Page 1 of 1

Guzarish#28 ke liye apnee ma'mulee se koshish!

Posted: Tue May 01, 2007 11:46 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Yaran-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat! :rose

Guzarish#28 ke liye apnee ma'mulee se koshish pesh karne kee sa'adat HaSil kar raha hooN. asha'ar ko mulaHiZ^ah farma kar mashkoor hooN.

1,
jahaaN dekh~iye woh naz^ar aa rahe haiN!
hameeN yoN woh haeraN kiye jaa rahe haiN!

2,
yoN teer-e-naz^ar dil peh ham kh~a rahe haiN!
nah puch~o keh kaese jiye jaa rahe haiN!

3,

Woh milne kee jh~oTee qasam kh~a rahe haiN
"muHabbat meN yeh kiya maqaam aa rahe haiN"

4,
hameN qatl kar ke sar-e-rah-e-ulfat
woh apnee ada par miTe jaa rahe haiN!

5,
naheeN reg zarooN kee parwah ham ko!
qadam su-e-manzil uTh~e jaa rahe haiN!

6,
naheeN ham se paosheedah anjaam-e-ulfat!
keh aaNkh~oN se aaNsu bahe jaa rahe haiN!

7,
sar-e-daar bh~ee tere sarshaar a'ashiq
muHabbat muHabbat kahe jaa rahe haiN!

8,
Muz^affar bh~ala is kee ta'beer kiya hai?
Woh ka'bah-e-dil meN chale aa rahe haiN!

Posted: Wed May 02, 2007 11:08 am
by muhammad_19k
Janab Muzaffar SaHeb

meiN jaantaa hooN ki aik lehar aa-ii, khyaalaat ki aamaad hoee aor aap ka qalam chal niklaa. aor ye bhi shroo aat hai. TaraH miSr'a daikh kar mujhe andaaza hotaa hai ke aap kam az aik aor ghazal to zaroor likhaiN gaiN. Do ho jaa-aiN to kuch ba'eed naheeN. :-).

aap ke sub ashaar baRay achchhay haiN. kyaa khyaal hai in ashaar
yoN teer-e-naz^ar ham sahe ja rahe haiN!
nah puch~o keh kaese jiye ja rahe haiN!

3,
hameN qatl kar ke sar-e-rah-e-ulfat
woh apnee ada par miTe ja rahe haiN!

4,
naheeN reg zarooN kee parwah ham ko!
qadam su-e-manzil uTh~e ja rahe haiN!

5,
naheeN ham se posheedah anjaam-e-ulfat!
keh aaNkh~oN se aaNsu bahe ja rahe haiN!
ko aik alaihdaa ghazal meiN samo diyaa jaa-aye kyooN ke in ka radeef ja rahay haiN aor qawafi bahay, kahay, mitay, uthay waghairaa haiN.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Re: Guzarish#28 ke liye apnee ma'mulee se koshish!

Posted: Thu May 03, 2007 5:28 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Yaran-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat! :rose

Guzarish#28 ke liye apnee ma'mulee se koshish pesh karne kee sa'adat HaSil kar raha hooN. asha'ar ko mulaHiZ^ah farma kar mashkoor hooN.

1,
jahaaN dekh~iye woh naz^ar aa rahe haiN!
hameeN yoN woh haeraN kiye jaa rahe haiN!

2,
yoN teer-e-naz^ar dil peh ham kh~a rahe haiN!
nah puch~o keh kaese jiye jaa rahe haiN!

3,

Woh milne kee jh~oTee qasam kh~a rahe haiN
"muHabbat meN yeh kiya maqaam aa rahe haiN"

4,
hameN qatl kar ke sar-e-rah-e-ulfat
woh apnee ada par miTe jaa rahe haiN!

5,
naheeN reg zarooN kee parwah ham ko!
qadam su-e-manzil uTh~e jaa rahe haiN!

6,
naheeN ham se paosheedah anjaam-e-ulfat!
keh aaNkh~oN se aaNsu bahe jaa rahe haiN!

7,
sar-e-daar bh~ee tere sarshaar a'ashiq
muHabbat muHabbat kahe jaa rahe haiN!

8,
Muz^affar bh~ala is kee ta'beer kiya hai?
Woh ka'bah-e-dil meN chale aa rahe haiN!

:salaam2:
biraadare azeez muzaffar saahib

acchay sher niklay haiN aapkay qalam say.

kya ghazal kahi hai aapnay............waah...............MASHA ALLAH.

dilee daad qubool farmaayeN... :rose :rose :rose :clap01:

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah.

aapka apna
haamidbaaqri

Posted: Thu May 03, 2007 9:54 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Biradaram Mukarram Janab M. Khawar SaHib aadaab! :-)

Aap jis lagan, justuju, inhemaat, aor istaGhraak se kalam ko mulaHiZ^ah farmate haiN. Haqeeqat to yeh hai keh yahee Haq bh~ee hai. keh kalam ko isee tawajjau se dekh~a jae. is i'nayat aor iradar ke liye aap ka minnat shanaas hooN.

aap ka mashwarah achch~a hai. lekin is par a'amat us waqt behtar ho ga jab faqeer kee dusree Ghazal mushae'irah#28 meN pesh ho chukee ho. :-)

jahaaN deegar SaHibaan-e-nuqt^ah sanj kee Ghazleeyaat ka shiddat se intez^aar hai wahaaN aap kee Ghazal ka bh~ee muntaz^ir hooN. deer nah kijiye. aor awwal awwal hee Ghazal a't^a farma kar mashkoor hooN.

to HuZ^oor awwal awwal niklijiy! baqaol-e-Firaq gh~orkapuri 1896.

"Wali-o-Mir-o-Ghalib bh~ee CharaaGh-e-rah th~e lekin
Wah nikle awwal awwal aakhir aakhir ham nikalte haiN" :-)

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar

Posted: Thu May 03, 2007 10:13 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Biradaram moHtaram Janab Hamid Baaqri SaaHib :salaam2:

Ghazal kee pazeeraee aor himmat afzaaee ke liye aap ka dilee mamnoon hooN. Khuda-e-buzurg-o-bartar aap ko daraaz-e-u'mr se nawaze aor aap kee deenee aor rooHaanee kawisheeN aap kee maGhfirat ka saamaan ban jaeeN. (Aameen)

Wassalam
Muz^affar A Muz^affr

Re: Guzarish#28 ke liye apnee ma'mulee se koshish!

Posted: Fri May 04, 2007 5:58 am
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Yaran-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat! :rose

Guzarish#28 ke liye apnee ma'mulee se koshish pesh karne kee sa'adat HaSil kar raha hooN. asha'ar ko mulaHiZ^ah farma kar mashkoor hooN.

1,
jahaaN dekh~iye woh naz^ar aa rahe haiN!
hameeN yoN woh haeraN kiye jaa rahe haiN!

2,
yoN teer-e-naz^ar dil peh ham kh~a rahe haiN!
nah puch~o keh kaese jiye jaa rahe haiN!

3,

Woh milne kee jh~oTee qasam kh~a rahe haiN
"muHabbat meN yeh kiya maqaam aa rahe haiN"

4,
hameN qatl kar ke sar-e-rah-e-ulfat
woh apnee ada par miTe jaa rahe haiN!

5,
naheeN reg zarooN kee parwah ham ko!
qadam su-e-manzil uTh~e jaa rahe haiN!

6,
naheeN ham se paosheedah anjaam-e-ulfat!
keh aaNkh~oN se aaNsu bahe jaa rahe haiN!

7,
sar-e-daar bh~ee tere sarshaar a'ashiq
muHabbat muHabbat kahe jaa rahe haiN!

8,
Muz^affar bh~ala is kee ta'beer kiya hai?
Woh ka'bah-e-dil meN chale aa rahe haiN!

Azeezi Muzaffar SaaHab,
Aadaab

Husn.e taGhazzul se bharpur aapki Ghazal nazar nawaaz huwee jo bohat pasaNd aaii. Daad qubool kijiye.

Yeh amr qaabile sataaish hai keh aap is mushaaireh ko itni kaamyaabee se chalaa rahee haiN. Allah kare Nazir Sahab ka shuru kiya huuwa yeh kaam jaaree.o.saare rahe aur woh Khud sehatyaab hoker yahaN aayeN aur dekheN unki Ghair maujoodgee meN aap ne kitni achchee tarah is kaam ko anjaam diya.

Is baar miSra bhee bohat achchaa aur aasaan hai. Qawafee ki boHtaat hai. Har shayar is zameen meN bohat aasaanee se Ghazal kah sakta hai. Mujhe ummid hai yeh mushaairah guzishta mushaireh se bhee ziyadah kaamyaab hoga, Insha Allah.

Khoosh raheN!

MuKhliS
Jawaid

Posted: Sat May 05, 2007 5:17 pm
by Rehana.A
Muzaffar Bhaai! aap ki ghazal buhut pasand aa,i khaas toor
par yeh sher to aisa lagta hey kah aap nay mairay hasab-e-haal
likh diya hey :-)

hameN qatl kar ke sar-e-rah-e-ulfat
woh apnee ada par miTe jaa rahe haiN!
buhut khuob

Muz^affar bh~ala is kee ta'beer kiya hai?
Woh ka'bah-e-dil meN chale aa rahe haiN!

Mubarak Khawaab hey :grin:
gardash khoon mien shamil kar kay saaray chakar pooray karaiay ga :-)
hisaab barabar ......

mazaaq bar tarruf buhut khuobsuorat ghazal kahi hey aap nay ,
aap ki ghazal ki raani daikhien to aisa lagta hey kah misray par likhna
sahal hi hoga ,magar jo Haqeeqat hey woh hum hi jaantay haien,phir bhi koshish zaroor karien gay ,likhnay ki ,InshAllah.

Posted: Sat May 05, 2007 8:38 pm
by Shummu
wah muzaffar sahab wah...bade din baad aapki koi ghazal nazar se guzri jiska lutf hum bhi uThaa sake warna ab tak aap itni saqeel urdu mein ghazlein keh rahe the ke hum to sar dhunte hi reh jaate the...samajh hi nahi aate the ashaar aur isliye daad bhi nahi de paati thi...jiske liye main bahut sharminda hoon aur ye yaqeenan meri kam ilmi ke baa'is tha warna kalaam to woh bhi aap ke khoob hi the... dili daad pesh hai muzaffar sahab ..! :)
Adaab,
shumaila

Posted: Sun May 06, 2007 10:00 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Shummu wrote:wah muzaffar sahab wah...bade din baad aapki koi ghazal nazar se guzri jiska lutf hum bhi uThaa sake warna ab tak aap itni saqeel urdu mein ghazlein keh rahe the ke hum to sar dhunte hi reh jaate the...samajh hi nahi aate the ashaar aur isliye daad bhi nahi de paati thi...jiske liye main bahut sharminda hoon aur ye yaqeenan meri kam ilmi ke baa'is tha warna kalaam to woh bhi aap ke khoob hi the... dili daad pesh hai muzaffar sahab ..! :)
Adaab,
shumaila

moHtarmah Shummu Jee aadaab!

Ghazal ko pasand karne ka be Had shukriyah maiN koshish karooN ga. keh kalam ko aasaan aor sehel bana sakooN.

kiya hee achch~a ho agar aap bh~ee chand she'er aap bh~ee keh deeN. aor mushae'rah kee raonaq baRh~a deeN.

aap ka bobarah mamnoon hooN.

Wassalam
Muz^affar

Posted: Mon May 07, 2007 5:42 pm
by Shummu
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:

jee inshallah koshish karungi..aapne hamari taaza ghazal dekhi kalaam-e-sukhanwar mein jo st ke tarahi misre pe likhi hai...ummeed hai aap ko pasand aayegi... :-)

Posted: Mon May 07, 2007 6:37 pm
by Sohail Malik
Muzaffar Saaheb

Aap ki ghazal kuch din huay peRhi thi laikin kuch likh nah saka.

Mukhtaciran arz yeh hay keh ghazal kay tamam hi ashaar pasand aye is liay daad qabul kijiay

wassalam
Sohail Malik

Posted: Fri May 11, 2007 4:41 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah Saara SaHibah aadaab!

Daad aor himmat afzaee ke kiye aao ka mamnoon-o-mutashakkir hooN.
khush raheeN.

Wassalam
Muzaffar

Re: Guzarish#28 ke liye apnee ma'mulee se koshish!

Posted: Fri May 11, 2007 8:27 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jawaid badauni wrote:
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Yaran-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat! :rose

Guzarish#28 ke liye apnee ma'mulee se koshish pesh karne kee sa'adat HaSil kar raha hooN. asha'ar ko mulaHiZ^ah farma kar mashkoor hooN.

1,
jahaaN dekh~iye woh naz^ar aa rahe haiN!
hameeN yoN woh haeraN kiye jaa rahe haiN!

2,
yoN teer-e-naz^ar dil peh ham kh~a rahe haiN!
nah puch~o keh kaese jiye jaa rahe haiN!

3,

Woh milne kee jh~oTee qasam kh~a rahe haiN
"muHabbat meN yeh kiya maqaam aa rahe haiN"

4,
hameN qatl kar ke sar-e-rah-e-ulfat
woh apnee ada par miTe jaa rahe haiN!

5,
naheeN reg zarooN kee parwah ham ko!
qadam su-e-manzil uTh~e jaa rahe haiN!

6,
naheeN ham se paosheedah anjaam-e-ulfat!
keh aaNkh~oN se aaNsu bahe jaa rahe haiN!

7,
sar-e-daar bh~ee tere sarshaar a'ashiq
muHabbat muHabbat kahe jaa rahe haiN!

8,
Muz^affar bh~ala is kee ta'beer kiya hai?
Woh ka'bah-e-dil meN chale aa rahe haiN!

Azeezi Muzaffar SaaHab,
Aadaab

Husn.e taGhazzul se bharpur aapki Ghazal nazar nawaaz huwee jo bohat pasaNd aaii. Daad qubool kijiye.

Yeh amr qaabile sataaish hai keh aap is mushaaireh ko itni kaamyaabee se chalaa rahee haiN. Allah kare Nazir Sahab ka shuru kiya huuwa yeh kaam jaaree.o.saare rahe aur woh Khud sehatyaab hoker yahaN aayeN aur dekheN unki Ghair maujoodgee meN aap ne kitni achchee tarah is kaam ko anjaam diya.

Is baar miSra bhee bohat achchaa aur aasaan hai. Qawafee ki boHtaat hai. Har shayar is zameen meN bohat aasaanee se Ghazal kah sakta hai. Mujhe ummid hai yeh mushaairah guzishta mushaireh se bhee ziyadah kaamyaab hoga, Insha Allah.

Khoosh raheN!

MuKhliS
Jawaid

moHtaram Biraadaram Jawaid Badauni SaHib aadaab!

aap kee hammat afzaaee aor dad ke liye aap ka teh-e-dil se mamnoon hooN. khuda aap ko salamat rakh~e.

mushae'irah kee kamyaabee ka inheSaar aap jaese mukhliS dostooN kee shumuliyat par hai. agar aap lood taa'awun nah kareeN to aesee kaamyabee ka tawawwur bh~ee muHaal ho jae.

maiN aap sab dostooN ka dil-o-jaan se shukr guzaar hooN. aor mushae'irah kee kamyabee par aap ko mubarak baad deta hooN.

ijazut deejiye
Wassalam
Muz^affar