Page 1 of 1

"jo laug auroN ki ezzat pe"taaza kalaam aapke hawa

Posted: Thu Apr 26, 2007 8:42 am
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto

aik adna kaavish aapki bacaaratoN ki nazr kar rahay haiN

gar qubool uftad zahay..........

arz kiya hai........

jo log auroN ki ezzat pe waar karte haiN
khud apne nafs ko woh daaghdaar karte haiN

yeh apne jaisaa samajhte nahiN haiN ghairoN ko
baday kathaur haiN lafzoN se waar karte haiN

jo muttaqi haiN woh imdaad karte haiN fauran
sawaalay zar ka woh kab intezaar karte haiN

jo lag karte haiN belaus khidmate insaaN
unheN salaam nabi(sawaw)baar baar karte haiN

guzaar mad'hay mohammed(sawaw)meiN zindagi haamid
keh baasha'oor hi ahmed(sawaw)say pyaar karte haiN

nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah

Posted: Thu Apr 26, 2007 7:46 pm
by yasir shah
Haamid Baaqri SaaHib !
asslaamoa'laikum

kuCh din se maHfil meN aap ki kamee maHsoos ho rahee thee ,,ab woh khalaa bhar gayaa-


aap ke yeh sukhan aap ke makhSooS raNg meN rachay basay heN :

guzaar mad'hay mohammed(sawaw)meiN zindagi haamid
keh baasha'oor hi ahmed(sawaw)say pyaar karte haiN


subHaanAllah !

khudaa karay zor-e-qalam aur ziyaadah

mukhliS
yasir

shukriya

Posted: Fri Apr 27, 2007 6:47 am
by haamidbaaqri
yasir shah wrote:Haamid Baaqri SaaHib !
asslaamoa'laikum
wa alaikumussalaam
yasir shah saahib

kaise mizaaj haiN?


kuCh din se maHfil meN aap ki kamee maHsoos ho rahee thee ,,ab woh khalaa bhar ga.ee-

yeh aapki mohabbat hai janaab.dar asl in dinoN hum bahut masroof haiN.bahut kam waqt nikaal paatay haiN hum net keliye.magar jab bhi hameN waqt milta hai hum yahaaN chalay aatay haiN aap ahbaab say milnay.


aap ke yeh sukhan aap ke makhSooS raNg meN rachay basay heN :

guzaar mad'hay mohammed(sawaw)meiN zindagi haamid
keh baasha'oor hi ahmed(sawaw)say pyaar karte haiN


subHaanAllah !

khudaa karay zor-e-qalam aur ziyaadah

mukhliS
yasir
aapki hauslah afzaayee aur dilee dua keliye hum aapkay behad mamnoono mashkoor haiN.

jazakallah

mukhlis
haamidbaaqri

Posted: Fri Apr 27, 2007 8:15 am
by muhammad_19k
Janab Haamid Baaqri SaHeb

Urdu adab ki jin web sites par mairaa guzar hotaa hai. wahaaN par aap ki mustaqil mizaaji, aap ke mozooat maire leeaye bohat mutaSSir kun haiN. aor hamesha motivation ka baaic bantay haiN. mujhe apni dua-oaN meiN khaSooSi Tor par yaad rakhaa karain.
jo log auroN ki ezzat pe waar karte haiN
khud apne nafs ko woh daaghdaar karte haiN

yeh apne jaisaa samajhte nahiN haiN ghairoN ko
baday kathaur haiN lafzoN se waar karte haiN

jo muttaqi haiN woh imdaad karte haiN fauran
sawaalay zar ka woh kab intezaar karte haiN

jo lag karte haiN belaus khidmate insaaN
unheN salaam nabi(sawaw)baar baar karte haiN

guzaar mad'hay mohammed(sawaw)meiN zindagi haamid
keh baasha'oor hi ahmed(sawaw)say pyaar karte haiN

aakhiri sha'er rooH o dil ki lutf o masti se sarshaar kar daitaa hai.

regards,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.

Posted: Sat Apr 28, 2007 9:31 am
by Shummu
Assalam-o-alaikum!

SubhanAllah!bahut khoob... Haamid sahab..aap ki ghazlein waqaii nafs ko jhinjhorh jeti hai....shukriya..


duaoon mein yaad rakhiyega!

Shumaila

Posted: Sat Apr 28, 2007 5:45 pm
by sbashwar
Mohtaram Haamidbaaqri Sahib
:salaam:

Aapki ghzal ka har sheir haqaiq par mubni hai.
Meri dili daad aur mubarakbaad arz hai, qubool farmaye.

shukriya

Posted: Sun Apr 29, 2007 3:24 pm
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote: Janab Haamid Baaqri SaHeb

Assalaam o alaikum
mohammed khawar saahib


Urdu adab ki jin web sites par mairaa guzar hotaa hai. wahaaN par aap ki mustaqil mizaaji, aap ke mozooat maire leeaye bohat mutaSSir kun haiN. aor hamesha motivation ka baaic bantay haiN. mujhe apni dua-oaN meiN khaSooSi Tor par yaad rakhaa karain.

al hamdulillah.........aap bhi hameN apni duaoN meiN yaad rakkheN.
jo log auroN ki ezzat pe waar karte haiN
khud apne nafs ko woh daaghdaar karte haiN

yeh apne jaisaa samajhte nahiN haiN ghairoN ko
baday kathaur haiN lafzoN se waar karte haiN

jo muttaqi haiN woh imdaad karte haiN fauran
sawaalay zar ka woh kab intezaar karte haiN

jo lag karte haiN belaus khidmate insaaN
unheN salaam nabi(sawaw)baar baar karte haiN

guzaar mad'hay mohammed(sawaw)meiN zindagi haamid
keh baasha'oor hi ahmed(sawaw)say pyaar karte haiN

aakhiri sha'er rooH o dil ki lutf o masti se sarshaar kar daitaa hai.

regards,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.
shukriya
jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri

shukriya

Posted: Sun Apr 29, 2007 3:31 pm
by haamidbaaqri
Shummu wrote:Assalam-o-alaikum!
:walikum:
mohtaramah shumaaila saahebah

SubhanAllah!bahut khoob...

shukriya.....jazakallah


Haamid sahab..


jee.....farmaaiye........


aap ki ghazlein waqaii nafs ko jhinjhorh jeti hai....shukriya..

hameN....khushee huee yeh jaankar.alhamdulillah


duaoon mein yaad rakhiyega!

zaroor..........aap bhi apni duaoN meiN hameN yaad rakhiyega.

Shumaila
mukhlis
haamidbaaqri

Posted: Sun Apr 29, 2007 3:33 pm
by haamidbaaqri
sbashwar wrote:Mohtaram Haamidbaaqri Sahib
:salaam:
:walikum:
mohtaram salem bashwar saahib

Aapki ghzal ka har sheir haqaiq par mubni hai.

al hamdulillah....

Meri dili daad aur mubarakbaad arz hai, qubool farmaye.
aapki mukhlisaanah daad aur mubaarakbaad ka hum tahe dil say shukriya ada karte haiN.

jazakallah

mukhlis
haamidbaaqri