Mir taqi Mir ka kalam aor shakhSiyat!
Posted: Fri May 04, 2007 12:51 pm
Yaraan-e-meHfil aadaab!
ham faqeerooN se be adaee kiYa
aan beTh~e jo tum ne peyaar kiYa!
Mir
taareekh-e-adbiYaat-e-urdu meN "Mir" ka naam baRe eHtaraam se liYa jata hai. aor liya jata rahe ga. Yeh aek Haqiqat hai keh jitna sharf-e-maqbuliYat Mir ko naSeeb huwa kisee aor ko nah huwa.........jesa ke baba-e-urdu maolawee A'bdul Haq ne teHreer kiYa hai." agar duniYa meN aese shaae,irooN kee fehrist tiYYaar kee jae jin ka naam hameshah zindah rahe ga to Mir ka naam us fehrist meN Z^aroor dakhil karna ho ga"
paRh~te ph~ireeN ge galiYooN meN in rekhtooN ko log
muddat raheeN gee Yaad yeh bateeN hamariYaaN!
na muradanah zeest karta th~a
Mir ka t^aor Yaad hai ham ko!
"zikr-e-Mir" aor "faeZ^-e-Mir" Mir taqi Mir ke aese qalamee shahkaar haiN jinhooN ne Mir kee zindagee ke kaee goshooN se pardah uTh~aYa hai. baqaol-e-Masa'ud RiZ^wi Adeeb:"Mir kee shae,iree ko samajh~na ho to Mir kosamjh~iYe aor Mir ko samajh~na ho to ;zikr-e-Mir aor faiZ^-e-Mir: paRh~iYe.
samjh~e th~e ham to Mir ko a'ashiq hee us gh~aRee
jab sun ke tera naam woh betaab sa huwa!
Mir baar baar da'wa karte rahe haiN keh un ko guftagu a'awaam se hai lekin un ke she'er khawaaS pasand haiN. asha'aar ka khawaS pasand hona lut^f-e-baYaan, ada-e-kheyaal, aor Husn-e-karkardagee ke tamaam uSulooN ko pura karne ke bawajood mumkin nah th~a. jo Ghazal kee SadiYooN kee she'eree rawaYat ka HiSSah ban chuke haiN. Ya'neee baGhaer shadeed noe'Yat kee purkaree ke khawaS kee pasanddeedagee ka sawaal hee peda nah hota th~a.
she'er mere haiN sab khawaS pasand
par mujh~e guftagu a'awaam se hai!
Haqiqat yeh hai keh Mir ke kalam kee teheh tak utarne ke liYe in do kitabooN ka mut^alea'ah naguzeer hai.
zikr-e-Mir Mir ke maHool ka. aor faeZ^-e-Mir Mir kee shakhSiYat-o-seerat kee aSal taSweer hai.
is ke bawajood Mir kee zindagee ke kaee gaoshe haiN jo aaj bh~ee mut^alea'ah-e-Mir kee da'awat dete haiN. macala" Mir kee pedaish ke barah meN kaee ikhtalafaat haiN. aor loog un kee pedae,sh ka ta'yun un kee wafaat se karne par majboor haiN.
awwal "Nasikh" ke nikale huwe miSra' ke mut^abiq un kee wafaat ka san 1225 hijree but^abiq 1808 banta hai. aor doe,m Rajah saHib Mehmood aabaad ke kutub khane ka nikala huwa qalmee nuskhah jis ke mut^abiq un kee wafaat baroz juma'ah sha'baan al mukarram 1225hijree hai. maolana aazaad ne un kee u'mr 100 saal likh~ee hai.MuSHafee ne 80 maolawee A'bdul Haq ne 1134hijree san-e-wiladat qaraar diya hai.jis kee roo se u'mr 88 baras bantee hai. baherHaal jis san-e-wiladat par ittefaaq kiYa geYa hai woh 1135hijree hai.jis ke mut^abiq un kee u'mr 90 saal aor bantee hai.
khaer Mir1722 ko aagrah meN peda huwe walid kee wafaat aor bh~aeiYooN ke ikhtalaafaat ke wajah se "dillee" aagae. yahaaN un ke sotele mamooN "khan aarzu"rehte th~e.Mir ko yahaaN kuch~ muddat ke liYe Khan Arzu ka minnat kash hona paRa. khan SaHib kee SuHbat aor un kee adabee meHfilooN meN Mir ko bohot mutacir kiYa. lekin Mir kee Arzu se nah ban sakee.ba'Z^ logooN ka kehna hai keh Khan Aarzu ko Mir ke bh~aiYooN ne Mir ke khilaaf kiYa. Mir ka beYan hai. keh "jab maiN kisee qabil huwa to sotele baRe bh~aee ka khat^ poh~ncha, Mir Taqi Mir fitnah-e-ruzgaar hai hargiz is kee tarbiyat meN sa'ee nah kee jae woh a'zeez (saraj-ud-deen Khan Arzu) waqa'aee duniYa dar th~a apne bh~anje ke likh~e par mere dar pe hogeYa. mere saath~ us ka sulook aesa th~a jese kisee dushman se hota hai. agar maiN is kee tafSeel bayaan karooN to aek dafta ho jae"
aor jald hee Mir wahaaN se chal diYe.
Mir ke mizaaj meN un ke zatee massae,il, khandani Halat, aor dillee par abdalee Hamle, marhaTooN aor JaTooN kee afra tafree ne un ke jazbaat aor aHsaasaat ko mazeed pur shiddat bana diYa. alam angez aaheeN, shoor angez she'er ka maojab hueeN.aor YooN qiyamat ka sa hangamah un ke dawawaen meN peda huwa.
maSai,b aor th~e par jee ka jana
a'jab ik saanehah sa ho geYa hai!
YooN to Mir kee saree zindagee hee pur ashob th~ee lekin u'mr ke aakhree 3 saal qiYamat ke th~e jinhooN ne Mir ko hala kar rakh~ diYa.pehle saal un kee shareek-e-Hayat faot hueeN aor aakhir khud bh~ee 20 sha'baan 1225 hijree mut^abiq 1810 i'sawi bawaqt-e-shaam is duniya ko khaer baad keh gaeY.
jin balaooN ko Mir sunte th~e
un ko is ruzgaar meN dekh~a!
haaN khuda maGhfirat kare us ko
Sabr-e-marHoom th~a a'jab koee!
Mir ke do beTe bh~ee shae,ir th~e. aek beeTee bh~ee SaHibah-e-dewaan shae,irah th~ee.jo keh begum takhalluS kiYa karteeN th~eeN.Mir ne kul ch~ 6 deewan ch~ooRe haiN.
zael meN Mir ke kalaam meN se chand she'er pesh kar raha hooN. meree koshish hai keh do chaar GhazleeN likh~ne ke bajae mukhtalif kefiYaat-o-ehsasaat ke she'er qalam band karooN ta keh maZ^moon ko t^uwalat se bachate huwe sameTa ja sake.
SeHra-e-muHabbat hai qadam dekh~ ke rakh~ Mir
yeh saer sar-e-koshah-o-bazaar nah huwe!
sinkaRooN Harf haiN girah-e-dil meN
par kahaaN paYeh-e-lab-e-iz^haar!
sheher-e-khubee ko khoob dekh~a Mir
jins-e-dil ka kaheeN rawaaj naheeN!
aawargaan-e-e'shq ka puch~a jo maiN nishaaN
musht-e-GHubaar le ke Saba ne uTa diYa.
ManSoor kee nigah th~ee jo daar kee t^araf
ph~al woh darakht laaYa aakhir sar-e-bureedah!
aah seHer ne sozish-e-dil ko bujh~a diYa
is baad ne hameeN to diYa sa bujh~a diYa!
maosam aaYa to nakhl-e-daar meN Mir
sar-e-ManSoor hee ka baar aaYa!
chashm ho to aae,inah khanah hai deher
muNh naz^ar aata hai deewarooN ke beech!
manind-e-Harf SafaHah-e-hastee se uTh~ geYa
dil bh~ee mira jareedah-e-a'alam meN fard th~a!
Haal-e-bad guftanee neheeN mera
tum ne puch~a to mehrbanee kee!
qadr rakh~tee nah th~ee mataa'-e-dil
sare a'alam ko meN dikh~a laYa!
zulf saa pech dar hao har she'er
hai sukhan Mir ka a'ajab Dh~ab ka!
Mir shae,ir bh~ee zoor koee th~a
dekh~te ho nah baat ka aSloob!
th~a bala hangamah aara Mir bh~ee
ab talak galiYooN meN us ka shoor hai!
aek meHroom chale Mir hameeN a'alam se
warnah a'aalam ko zamane ne diYa kiYa kiYa kuch~!
khush haiN deewanagee-e-Mir se sab
kiYa junooN kar geYa sha'oor se woh!
koee sadah hee us ko sadah kahe
hameeN to lage hai woh a'iYyaar sa!
shaam se kuch~ bujh~ sa rehta hooN
dil huwa hai charaaGh muflis ka!
Dube uch~le hai raat bh~ar khursheed
us ne dekh~a hai tujh~ ko darya par!
dil a'jab sheher th~a kheYalooN ka
looT mara hai Husn walooN ne!
aor aakhree she'er tamaam meHfil ke naam
paas-e-namoos-e-i'shq th~a warnah
kitne aaNsu palak tal aae th~e!!
[/color]