Page 1 of 1

Guzarish#27

Posted: Fri Apr 27, 2007 2:06 am
by Rehana.A
Aziz Dosto!

Tasleemaat


apni haqeer si koshish paish kar rahi hoon , :-) ko,i
ghaltee waghaira ho to :-) bardaasht kar lijiay ga.

Image

Re: Guzarish#27

Posted: Fri Apr 27, 2007 7:19 am
by haamidbaaqri
Rehana.A wrote:Aziz Dosto!

Tasleemaat


apni haqeer si koshish paish kar rahi hoon , :-) ko,i
ghaltee waghaira ho to :-) bardaasht kar lijiay ga.

Image
Assalaam o alikumj
mohtaramah rehana saahebah

hum sab tiflay maktab haiN.

har lamha seekhtay haiN.

is raah meiN kayee ghaltiyaaN bhi hoti haiN humsay.magar hamaari mehnat aur lagan,zabaanay urdu say hamaari belaus mohabbat,mukhlis urdudaanoN ki dosti aur unkay pyaar nay hameN kabhie ruknay nahiN diya.hum chaltay rahe haiN chalte rahenge insha allah.

aapkay khuloos ki hum qadr kartay haiN.

hamaari dilee daad qubool farmaayeN is mukhlisaanah kaushish per. :rose :rose :rose :clap01:

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqri

Posted: Fri Apr 27, 2007 7:39 am
by muhammad_19k
Salam REHAANA JI,

aap ne kamaal kar diyaa hai. ghazal bohat shaandaar hai. aik aik lafaz moteeyoN ki taraH sajaa huwaa hai. aor har har khyaal subH roshan ki taraH Saaf hai.

matl'a, girah aor maqt'a bhi zabardast haiN. ghazal aisi lateef hai ke girah meiN "go" ka wao giraana jaisi maamooli si baat bhi forun khatak gayee ke aisi shaandaar ghazal meiN ye itni se ra-ayat bhi iste'amaal naheen karni chahiaye.

aor aakhiri sha'er ke pehlay miSra meiN "thaa" ke jaga "hai" rakh kar bhi sochiaye.


dua'gao,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.

Posted: Fri Apr 27, 2007 12:24 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah ReHanah AHmad JanaaN SaHibah tasleemaat! :rose

aap kee Ghazal par hamare bh~aee Hamid Baqri SaHib aor hamare shafeeq-o-nuqt^ah fehem bh~aee MoHammad Khawar saHib ne jitne peyaar aor muHabbat se gul haa-e-teHseen nich~awar kiye haiN. Haqeeqat to yeh hai keh aap ka Haq bh~ee yahee hai. in meherbanooN ke naqd-o-naz^ar aor taoZ^eH se gaoya aek sanad mil jatee hai. khuda inheeN Aabaad rakh~e.

pas Z^arurat hai keh is takhleeq par dil kh~ool kar dad dee jae so meree t^araf se bh~ee dad aor teHseen ke guldaste qubool kijiye!
baqaol-e-Khawar SaHib: aap ne waqaee "aek aek lafz^ mootiyooN kee t^arH sajaya huwa hai. aor har har kheyaal SubH-e-raoshan kee t^arH Saaf hai" kiya kehne!

mashAllah Ghazal waqaee bohot HaseeN aor dilkash hai. mat^la' to gaoya khud bool uTh~a hai. aap kee Ghazal gaoee meN yeh nikh~aar aor taraqqee qabil-e-dad hai. aap ke haaN maZ^ameen kee koee kamee naheeN. aor dard kee farawaanee bh~ee hai. aor yahee nuskhah-e-Ghazal ko taaleef karne ke liye ashiya' darkaar hotee haiN.

mujh~e ummeed hai keh aap apnee maSrofiyaat meN se waqt nikaal kar tashreef latee raheeN gee. aor isee t^arH hamaree haoSilah afzaee farmatee raheeN gee. aor deegar woh ummeedwaar jinhooN ne mushaae'rah meN HiSSah liya hai un kee himmat afzaee bh~ee farmaeeN gee.

aek baar dobarah dad aor mubarak baad qubool kijiye!
khush raheeN! mushae'irah meN shumuliyat ke liye aap ka baRa shukr guzaar hooN.

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar

Re: Guzarish#27

Posted: Fri Apr 27, 2007 6:06 pm
by Rehana.A
Assalaam o alikumj
mohtaramah rehana saahebah

hum sab tiflay maktab haiN.

har lamha seekhtay haiN.

is raah meiN kayee ghaltiyaaN bhi hoti haiN humsay.magar hamaari mehnat aur lagan,zabaanay urdu say hamaari belaus mohabbat,mukhlis urdudaanoN ki dosti aur unkay pyaar nay hameN kabhie ruknay nahiN diya.hum chaltay rahe haiN chalte rahenge insha allah.

aapkay khuloos ki hum qadr kartay haiN.

hamaari dilee daad qubool farmaayeN is mukhlisaanah kaushish per. :rose :rose :rose :clap01:

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqri
[/quote]


Hamid sahib!

salaam
aap nay jis qadar khulooS say huosa afzaa,i ki hey us ka jawaab dainay kay liay mairay pass alfaaz nahien haien ,Allah taa,ala say du,aa hey kah is ka ajar woh khud aap ko atta farma,ay ,baharaal aap ka buhut shukriya.

Posted: Fri Apr 27, 2007 6:21 pm
by Rehana.A
muhammad_19k wrote:Salam REHAANA JI,

aap ne kamaal kar diyaa hai. ghazal bohat shaandaar hai. aik aik lafaz moteeyoN ki taraH sajaa huwaa hai. aor har har khyaal subH roshan ki taraH Saaf hai.

matl'a, girah aor maqt'a bhi zabardast haiN. ghazal aisi lateef hai ke girah meiN "go" ka wao giraana jaisi maamooli si baat bhi forun khatak gayee ke aisi shaandaar ghazal meiN ye itni se ra-ayat bhi iste'amaal naheen karni chahiaye.

aor aakhiri sha'er ke pehlay miSra meiN "thaa" ke jaga "hai" rakh kar bhi sochiaye.


dua'gao,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.
Khawar SaHib!

salaam
aap ki taraf say ghazal ki pazeeraa,i par inthaa,i massarat hu,ee ,
teh dil say mamnoon hoon .buhut buhut shukriya.
aap ki ashara kardah dono misron ko parhnay par maqt,aa kay baaray mien to baat kuch sumjh mien aa gai hey aur daikhiay kuch tabiat theek
hu,ee to inshAllah badal bhi doon gai ,buhut shukriya.
magar giraha kay sher waali baat mojhay sumjh nahien aa rahi ,yahaan
lafz Go mien nay jaan bojh kar hi istamaal kiya hey aur is lafz " Go "
say hi mairay khyaal kay motabiq duonon misron mien rabt mazbuot hota hey ,aap is ko aik baar duobara ghoor say daikhiay ga , ye bhi ho sakta hey aap nay jo baat kahi ho main pooree tarah sumjh nah paa,i hoon .baharhaal aap ki tah dil say mamnoon hoon ,umeed hey aap aaindaha bhi apnay mukhlaSana mashweron say nawaztay rahien agy .
aik baar teh dil say shukriya adda kartee hoon.

Posted: Fri Apr 27, 2007 6:34 pm
by Rehana.A
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtarmah ReHanah AHmad JanaaN SaHibah tasleemaat! :rose

aap kee Ghazal par hamare bh~aee Hamid Baqri SaHib aor hamare shafeeq-o-nuqt^ah fehem bh~aee MoHammad Khawar saHib ne jitne peyaar aor muHabbat se gul haa-e-teHseen nich~awar kiye haiN. Haqeeqat to yeh hai keh aap ka Haq bh~ee yahee hai. in meherbanooN ke naqd-o-naz^ar aor taoZ^eH se gaoya aek sanad mil jatee hai. khuda inheeN Aabaad rakh~e.

pas Z^arurat hai keh is takhleeq par dil kh~ool kar dad dee jae so meree t^araf se bh~ee dad aor teHseen ke guldaste qubool kijiye!
baqaol-e-Khawar SaHib: aap ne waqaee "aek aek lafz^ mootiyooN kee t^arH sajaya huwa hai. aor har har kheyaal SubH-e-raoshan kee t^arH Saaf hai" kiya kehne!

mashAllah Ghazal waqaee bohot HaseeN aor dilkash hai. mat^la' to gaoya khud bool uTh~a hai. aap kee Ghazal gaoee meN yeh nikh~aar aor taraqqee qabil-e-dad hai. aap ke haaN maZ^ameen kee koee kamee naheeN. aor dard kee farawaanee bh~ee hai. aor yahee nuskhah-e-Ghazal ko taaleef karne ke liye ashiya' darkaar hotee haiN.

mujh~e ummeed hai keh aap apnee maSrofiyaat meN se waqt nikaal kar tashreef latee raheeN gee. aor isee t^arH hamaree haoSilah afzaee farmatee raheeN gee. aor deegar woh ummeedwaar jinhooN ne mushaae'rah meN HiSSah liya hai un kee himmat afzaee bh~ee farmaeeN gee.

aek baar dobarah dad aor mubarak baad qubool kijiye!
khush raheeN! mushae'irah meN shumuliyat ke liye aap ka baRa shukr guzaar hooN.

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar

Muzaffar bhaa,i

salaam
mojhay moaloom hey kah aap daad dainay mien buhut faakh dil waq,aa
huay haien :-) is liay hi is waqt khud ko arsh par nahienmahsoos kar rahi ,
ye aap ki alaa zarfi aur banda nawazi hey .warnah manaanam kah man daanam .
aap ka hukam sar aankhon par .main aaj kal kuch tabiat ki kharaabi ka shikaar hoon ,kuch mousam ka acar lagta hey inshAllh zaroo mushairay main bhar poor shirkat kiya karon ,is waqt to main apni site par bhi logon ko kam kam hi jawaab day paa rahi hoon magar inshallah jald hi bhar poor tareeqay say shirkat kar sakon gee .Allah taala say umeed hey ,aap sub say du,aa ki darkhawst hey .aap sub ki mohubbaton ka buhut shukriya. :-)