Page 1 of 1

Husn ik nuqta meiN jaa-aye ga simaT

Posted: Sat Apr 28, 2007 8:22 am
by muhammad_19k
Salam dosto,

leejiaye aik aor ghazal paish e khidmat hai. aap ki aaraa ka intezaar rahay ga.

mamnoon,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.

* Ghazal Roman meiN bhi likh di gayee hai.

Posted: Sat Apr 28, 2007 8:23 am
by muhammad_19k
GHAZAL ROMAN URDU

1. kia acar us par tirii taqreer kaa
sun lay jo naalaa miray dil geer kaa

2. i'shq sodaa hai faqt taqdeer kaa
i'shq se kyaa waastaa tadbeer kaa

3. Husn ik nuqtay meiN jaa-aye ga simaT
mas'alaa hai i'shq ki tafseer kaa

4. ham naheeN lailaa tujhe kuch jaantay
hay sabab majnooN tirii tashheer kaa

5. kaakal e sarkash ko qaboo kia kiyaa.
khul gyaa Halqa mirii zanjeer kaa

6. ye sikhast o raikht o dil khastgi
hai bahaana zaat ki ta'meer kaa

7. khaab YOUSUF to bohat aasaan thaa
thaa safar mushkil magar ta'beer kaa

8. lo jabeeN ko saNg e dar hai mil gayaa
ab badal jaa'aye ga khat taqdeer kaa

9. uthati haiN :khawar: jo mujh par ungliaN
hai amal ye nafs ki taTheer kaa

10. ho gyaa chehraa thaa us kaa laal laal
bosaa meiN ne jab leeaya taSweer kaa.

Posted: Sat Apr 28, 2007 9:26 am
by Shummu
wahh...Salam khawar sahab..aap ki ghazal humne paRHi..acchi lagi..so daad pesh hai... roman mein kayi jagah typing ki ghaltiyaan hain..unhe sahi kar lijiyega..baaqi ghazal bahut khoobsurat hai...dili daad pesh hai..!

shumaila

Posted: Sat Apr 28, 2007 12:34 pm
by muhammad_19k
SHUMAILA JI

ghalateeoN ki nishandahi aor ghazal par daad ke leeaye aap ka shukriyaa adaa kartaa hooN. qabool kijiaye.

mutashakkar,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI

Posted: Sat Apr 28, 2007 5:27 pm
by sbashwar
Mohtaram Khawar Sahib
:salaam:

Aap ki ghazal ke mundarja-zail ashar bohat pasand aaye:

2. i'shq sodaa hai faqt taqdeer kaa
i'shq se kyaa waastaa tadbeer kaa

3. Husn ik nuqtay meiN jaa-aye ga simaT
mas'alaa hai i'shq ki tafseer kaa

4. ham naheeN lailaa tujhe kuch jaantay
hay sabab majnooN tirii tashheer kaa

7. khaab YOUSUF to bohat aasaan thaa
thaa safar mushkil magar ta'beer kaa

8. lo jabeeN ko saNg e dar hai mil gayaa
ab badal jaa'aye ga khat taqdeer kaa

9. uthati haiN :khawar: jo mujh par ungliaN
hai amal ye nafs ki taTheer kaa

Meri dili daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.
Shukria

Posted: Sun Apr 29, 2007 9:22 am
by Sohail Malik
Khawer Saaheb: Aadab!

Majmui tour per aap ki yeh ghazal bohat pasand ayi; DheroN daad qabul kijiay.

chand maaruzaat haiN jo hasb e riwaet pesh kernay ki jassaret keruN ga

1. kia acar us par tirii taqreer kaa
sun lay jo naalaa miray dil geer kaa

is sher maiN aap miray dilgeer kis ko keh rehay haiN.

2. i'shq sodaa hai faqt taqdeer kaa
i'shq se kyaa waastaa tadbeer kaa

ishq ko aap nay jo teqdeer ka soda qarar dia hay yeh mehz aap ka khayal hay ya kissi naqabil e terdeed dalil ki buniyad per aisa keh rehay haiN.

3. Husn ik nuqtay meiN jaa-aye ga simaT
mas'alaa hai i'shq ki tafseer kaa

husn ka ik nuktay maiN simaTna kia maani....kia aap yeh kehna chah rehay haiN keh husn ki tafseel bayan kerna bohat aasan hay?

4. ham naheeN lailaa tujhe kuch jaantay
hay sabab majnooN tirii tashheer kaa

bohat achay

5. kaakal e sarkash ko qaboo kia kiyaa.
khul gyaa Halqa mirii zanjeer kaa

yahaN aap ka zanjeer ka halqa khulnay say kia murad hay, kia aap yeh kehna chah rehay haiN keh mehbob ka daam maiN aana aap ki rihai ka baes hay?

6. ye sikhast o raikht o dil khastgi
hai bahaana zaat ki ta'meer kaa

khayal bohat acha hay


7. khaab YOUSUF to bohat aasaan thaa
thaa safar mushkil magar ta'beer kaa

acha khayal hay

8. lo jabeeN ko saNg e dar hai mil gayaa
ab badal jaa'aye ga khat taqdeer kaa

yeh bhi Theek hay

9. uthati haiN :khawar: jo mujh par ungliaN
hai amal ye nafs ki taTheer kaa

bohat acha khayal hay

10. ho gyaa chehraa thaa us kaa laal laal
bosaa meiN ne jab leeaya taSweer kaa.

Mazret; kuch aamianah sher lag raha hay.


wassalam
Sohail Malik




.