Page 1 of 1

TaraHi Ghazal (Guz.2). Irfan Barabankwi, Jeddah.

Posted: Mon Feb 07, 2005 5:36 pm
by irfan barabankwi

Muhtaramaat o Muhtarameen
Ahbaab-e-meHfil,

Aadab o Tasleemaat,

Guzarish No.2 ke TaraHi misreA per apni ghazal paish karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se mustfeed houne kaa mauqaA denge. Shukriyah.

Khair Andesh,
Irfan.


Posted: Sun Feb 13, 2005 5:11 am
by Star Mind
Assalam-o-a'laikum,

moHtarami Irfan SaaHib,

waah janaab waah !! bahut hi khoob !! kyaa kehne Huzoor !! aap ne to kamaal ko bhi peehce choRdiya !! :wink:

ham pehle soch rahe the k ham bhi is misara-e-tarah par sukhan-aazmaaii kareNge , magar Huzoor ab to ............. :roll:

aek khoobSoorat takhleeq par meri jaanib se DheeroN daad qabool farmaaye !! :) . shukriya

mokhliS: Zia Baloch

Posted: Sun Feb 13, 2005 11:34 pm
by najma
janab irfan sahib
addab
apki tarahii ghazal hamein bohat pasand aae janab!bohat khoob , rawaan aur mutarannum ghazal hay.
daad qubuul kijiyey
khair andesh
najma
:)

bahut bahut shukriyah

Posted: Wed Feb 23, 2005 1:51 pm
by irfan barabankwi
mohtaramah

SARA SAAHIBAH

purkhuloos tasleemat

ghazal ki pasandeedgi ka shukriyah zarah takheer se ada kar raha hoon
ummeed mind nahi kareiNgi aur ayenda bhi mujhey hauslah deti raheiNgi.

khair andaish

irfan barabankwi

bahut bahut shukriyah

Posted: Wed Feb 23, 2005 2:00 pm
by irfan barabankwi
mohtaramee

ZIA BALOCH SAAHIB

adab-o-niyaz

ghazal ki pazirai ka bahut bahut shukriyah. mujhey afsos hua ke apney meri ghazal paRhkar ghazal likhney ka khayal tark kar diya. aisi kiya baat hai ? janab aap mujh se achhey shayer haiN. mujh nacheez ko sharmindah kiyoN karte haiN. aap bhi is zameen meiN koshish kareiN aur mujhey yaqeen hai ke aap mujhsey achhi ghazal kaheiNge. urdustan ki ghazal 42 per aapka tabsirah na dekhkar maiN samajh raha tha ke aap shayed mujhey bhool gaye haiN lekin yahaN aakar aapka khoobsurat tabsirah dekha to dil ko itminan hua. ummeed hai ke isia tarah aap apni mohabbatoN meiN yad rakheiNge. shukriyah

khair andaish

irfan barabankwi

bahut bahut shukriyah

Posted: Wed Feb 23, 2005 2:05 pm
by irfan barabankwi
mohtaramah

NAJMA SAAHIBAH

pukhuloss tasleemat

ghazal ki pazirai ke liye aapka behud mamnoon hooN. agar aap logon ko meri ghazal pasand aayi to meri kawish kamyab hoi. ummeed hai ke ayndah bhi aap apni aara se nawazti raheiNgi. shukriyah

khair andaish

irfan barabankwi