Page 1 of 2

GUZARISH #28 - kuraidooN jo insaaN nazar aa rahe haiN.

Posted: Thu May 03, 2007 5:41 am
by haamidbaaqri
:salaam2:
dosto

mahay rawaaN kay micre per hum apni adna see kaavish aapki nazr kar rahay haiN.

gar qubool uftad zahay....

arz kiya hai........


karaudoN jo insaaN nazar aa rahay haIN
ajal ki taraf yeh chalay jaarahay haiN

tum aisay nazaaroN say dhoka nah khaana
keh ghaflat meiN yeh sab jiye jaa rahay haiN.

hisaab apna karlena marnay say pehlay
mohammed(sawaw)yeh kab say kahay jaa rahay haiN

gaye tum say pehlay haiN jitnay bhi insaaN
kiya jo yahaaN per wohi paa rahay haiN

musalmaan haamid kahaygaa nah hargiz
"mohabbat meiN yeh kya muqaam aa rahay haiN"

nateejye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

Posted: Thu May 03, 2007 11:54 am
by muhammad_19k
MOHTARAM JANAB HAMID SAHEB

kaise mizaaj haiN aap ke? umeed kartaa hooN ke sub kuch khairiat se hoga.

is maah ke TaraHi miSraa par aap ka nateeja e fikr aankhoaN ke saamne hai. maashaa Allah aap aik baar phir aap ne bohat khoobSoorat mazaameen baandhay haiN. maqta' ka khyaal bohat gehraa oar latef hai.

iss kaamyaab koshish par mirii taraf se mubaarakbaad qabool kijiaye.

du'aa go,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.

Posted: Thu May 03, 2007 7:03 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biraadaram janab Hamid Baaqri SaHib aadaab! :rose

Guzarish 28 ke liye aap kee Ghazal bat^aor-e-numaae'ish pesh kee ja chukee hai. kiya kehne!

Is meN kisee shubah kee koee gunjaai'sh naheeN keh aap kee aamad mushaae'ire kee kamyabee kee a'alamat hai. is liye aek t^araf to aap kee tashreef aawaree ke liye faqeer hameshah hee mamnoon rehta hai.
aor har maah yeh khuwahish hotee hai keh aap ko da'awat-e-khaaS de kar madao' kiya jae lekin aap us da'awat-e-mushae'irah se pehle hee tashreef la chke hote haiN. :-)

kalam wohee apne makhSooS rang-e-taSawwuf se rangeen hai. bayaan kee pukhtagee kheyaal kee nudrat aor fikr kee parwaaz Aafaqee hone meN koee shubah naheeN. kiya kehne!! asha'aar dil-o-dimaaGh par aek rooHanee kaef-o-mastee kee see kaefiyat paeda kar raha hai.

tasawwuf kee is chaashnee ke maze Janab-e-Dard ke haaN bh~ee milte haiN lekin afsoos keh un ka kalam har khaaS-o-a'aam ke liye naheeN...... Sad shukr keh aap ke kalam ko yeh ae'jaaz haSil hai keh is se sabh~ee makhlooq-e-khuda mustafeed ho saktee hai.

karaudoN jo insaaN nazar aa rahay haIN
ajal ki taraf yeh chalay jaarahay haiN
mashallah

tum aisay nazaaroN say dhoka nah khaana
keh ghaflat meiN yeh sab jiye jaa rahay haiN.
mashallah

hisaab apna karlena marnay say pehlay
mohammed(sawaw)yeh kab say kahay jaa rahay haiN
mashallah

gaye tum say pehlay haiN jitnay bhi insaaN
kiya jo yahaaN per wohi paa rahay haiN
mashallah

musalmaan haamid kahaygaa nah hargiz
"mohabbat meiN yeh kya muqaam aa rahay haiN"
mashallah

Hamib bh~aee is khubSurat muraSSa' nigaaree par meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiye!

Wassalam
Muz^affar

Re: "karaudoN jo insaaN nazar"GUZARISH #28

Posted: Fri May 04, 2007 5:52 am
by jawaid badauni
haamidbaaqri wrote::salaam2:
dosto

mahay rawaaN kay micre per hum apni adna see kaavish aapki nazr kar rahay haiN.

gar qubool uftad zahay....

arz kiya hai........


karaudoN jo insaaN nazar aa rahay haIN
ajal ki taraf yeh chalay jaarahay haiN

tum aisay nazaaroN say dhoka nah khaana
keh ghaflat meiN yeh sab jiye jaa rahay haiN.

hisaab apna karlena marnay say pehlay
mohammed(sawaw)yeh kab say kahay jaa rahay haiN

gaye tum say pehlay haiN jitnay bhi insaaN
kiya jo yahaaN per wohi paa rahay haiN

musalmaan haamid kahaygaa nah hargiz
"mohabbat meiN yeh kya muqaam aa rahay haiN"

nateejye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah


Azeezi Haamid SaaHab,
Aadaab

Nek Khayaalat aur muqaddas paiGhamaat per mushtamil aapki Ghazal nazar nawaz huuwee. Bohat Khushee huwee. Pahle bhi Arz kar chuka hooN, aaj ki duniya meN bohat kum log rah gaye haiN achchee aur suchchee baat kahne wale. Allah aap ko salaamat rakhkhe, aameen.

Daad qubool farmaaiye.

Jawaid

Posted: Sat May 05, 2007 10:20 am
by Shummu
Salam haamid sahab...hasb-e-maamool aap ka ye kalaam bhi khoob hai...daad pesh hai!

jazakaaAllah!

shukriya

Posted: Sun May 06, 2007 5:05 am
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:MOHTARAM JANAB HAMID SAHEB

:salaam2:
mohtaram janaab mohammed khawar saahib

kaise mizaaj haiN aap ke? umeed kartaa hooN ke sub kuch khairiat se hoga.

jee....al hamdulillah bilkul theek haiN hum.aap kaise haiN?


is maah ke TaraHi miSraa par aap ka nateeja e fikr aankhoaN ke saamne hai. maashaa Allah aap aik baar phir aap ne bohat khoobSoorat mazaameen baandhay haiN. maqta' ka khyaal bohat gehraa oar latef hai.

iss kaamyaab koshish par mirii taraf se mubaarakbaad qabool kijiaye.

du'aa go,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.
aapki musalsal hausalah afzaayee aur purkhuloos daad kay hum behad shukrguzaar haiN.

jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri

shukriya

Posted: Sun May 06, 2007 5:15 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biraadaram janab Hamid Baaqri SaHib aadaab! :rose

:-) :salaam2:
biraadare azeez muzaffar saaahib

Guzarish 28 ke liye aap kee Ghazal bat^aor-e-numaae'ish pesh kee ja chukee hai. kiya kehne!

shukriya....

Is meN kisee shubah kee koee gunjaai'sh naheeN keh aap kee aamad mushaae'ire kee kamyabee kee a'alamat hai.

hausalah afzaayee ka bahut bahut shukriya.


is liye aek t^araf to aap kee tashreef aawaree ke liye faqeer hameshah hee mamnoon rehta hai.

nawaazish aapki janaab....

aor har maah yeh khuwahish hotee hai keh aap ko da'awat-e-khaaS de kar madao' kiya jae lekin aap us da'awat-e-mushae'irah se pehle hee tashreef la chke hote haiN. :-)

aapki purkhuloos mohabbat ka shukriya.

kalam wohee apne makhSooS rang-e-taSawwuf se rangeen hai. bayaan kee pukhtagee kheyaal kee nudrat aor fikr kee parwaaz Aafaqee hone meN koee shubah naheeN. kiya kehne!! asha'aar dil-o-dimaaGh par aek rooHanee kaef-o-mastee kee see kaefiyat paeda kar raha hai.

lafzoN say khelna tau koyee aapsay seekhay.aapkay khutoot hamaaray liye aik madrasa haiN.

tasawwuf kee is chaashnee ke maze Janab-e-Dard ke haaN bh~ee milte haiN lekin afsoos keh un ka kalam har khaaS-o-a'aam ke liye naheeN...... Sad shukr keh aap ke kalam ko yeh ae'jaaz haSil hai keh is se sabh~ee makhlooq-e-khuda mustafeed ho saktee hai.

dua farmaayeN keh yeh silsilaa hamaari aakhri saans tak jaari rahay.aameen.

karaudoN jo insaaN nazar aa rahay haIN
ajal ki taraf yeh chalay jaarahay haiN
mashallah
shukriya

tum aisay nazaaroN say dhoka nah khaana
keh ghaflat meiN yeh sab jiye jaa rahay haiN.
mashallah
shukriya

hisaab apna karlena marnay say pehlay
mohammed(sawaw)yeh kab say kahay jaa rahay haiN
mashallah
shukriya

gaye tum say pehlay haiN jitnay bhi insaaN
kiya jo yahaaN per wohi paa rahay haiN
mashallah
shukriya

musalmaan haamid kahaygaa nah hargiz
"mohabbat meiN yeh kya muqaam aa rahay haiN"
mashallah
shukriya

Hamib bh~aee is khubSurat muraSSa' nigaaree par meree dilee dad aor mubarak baad qubool kijiye!

Wassalam
Muz^affar
aapki mukhlisaanah daad aur mubaarakbaad kayliye hum aapkay behad mamnoono mashkoor haiN.

salaamat raheN
aapka apna
haamidbaaqri

shukriya

Posted: Sun May 06, 2007 5:19 am
by haamidbaaqri
Azeezi Haamid SaaHab,
Aadaab
:salaam2: :-)
biraadaram jawaid saahib

Nek Khayaalat aur muqaddas paiGhamaat per mushtamil aapki Ghazal nazar nawaz huuwee. Bohat Khushee huwee.

aapkay yeh besh qeemti kalemaat hamaaray liye sanad haiN.

Pahle bhi Arz kar chuka hooN, aaj ki duniya meN bohat kum log rah gaye haiN achchee aur suchchee baat kahne wale. Allah aap ko salaamat rakhkhe, aameen.

is mukhlisaanah dua kay liye hum aapkay behad mamnoon haiN.

allah(sbhnwt)aap per apni rehmatoN ki baarish karay aameen
.

Daad qubool farmaaiye.

bahut bahut shurkiya aapki purkhuloos daad ka.

Jawaid
aapka apna
haamidbaaqri

shukriya

Posted: Sun May 06, 2007 5:56 am
by haamidbaaqri
Shummu wrote:Salam haamid sahab..

wa alaikumussalaam
shumaila saahebah


.hasb-e-maamool aap ka ye kalaam bhi khoob hai...daad pesh hai!

bahut bahut shukriya aapka.

jazakaaAllah!
allah(sbhnwt)aap per apni rehmatoN ki baarish kare.aameen.

mukhlis
haamidbaaqri

Posted: Mon May 07, 2007 6:57 pm
by Sohail Malik
Hamid Saaheb

apnay makhsus rang maiN nek khayalat per mabni ghazal per daad qabul kijiay


'mohammed(sawaw)yeh kab say kahay jaa rahay haiN '

albata derj bala misray maiN kehay jaa rehay haiN kehna kuch munasib nahiN lag raha do lihaz say.


aik aap seegha haal ka istemal ker rehay haiN aur woh bhi jari jo khilaf e haqeeqat hay. ager sirf manewi aetibar say dekhaiN keh paigham mojud hay to us ka is terah bayan kuch Theek nahiN lag reha sirf radeef ki majburi hi lag rehi hay. Dusra is say yeh bhi tacer milta hay keh aap to kehay ja rehay haiN aur koi sun hi nahiN raha aur ummat ki haT dhermi jis andaz say is sher say samnay aa rehi hay woh hazoor s.a.w kay shayan e shan nahiN hay.

zera ghour ferma lijiay ga

wassalam

sohail

shukriya

Posted: Tue May 08, 2007 6:53 am
by haamidbaaqri
Sohail Malik wrote:Hamid Saaheb

Assalaam o alaikum
mohtaram suhail saahib


apnay makhsus rang maiN nek khayalat per mabni ghazal per daad qabul kijiay

bahut bahut shukriya aapki purkhuloos daad ka.

jazakallah


'mohammed(sawaw)yeh kab say kahay jaa rahay haiN '

albata derj bala misray maiN kehay jaa rehay haiN kehna kuch munasib nahiN lag raha do lihaz say.

woh kaisay.........?


aik aap seegha haal ka istemal ker rehay haiN

jee bilkul............

aur woh bhi jari jo khilaf e haqeeqat hay.

jinkay sadqe meiN yeh saari kayenaat khalq kee gayee ho un say bada shaheed kaun ho sakta hai......?

ash'hadu-anna mohammedarrasoolullah(sawaw)

kay muaani aap bakhoobi jaantay haiN keh mohammed(sawaw)allah(sbhnwt)kay rasool haiN ......thay nahiN..........

hum haqbajaanib haiN janaab.


ager sirf manewi aetibar say dekhaiN keh paigham mojud hay to us ka is terah bayan kuch Theek nahiN lag reha

kyuN...?

sirf radeef ki majburi hi lag rehi hay.

hum tau tiflay maktab haiN.

Dusra is say yeh bhi tacer milta hay keh aap to kehay ja rehay haiN aur koi sun hi nahiN raha aur ummat ki haT dhermi jis andaz say is sher say samnay aa rehi hay woh hazoor s.a.w kay shayan e shan nahiN hay.

agar ummat ko huzoor(sawaw)kay hadeecoN kee parwa hotee tau aaj hum duniya meiN itanay zaleel o khaar nah hotay....haiN na......

hum shia,sunni,wahaabee,aur nah jaanay kya kya haiN par musalmaan nahIN hai..........agar hautay tau sab muttahid hautay hum tau aik doosray kay khoon kay pyaasay haiN,har jamaat doosri jamaat ko kaafir tehraanay meiN lagee huee hai......is meiN ummat kee naafarmaani quraan o hadeec(sawaw) say baghaawat rauzay roshan kee tarah ayaaN hai.........hazrate mohammede mustafa(sawaw)khairul bashar haiN aur hamesha rahenge.jinki mad'ha khud allaH(sbhnwt)karta ho.....unki shaan hum jaisay naaqis bandoN ki gustaakhee(bay amal honay kee bina per) say kaise ghat sakti hai.....?hum tau sirf apna nuqsaan kar rahay haiN unkay(sawaw)aqwaal ko nazarandaaz karke.


zera ghour ferma lijiay ga

wassalam

sohail

allah(sbhnwt)aap per apni rehmatoN ki baarish kare.aameen aur hum sabko quran o hadeec(sawaw)per chalnay ki taufeeq ata farmaaye.aameen yaa rabbul aalameen.

tiflay maktab
haamid baaqari

Posted: Wed May 09, 2007 10:57 am
by muhammad_19k
JANAB SOHAIL SAHEB,

mieN dakhal dar maaqooolaat ke maazirat chahtaa hooN. laikin choonke aik baat mare ilm meiN hay iss leeaye share karnay ijaazat cahooN ga.

agar saari ki saari ummat bhi gumraah ho jaa-aye aor aaqaa-e-do jahaaN SAWW ke farmaan pas e pusht Daal day toa ye kissi bhi taraH Huzoor e pur noor SAWW ki shaan ke khilaaf naheeN hai. issi leeaye ke hidayaat daine ya na daine ko Allah taalaa ne apni taraf mansoob kar rakhaa hai. shaan e Muhammad SAWW to ye hai ke Allah rab ul izzat ne un ko behtareen amli namoona banaa kar paish kiyaa. aor un SAWW ke uswaa or taaleemat meiN koi kami naheeN ab ham hi agar karj rawi bartatay jaa-aiN to bhalaa un ki shaan ko ham jasie kameenoaN ke saath kia farq? hamaray amal karne see aap SAWW ki shaan naheeN baRhti balke hamaree shaan baRhti hai aor amal na karne see aap SAWW ki shaan naheeN kam hoti balke ham zaleel o ruswaa hotay haiN. aor woh to ham ho hi rahay haiN. :-(.

Allah taalaa hameiN amal ki taufeeq day.

taalib e ilm,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.

Re: "karaudoN jo insaaN nazar"GUZARISH #28

Posted: Thu May 17, 2007 6:48 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:
haamidbaaqri wrote:

karaudoN jo insaaN nazar aa rahay haIN
ajal ki taraf yeh chalay jaarahay haiN

tum aisay nazaaroN say dhoka nah khaana
keh ghaflat meiN yeh sab jiye jaa rahay haiN.

hisaab apna karlena marnay say pehlay
mohammed(sawaw)yeh kab say kahay jaa rahay haiN

gaye tum say pehlay haiN jitnay bhi insaaN
kiya jo yahaaN per wohi paa rahay haiN

musalmaan haamid kahaygaa nah hargiz
"mohabbat meiN yeh kya muqaam aa rahay haiN"

bohat khoob hamid bhai,

daad qubool keejiye.

sara
bahut bahut shukriya azeezah sara saahebah

jazakallah

sada khush rahiye

aapka bhai
haamid

Posted: Fri May 18, 2007 11:50 pm
by bard
Adaab Haamid Sahib,
Hameesha ke tarah ek aur nehaet umda sabaq amoz kalam.
gaye tum say pehlay haiN jitnay bhi insaaN
kiya jo yahaaN per wohi paa rahay haiN

Magar kuch rehnumae chaeyay the . `karaudoN` say ap ke murad koraidna hay?
karaudoN jo insaaN nazar aa rahay haIN
ajal ki taraf yeh chalay jaarahay haiN
Mafhom kuch wazih nahi hay.

mohammed(sawaw)yeh kab say kahay jaa rahay haiN
kuch gustakh sa lagta hay.` mohammed(sawaw)yeh kab say he farma rahay hain`kaissa rahay ga?
Mere batein burre lage hoon tu mein mazratkhwa hoon keyonkay Urdu Adab say abhe nawaqif hon.

Posted: Sat May 19, 2007 9:54 am
by Shummu
bard wrote:
Magar kuch rehnumae chaeyay the . `karaudoN` say ap ke murad koraidna hay?
KAROUDON=CRORES :grin: