Nazir Abdullaah, Abdullaah Nazir ho gaye ...ek Nazm
Posted: Sun Apr 22, 2007 6:37 pm
Dosto! Salam qubool kijiye
Abdullah Nazir SaaHab ek arSey se bistar.e alaalat per haiN. JahaN yeh Khabar hamare liye baaYiSe sukoon hai keh ab masha' Allah unki sehat thik hai waheeN unki musalsal kamee hamare liye baayiS. fikr hai. Allah unheN jald is qabil kardey keh woh hamaree maHafil meN pabandee se shareek hoker unki raunaq meN izafah farmayeN (aamin).
Yeh nazm maiN ne bohat arSey qabl Nazir Saahab per kahi thee jo meri Ghaflat ke sabab kahiN kho gayee thee. Aaj achanak mil gaii to socha isko ek baar phir "post" kar dooN. Bohat se naye membraan ki nazar se nah guzree hogee.
Abdullah Nazir Saahab ka naam daur.e shaairee se qabl Nazir Abdullah tha. Yeh nazm unki zindagee ke un halat ki tarjumanee kartee hai jo Udsutan meN unke ek "interview" meN bayaan kiye gaye they. Nazm meN kahiN bhi mubaliGhe se kaam nahiN liya gaya hai.
Aapka MuKhlis
Jawaid Badauni
---------------------------------------------------------------------------
Nazir Abdullaah, Abdullaah Nazir ho gaye
Bhool baiThe naam ilm.o.fun meN aise kho gaye

Baap se virSey meN har insaaN ko mil jata hai dhan
Unko virse meN mila ilm.o.hunar, funn.e suKhan
Ek Khand.har se uTha laaye the deevane “Ghareeb”
Aur wohee deevaan le aaya unheN fun ke qareeb
Kia “Ghareeb” ashAAr meN tere kahsish thee marhaba
Jin ko paRhkar ek Abdullaah, Nazir ban gaya
Hazrat-e “Talib” ki islaahoN ne dikhlaya kamaal
Tifl-e maktab ko bana daala suKhanwar be miSaal
PaaooN baRhte hi rahe ik manzil-e kamyaab tak
Ibteda-e Shairee se “Gauhar-e Shabtaab” tak
Baadshah-e fun haiN phir bhi dil meN sub ka eHtraam
Hazrat-e Nazir! tumahre zarf ko mera salam
Kaash har dilmeN yahee jazba yehi andaaz ho
Hum se barham ho nah koii ek pal naraaz ho
Ihtraam.e ahl-e fun ki paasdaari dekhiye
Sub ko behtar maante haiN inkesaari dekhiye
Jaante to khoob hoNge fun meN apna woh maqam
Phir bhee karte haiN woh har ahl-e suKhan ka aHteram
Hazrat-e Nazir suKhan ke mahfiloN ki shaan haiN
“Urdubandhan” ho keh “Urdustaan” sub ki jaan haiN
“Mahfile sheir.O.Sukhan” ki hai unhee se aab.o.taab
Ab “Aligarians” meN bhi aate jaate haiN janab
Chund lamhe hazrat-e Nazir Thahar jaayeN jahaN
KyooN nah ban jaaye SuKhan ka ek maiKhana wahaN ?
Hai doa meri woh qaid-e ranj se aazad hoN
Ya Ilahi woh hamesha shaad hoN aabaad hoN
Saya-e Nazir rahe sir peh hamare ai Khooda
Ho unheN “ M’Abood-e barhaq” umr-e Toolaani ataa