Page 1 of 1
Zindagi ke Husn ko....!!
Posted: Thu Apr 26, 2007 2:17 pm
by munir-armaan-nasimi
Pyare UrduBandhan ke Saathiyo,
Salam-o-Rehmat...!! Ek Ghazal Pesh-e-khidmat hai, apne apne aara aur islah se nawaz kar shukriya ada karne ka mauqa dein.
Ummeed ke mijaz shagufta honge.
aap ka apna,
Munir Armaan Nasimi
Posted: Thu Apr 26, 2007 6:27 pm
by Sohail Malik
bohat khub naseemi sahib
aap ka yeh sher pasand aya
apni jhuTi shaan per itrao met arman ji
kaisay kaisay badshahoN ko yeh turbet kha gai
matla albata apna mafhoom theek say wazeh nahiN kerta nazer aa reha zera dekh lijiay, ya meri samajh ka qasur hay.
khair andesh
Sohail Malik
Posted: Fri Apr 27, 2007 3:10 pm
by munir-armaan-nasimi
Beradaram Sohail Malik Saheb,
Salam-o-Rehmat!! Ghazal pasand aayi shukriya... Maqte ka sher bhi aap ko achcha laga... nawazish... karam... meherbani...!!
KUCHH MATLA KE BAARE MAIN.... (aapki samajh ka koi kasoor nahiin hai...!!)
Zindagi Ke Husn Ko Apni Jaroorat Kha Gayi!!
Zindagi main husn tab hai jab aadmi farig-ul-bal hai. Koi fikar nahin, koi pareshani nahin,
Dhan, Daulat, Izzat, Mohabbat, Sohrat sab ko chahiye..... sabki apni apni Jarooratein hain. Meri Zindagi main bhi kayi jarooratein hain.... jinke 'chakkar' main.... main din bhar uljha rehta hoon aur Zindagi ka sahi lutf uthha nahiin pata..... aur har din ke saath.... Zindagi ka husn maand padta jata hai.... tabhi dil se awaaz nikalti hai ke.......Zindagi ke husn ko apni jaroorat kha Gayi...!!
Baqi Jo Kuch Bhi Bachaa Tha Usko Gorbat Kha Gayi..!!
Ye Sher.... samjhane ki jaroorat hai kya???
Duaaon main yaad rakhien.
aap ka chota bhai,
armaan