Page 1 of 1

na maiN ranj huN na malal huN na huN soz-e-ishq-e-azaab meN

Posted: Mon Feb 07, 2005 11:40 pm
by Hashmat Usmani
salaam dosto,

aapkii Khidmat meN maiN apna yeh kalaam le kar Haazir huaa huuN. ummeed hai ki shaayad aapko pasand aaye. aapkii aaraa ka intezaar rahegaa. shukria.


1.
na maiN ranj huuN na malaal huuN, na huuN soz-e-'ishq-e-'azaab meN
na mira jamaal hai dil_shikan, jo hai tere vasf-e-Khitaab meN

2.
kabhii huuN maiN qatra-e-aarzoo, kabii huuN maiN bai'Hr-e-sahaab-e-hoo
kabhii huuN maiN bar sar-e-neh_falak, kabhii tashna zer-e-toraab meN

3.
kabhii rai'HmatoN ka nuzool huuN. kabhii zulmatoN ka zuhoor huuN
nahiiN kuchh Khabar ki huuN maiN kahaaN tire kaar_saaz-e-Hisaab meN

4.
kabhii Husn meN tire saaz hai, kabhii 'ishq meN tire naaz hai
kabhii lazzatoN kii hai dil_bariitire mast daab-e-Hobaab meN

5.
kabhii dil meN teraa makaan hai, kabhii 'arsh pe tirii shaan hai
yeh kise Khabar ki hai raaz kia jo chhupaa hai tere Hijaab meN

6.
tujhe chhoR kar tirii shaan par merii arzoo hai khiNchii to kia
merii hastii, go! sanam_aashnaa, sar-e-Kham khaRii hai janaab meN

7.
teh-e-Khaak tujhko dabaa diyaa hai Khumaar-e-zohd_o_Ghuroor ne
kise, "Sai'hbaa_Jii!", yeh pataa chalaa ki hai kaun mast-e-sharaab meN

bahut khoob

Posted: Tue Feb 08, 2005 3:41 am
by Abdullah Nazir

MuHtaram
HASHMAT USMANI Saahib


Purkhuloos Tasleemaat, :)

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi. Gahre mazaameen kaa AHaaTa karne kii koushish bahut khoob hei.

Tafseeli tabsirah karne meiN bahut ziyaada waqt kii zaroorat paish aati hei. Lekin itnaa zaroor kahungaa keh bahut achchi koushish kii hei aap ne jiske liye maiN aapko daad aur mubaarkbaad paish kartaa hooN.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


Posted: Sat Feb 12, 2005 7:52 pm
by irfan abid
Hashmat Sb, aadaab!

yaad nahiiN ki is se qabl aap kii koii taKhleeq nazar se guzrii hai yaa nahiiN. baharhaal, aap kii Ghazal pasand aayii. daad qubuul keejiye!

baar-e-Khaatir na guzre to arz hai ki alfaaz aur taraakeeb kii ne.rangiyoN ke baavujuud mujhe asar.pazeerii aur Khush.bayaanii kii kamii mahsuus huii. kayii ash.aar kaa mafhuum un kii daqeeq bunat meN ulajh kar rah gayaa hai. merii naacheez raae hai ki aap is jaanib tavajjuh farmaayeN.

ek baat aur! ALUP aur eBazm par ek Aslam Saihbaa Sb aayaa karte the jo ek muddat se nazar nahiiN aaye. kahiiN aap vuhii Saihbaa Sb to nahiiN?

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Sun Feb 13, 2005 5:50 am
by Star Mind
Assalam-o-a'laikum,

moHtarami Hashmat Usmaani SaaHib,

mashaa Allah , nazar na lage , aap ne to kamaal kardiyaa Huzoor ! :shock:

baht hi dil-kash ghazal i'nayat farmaaii aapne !! , maiN to dil thaam thaam k ghazal paRhtaa raha :wink: . kyaa andaaz-e-bayaaN hai !! waah ! wallah lutf aagaya !! :D . mazaamen nihaayat khoob baaNdhe haiN aap ne !! mujhe tamaam asha'aar hi bahut pasand aaye janaab!!
DheroN daad qabool farmaaye :) . shukriya

mokhliS : Zia Baloch

Posted: Sun Feb 13, 2005 11:39 am
by najma
janab hashmat usmani sahib
assalam-o-alaikum
apka kalam bohat pasand aya, :) .
daad qubool kijiyey
khair andesh
najma
:)

Posted: Mon Feb 14, 2005 7:31 pm
by tahira Masood
:shock: :shock:

Janab Hashmat bhaii

salaam-e-khloos

aap tau bohat hi achaa likh laite heiN. daada aur mubarak baad k intehaaeee mustahiq haiN aap.

Mashallah dilee daad qabul kereiN chote bhaii

wassalam

Re: na maiN ranj huN na malal huN na huN soz-e-ishq-e-azaab

Posted: Tue Feb 15, 2005 1:24 pm
by Shummu
na maiN ranj huuN na malaal huuN, na huuN soz-e-'ishq-e-'azaab meN
na mira jamaal hai dil_shikan, jo hai tere vasf-e-Khitaab meN

2.
kabhii huuN maiN qatra-e-aarzoo, kabii huuN maiN bai'Hr-e-sahaab-e-hoo
kabhii huuN maiN bar sar-e-neh_falak, kabhii tashna zer-e-toraab meN

3.
kabhii rai'HmatoN ka nuzool huuN. kabhii zulmatoN ka zuhoor huuN
nahiiN kuchh Khabar ki huuN maiN kahaaN tire kaar_saaz-e-Hisaab meN

4.
kabhii Husn meN tire saaz hai, kabhii 'ishq meN tire naaz hai
kabhii lazzatoN kii hai dil_bariitire mast daab-e-Hobaab meN

5.
kabhii dil meN teraa makaan hai, kabhii 'arsh pe tirii shaan hai
yeh kise Khabar ki hai raaz kia jo chhupaa hai tere Hijaab meN

6.
tujhe chhoR kar tirii shaan par merii arzoo hai khiNchii to kia
merii hastii, go! sanam_aashnaa, sar-e-Kham khaRii hai janaab meN

7.
teh-e-Khaak tujhko dabaa diyaa hai Khumaar-e-zohd_o_Ghuroor ne
kise, "Sai'hbaa_Jii!", yeh pataa chalaa ki hai kaun mast-e-sharaab meN

waise to ghazal bahut achchi lagi..han kahin kahin smajhne mein mushkil pesh aayi..kya hi achcha ho itne mushkil alfaaz istimaal karte waqt..uske maayne bhi darj kar diya karein :twisted:

Daad haazir hai! 8)

Shumaila