwar
:salaam: Jawaid Sahib,
Moslim yakjehti par aapki ye nazm bohat pasand ayee. Allah hum sabko aik honay ki taufeeq ataa farmaye. :ameen:

Posted: Sat Apr 21, 2007 11:42 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
motaram Jawaid Badauni SaHib aadaab!

aap kee nazm Haliyah Surat-e-Haal ke a'aen mut^abq aor Haqiqat-e-Haal kee tarjumaan hai.

agarcheh yeh Haqeeqat az^har minal shams hai. keh musalmanooN kee falaH-o-behbood aor t^aqat ka sarchashmah itteHaad baen-ul-musleemeen meN pinhaaN hai. aor yahee baat mufakkir-e-islaam ne bohot pehlee apnee taqareer aor taHaareer meN keh dee th~ee. aor us waqt ke muslim mua'ashirah ko khwaab-e-Ghaflat se bedaar karte huwe aap ne SareHaata"(SareH rang meN saaf rang meN,kh~ullamkh~llah) tanbehee farma dee th~ee.

keh" nah samjh~o geY to miT jao ge ae HindustaaN walo
tumhari dastaN tak bh~ee nah ho gee dastanoN meN"
(beHer-e-hazaj mucamnan salim)

khuda nah kare keh aesee Surat-e-Haal paeda ho. lekin imkaan-o-muHarrak to maojood dikh~aee deta hai. Allah ham sab kee Hifaz^at farmae (Ameen)

Aamdam bar sar-e-mat^lab! Haqeeqat to yeh hai keh aesee nazm kee aek muddat se Z^arurat meHsoos kee ja rahee th~ee. khuda ka eHsaan hai keh us ne yeh kaam aap ke dast-e-khaer andesh se le liya.

aek zamanah th~a jab Maolana Alt^af Husain Hali ne ma'arka-tul-Ara nazm Musaddas-e-Hali keh kar musalmanooN ko khwaab-e-khargosh se jagane kee Hattal imkaan koshish kee th~ee.

pich~le dinooN Bart^aniyah ke mashhoor A'alim-e-deen mufakkir, muHaqqiq, Angarezee Urdu, aor panjaabee muSannif aor Broadcastr Allamah A'adil Farooqi saHib ne isee maoZ^o' ko le kar aek khaSee t^uweel (katabchah kee shakl meN) aek nazm kahee hai. aor un kee khuwahish ke iHtaram meN jahaaN chand dusre afraad ne un ke liye deebachah kee shakl meN iz^haar-e-kheyaal kiya wahaaN raqim ko bh~ee yeh sharf-e-teHreer bakhsha keh maiN bh~ee un kee is nazm par kh~ul kar apna mat^maH-e-naz^ar pesh kar sakooN.

lehazah ab woh katab bau'nwaan (FUGHAN-e-QARUNI) zer-e-t^aba' hai. is Hawalah se un ke ma'arooZ^aat ko bachash-e-Ghaor dekh~ne ka maoqa' mila. aor un ke haaN bh~ee agar dekh~a jae to in hee masaae'l kee janib isharah milta hai.

agar un ke kalam kee haiyat, fannee tashkeel, takneekee maharat aor afadiyat ko dekh~a jae to yeh baat baRe wucooq se kahee ja saktee hai. keh :Musaddas-e-Hali ke ba'd aesee nazm aaj tak naheeN kahee gaee.

waZ^eH rahe keh unhooN ne nazm ke murawwijah uSooloN ko baru-e-kaar lae baGhaer aek niya tajribah kiya hai. jo deedanee hai. aor is Hawale se bh~ee nazm apnee micaal aap hee hai.khaer!

Khuda Wand kare keh aap kee yeh nazm saree ummat-e-muslimah ke liye fatH-o-nuSrat ka paeGhaam ban jae. aor khuda un ke dilooN se dunya kee muHabbat aor raGhbat kee beemaree ko jaR se ukh~eR de.

agar aap Ya deegar daost A'llamah Farooqi SaHib ko adabee karnamah par ( jahaaN dunya bh~ar se unheeN U'lamah-o-mashaekh mubarak baad de rahe haiN) mubarak baad dena chaheeN to un ka pata aor phone No zael meN likh~ raha hooN unheeN baRee khushee ho gee. aor maiN bh~ee aap SaHibaan ka mamnoon hooN ga.







Sidq-o-A'dl
P O Box 406, Stanmore
HA7 9DL
England
0044 208 909 2116

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
[/b][/i]

Posted: Tue Apr 24, 2007 8:02 am
by tahira Masood
mukarram-o-moHteram

salaam

aap ki yeh nigaarsih kahin aur bhi paRhi thi

aap ki is s'A'ee-e- mashkoor ko Allh Ta'aala qabul fermaaey.aamee
Khudaa kare keh her Muslamaan iskee zaroorat-o- ahmiyyat ko meHsuus kare aur amn-o-bha'ee chaare k is paighaam ko phailaaey
aameen
dilee duaaiN aap k saath hain

sadaakhush rehaiN

wassalam

Posted: Tue Apr 24, 2007 8:03 am
by tahira Masood
mukarram-o-moHteram

salaam

aap ki yeh nigaarsih kahin aur bhi paRhi thi

aap ki is s'A'ee-e- mashkoor ko Allah Ta'aala qabul fermaaey.aamee
Khudaa kare keh her Muslamaan iskee zaroorat-o- ahmiyyat ko meHsuus kare aur amn-o-bha'ee chaare k is paighaam ko phailaaey
aameen
dilee duaaiN aap k saath hain

sadaakhush rehaiN

wassalam

Posted: Wed Apr 25, 2007 3:03 am
by yasir shah
Jawaid badauni saaHib !
assalamoa'laikum

aap ne bahut aham moZoo' peh qalam uThaayaa hay - ab is kaam ko jaaree raKhiye ,raftah raftah qalam in mauZoo'aat peh bhi rawaaN ho jaa.ay gaa aur aap kaa kalaam hamaare liey mash.'al-e-raah bhi-

yasir

Re: "Muslim Unity" meri taza Nazm ...............

Posted: Thu Apr 26, 2007 4:36 pm
by haamidbaaqri
jawaid badauni wrote:
Dosto aur saathiyo! aadaab

"Aligarians.com" per aajkal "Muslim Unity week" manaya ja rha hai.
Yeh Nazm usee silsile meN kahi hai. Ummid hai mera paiGham aap
tak pahooNch jayega.

MuKhlis
Jawaid Badauni
---------------------------------------------------------------------------------------


Meri Taza Nazm


"MUSLIM UNITY"



ItteHaad.e MuslameeN ik aas hai ik Khuwaab hai
Kal bhi yeh naayaab tha aur aaj bhi naayaab hai
Hum haiN tishna pyaar se har qaum ab sairaab hai
Bhaaiichaara bus MuslamanoN meN hi kumyaab hai

Iss tarah bikhre hain hum aadhey yahaN aadhey wahaN
Jaise bikhree hoN lakaRhaare ki saaree lakRiyaaN



Ek din woh tha keh hum dushman peh hotey they zabar
Ek hoker TooT paRte they Adoo per be Khatar
Jung ke maidan meN jaate they akSar besipar
Ek they hum is liye dil meN nah tha dushman ka dar

Aaj hum in KhoobiyoN se kis qadar maHroom haiN
NatawaaN haiN hum shikasta Haal haiN mazloom haiN



Hai woh “Sunnee” woh “Wahaabee” woh shia woh “Hunbalee”
Kitne tukRoN meN baTaa hai aaj deen.e Ahmadee
Subka apna hai aqedah subki apnee fikr bhee
Sub ka kahna hai Ghalat tum ho miyaN aur hum sahee

Ek “Khaliq” ik “Nabee” aur ek hi “QurAAn” hai
Phir bhe tukRoN men baTa Muslim tira eemaan hai



Hausla hota tou laR sakte they har Toofan se
Seekhte hum kuch HadeeSoN se tou kuch QurAAn se
Kuch sabaq lete "PhilisteeN" se tou kuch "Lebanon" se
Ek ho jate tou kuuN Darte kisee Haiwaan se

BhaiiyoN per rozo.o.shub jauro sitam hote rahe
Aur hum ishrat kadey meN chain se sote rahe



Aapsee nafrat ka budHaalee hi bus anjaam hai
Jo kare firqa parastee dushman.e Islam hai
Dosto aaqa "Khumainee" ka yehee paiGham hai
Humko bahkana hamare dushamanoN ka kaam hai

MaGribee dushman boaht bedard hai saffak hai
Tum lacheele ho magar zalim bohat bebaak hai



Ahle eemaN tum ko us pyaare Nabee ka waasta
Ai Ali walo tumheN Maula Ali ka waasta
Us kitaab.e deen.e Haq ki rahbaree ka waasta
Anbia' jitney bhee aaye haiN sabhi ka wasta

Aapsee ranjish bhula do iss se rishta toR do
Ek ho jaao Khudara nafratoN ko choR do



Jawaid Badauni
Muscat-Oman
azeez biraradaram
jawaid bhai saahib
Assalaam o alaikum

aapki yeh nazm muslmaanoN keliye mash 'alay raah banjaaye yeh hamaari dilee tamanna hai.

kitna dard chupa hua hai aapkay dil meiN ummat muslema keliye.aur kyuiN nah ho .....aap shaayer jo haiN.apni zimmedaari khoob nibharahay haiN bhai saahib.jazakallah.

allah(sbhnwt) aap per apni rehmatoN ki barish karay is nazm kay tufail meiN.aameen

"Haamid dua karo keh musalmaan aik hoN
phir say jahaaN meiN adl ka qaayim nizaam ho"


aapka apna
haamidbaaqri

Posted: Fri Apr 27, 2007 5:51 am
by jawaid badauni
sbashwar wrote::salaam: Jawaid Sahib,
Moslim yakjehti par aapki ye nazm bohat pasand ayee. Allah hum sabko aik honay ki taufeeq ataa farmaye. :ameen:

MoHtarmee Bashwar Saahab,
aadaab

Bohat bohat shukriya.

MuKhliS
Jawaid

Posted: Fri Apr 27, 2007 5:54 am
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:motaram Jawaid Badauni SaHib aadaab!

aap kee nazm Haliyah Surat-e-Haal ke a'aen mut^abq aor Haqiqat-e-Haal kee tarjumaan hai.

agarcheh yeh Haqeeqat az^har minal shams hai. keh musalmanooN kee falaH-o-behbood aor t^aqat ka sarchashmah itteHaad baen-ul-musleemeen meN pinhaaN hai. aor yahee baat mufakkir-e-islaam ne bohot pehlee apnee taqareer aor taHaareer meN keh dee th~ee. aor us waqt ke muslim mua'ashirah ko khwaab-e-Ghaflat se bedaar karte huwe aap ne SareHaata"(SareH rang meN saaf rang meN,kh~ullamkh~llah) tanbehee farma dee th~ee.

keh" nah samjh~o geY to miT jao ge ae HindustaaN walo
tumhari dastaN tak bh~ee nah ho gee dastanoN meN"
(beHer-e-hazaj mucamnan salim)

khuda nah kare keh aesee Surat-e-Haal paeda ho. lekin imkaan-o-muHarrak to maojood dikh~aee deta hai. Allah ham sab kee Hifaz^at farmae (Ameen)

Aamdam bar sar-e-mat^lab! Haqeeqat to yeh hai keh aesee nazm kee aek muddat se Z^arurat meHsoos kee ja rahee th~ee. khuda ka eHsaan hai keh us ne yeh kaam aap ke dast-e-khaer andesh se le liya.

aek zamanah th~a jab Maolana Alt^af Husain Hali ne ma'arka-tul-Ara nazm Musaddas-e-Hali keh kar musalmanooN ko khwaab-e-khargosh se jagane kee Hattal imkaan koshish kee th~ee.

pich~le dinooN Bart^aniyah ke mashhoor A'alim-e-deen mufakkir, muHaqqiq, Angarezee Urdu, aor panjaabee muSannif aor Broadcastr Allamah A'adil Farooqi saHib ne isee maoZ^o' ko le kar aek khaSee t^uweel (katabchah kee shakl meN) aek nazm kahee hai. aor un kee khuwahish ke iHtaram meN jahaaN chand dusre afraad ne un ke liye deebachah kee shakl meN iz^haar-e-kheyaal kiya wahaaN raqim ko bh~ee yeh sharf-e-teHreer bakhsha keh maiN bh~ee un kee is nazm par kh~ul kar apna mat^maH-e-naz^ar pesh kar sakooN.

lehazah ab woh katab bau'nwaan (FUGHAN-e-QARUNI) zer-e-t^aba' hai. is Hawalah se un ke ma'arooZ^aat ko bachash-e-Ghaor dekh~ne ka maoqa' mila. aor un ke haaN bh~ee agar dekh~a jae to in hee masaae'l kee janib isharah milta hai.

agar un ke kalam kee haiyat, fannee tashkeel, takneekee maharat aor afadiyat ko dekh~a jae to yeh baat baRe wucooq se kahee ja saktee hai. keh :Musaddas-e-Hali ke ba'd aesee nazm aaj tak naheeN kahee gaee.

waZ^eH rahe keh unhooN ne nazm ke murawwijah uSooloN ko baru-e-kaar lae baGhaer aek niya tajribah kiya hai. jo deedanee hai. aor is Hawale se bh~ee nazm apnee micaal aap hee hai.khaer!

Khuda Wand kare keh aap kee yeh nazm saree ummat-e-muslimah ke liye fatH-o-nuSrat ka paeGhaam ban jae. aor khuda un ke dilooN se dunya kee muHabbat aor raGhbat kee beemaree ko jaR se ukh~eR de.

agar aap Ya deegar daost A'llamah Farooqi SaHib ko adabee karnamah par ( jahaaN dunya bh~ar se unheeN U'lamah-o-mashaekh mubarak baad de rahe haiN) mubarak baad dena chaheeN to un ka pata aor phone No zael meN likh~ raha hooN unheeN baRee khushee ho gee. aor maiN bh~ee aap SaHibaan ka mamnoon hooN ga.







Sidq-o-A'dl
P O Box 406, Stanmore
HA7 9DL
England
0044 208 909 2116

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
[/b][/i]

Azeezi wa moHibbee Muzaffar SaaHab
Salam aur Doa

Hasb.e dastoor aap ne ek baar phir nihayat purKhuloos daad aur tafSeelee tabsarey se nawazah hai jiske liyee aap ka behud mamnoon hooN. Bhaii! yeh Nazm wah wah ke liye kahi hi nahiN thee. Yeh ek paiGham tha jo mere mission ka ek HiSSah hai. Phir bhi aap ne jo himmat afzaaii ki hai aap ka behud mamnoon hooN.

MuKhliS
Jawaid

Posted: Fri Apr 27, 2007 5:55 am
by jawaid badauni
sara_j wrote:waah Jawaid bhai! bohat khoob!

dili daad qubool keejiye.
Meri Hyderabaadee bahan

bohat bohat shukriya.

Jawaid

Posted: Fri Apr 27, 2007 5:57 am
by jawaid badauni
tahira Masood wrote:mukarram-o-moHteram

salaam

aap ki yeh nigaarsih kahin aur bhi paRhi thi

aap ki is s'A'ee-e- mashkoor ko Allh Ta'aala qabul fermaaey.aamee
Khudaa kare keh her Muslamaan iskee zaroorat-o- ahmiyyat ko meHsuus kare aur amn-o-bha'ee chaare k is paighaam ko phailaaey
aameen
dilee duaaiN aap k saath hain

sadaakhush rehaiN

wassalam
Azeezah Tahira SaaHibah
aadaab

Bohat bohat shukriya. MaiN ek deegar "site" per aap ko tafSeelee jawab de chuka hooN.Ummid hai aap ne dekh liya hoga.

Ek baar phir aap ka shukriya.

MuKhliS
Jawaid

Posted: Fri Apr 27, 2007 5:58 am
by jawaid badauni
yasir shah wrote:Jawaid badauni saaHib !
assalamoa'laikum

aap ne bahut aham moZoo' peh qalam uThaayaa hay - ab is kaam ko jaaree raKhiye ,raftah raftah qalam in mauZoo'aat peh bhi rawaaN ho jaa.ay gaa aur aap kaa kalaam hamaare liey mash.'al-e-raah bhi-

yasir
Janab Yasir SaHab, aadaab

Aap ke mashwarey ke liye aapp ka behud mamnoon hooN.

Khoosh raheN!

Jawaid

Re: "Muslim Unity" meri taza Nazm ...............

Posted: Fri Apr 27, 2007 6:02 am
by jawaid badauni
haamidbaaqri wrote:
jawaid badauni wrote:
Dosto aur saathiyo! aadaab

"Aligarians.com" per aajkal "Muslim Unity week" manaya ja rha hai.
Yeh Nazm usee silsile meN kahi hai. Ummid hai mera paiGham aap
tak pahooNch jayega.

MuKhlis
Jawaid Badauni
---------------------------------------------------------------------------------------


Meri Taza Nazm


"MUSLIM UNITY"



ItteHaad.e MuslameeN ik aas hai ik Khuwaab hai
Kal bhi yeh naayaab tha aur aaj bhi naayaab hai
Hum haiN tishna pyaar se har qaum ab sairaab hai
Bhaaiichaara bus MuslamanoN meN hi kumyaab hai

Iss tarah bikhre hain hum aadhey yahaN aadhey wahaN
Jaise bikhree hoN lakaRhaare ki saaree lakRiyaaN



Ek din woh tha keh hum dushman peh hotey they zabar
Ek hoker TooT paRte they Adoo per be Khatar
Jung ke maidan meN jaate they akSar besipar
Ek they hum is liye dil meN nah tha dushman ka dar

Aaj hum in KhoobiyoN se kis qadar maHroom haiN
NatawaaN haiN hum shikasta Haal haiN mazloom haiN



Hai woh “Sunnee” woh “Wahaabee” woh shia woh “Hunbalee”
Kitne tukRoN meN baTaa hai aaj deen.e Ahmadee
Subka apna hai aqedah subki apnee fikr bhee
Sub ka kahna hai Ghalat tum ho miyaN aur hum sahee

Ek “Khaliq” ik “Nabee” aur ek hi “QurAAn” hai
Phir bhe tukRoN men baTa Muslim tira eemaan hai



Hausla hota tou laR sakte they har Toofan se
Seekhte hum kuch HadeeSoN se tou kuch QurAAn se
Kuch sabaq lete "PhilisteeN" se tou kuch "Lebanon" se
Ek ho jate tou kuuN Darte kisee Haiwaan se

BhaiiyoN per rozo.o.shub jauro sitam hote rahe
Aur hum ishrat kadey meN chain se sote rahe



Aapsee nafrat ka budHaalee hi bus anjaam hai
Jo kare firqa parastee dushman.e Islam hai
Dosto aaqa "Khumainee" ka yehee paiGham hai
Humko bahkana hamare dushamanoN ka kaam hai

MaGribee dushman boaht bedard hai saffak hai
Tum lacheele ho magar zalim bohat bebaak hai



Ahle eemaN tum ko us pyaare Nabee ka waasta
Ai Ali walo tumheN Maula Ali ka waasta
Us kitaab.e deen.e Haq ki rahbaree ka waasta
Anbia' jitney bhee aaye haiN sabhi ka wasta

Aapsee ranjish bhula do iss se rishta toR do
Ek ho jaao Khudara nafratoN ko choR do



Jawaid Badauni
Muscat-Oman
azeez biraradaram
jawaid bhai saahib
Assalaam o alaikum

aapki yeh nazm muslmaanoN keliye mash 'alay raah banjaaye yeh hamaari dilee tamanna hai.

kitna dard chupa hua hai aapkay dil meiN ummat muslema keliye.aur kyuiN nah ho .....aap shaayer jo haiN.apni zimmedaari khoob nibharahay haiN bhai saahib.jazakallah.

allah(sbhnwt) aap per apni rehmatoN ki barish karay is nazm kay tufail meiN.aameen

"Haamid dua karo keh musalmaan aik hoN
phir say jahaaN meiN adl ka qaayim nizaam ho"


aapka apna
haamidbaaqri
Azeezi Haamid SaaHab,
WAAS

Aapke graNqadr tabsarey wa purKhuloos daad ke liye aap ka mamnoon hooN. Mujhe mAlum tha yeh Nazm aap ko pasaNd aayegee kyuuN.k yeh aap ke mission ka hi ek HiSSah hai. Aap ne jo doaiiya sher kaha hai maiN bus itna hiakah sakta hooN "Ilaahi Aameen."

Aapka MuKhliS
Jawaid