Khawer SaaHeb Assalam 0 alaekum!
aap ki janib say is hosla afzai aur mehnat ka maiN teh e dil say mamnoon huN. Aap ki tamam aara hamaisha giraN qadr hoti haiN jaisa keh is mertaba bhi haiN.
---------------------------------
1. "ye jaanaa" ka lafz maazi meiN lay jaa rahaa hai mujh ko. yani aisaa lagtaa thaa ya aisa lagaa. ya maloom huwaa. jub ke sha'er ke mutabiq "aise lagtaa hai" honaa chahiaye.
meray khayal maiN aap theek ferma rehay haiN
ager sher yuN ker dia jaey to kia khayal hay
saraaboN kay peechay chalay ja rehay haiN
kahaN woh hamaray qareeb aa rehay haiN
---------------------------
2. "maHal ka sonaa"? qaabil e ghor hai.
ager is ko yuN kehaiN keh
teh e khaak kitnay mehel ja chukay haiN to kia behter lagay ga?
------------------------------------
3. ye shair theek hai laikin bohat zydaa impressive naheeN
ok
-------------------------
4. "juRay" ke saath "tanha" match naheeN ho rahaa.
mafhoom kay lihaz say yeh sher tasawwaf kay aik nuktay ko Theek say bayan ker raha hay. kia aap maani per aiteraz ker rahay haiN ya souti tacut Theek nahiN lag raha?
-------------------------------
5. ye sh'er pasand aayaa.
6. ye sh'er bhi achchhaa lagaa.
shukria
----------------------------------------
7. achhchhaa sh'er hai. "ghalat" ki agar kissi aor munsib lafz se tabdeel kiyaa jaa saktaa ho to shayed mafhooM kuch zydaa Saaf ho jaa-aye. jaise ke "magar". ji meiN jaantaa hooN ke "magar" se aap ka mafhoom poori TaraH adaa naheeN hotaa laikin ye Sirf aik micaal hai.
Waisay ager maiN bhi koi muzaiqa nahiN hay.
---------------------------
8. ye sh'er bhi achhchhaa lagaa.
9. girah ------------- munasib hai.
shukria
-----------------------------------------
10. meiN iss sh'er ki gehrai tak na pohanch sakaa.
qitta kay ashaar aaj kal kay takhreeb kari kay mozu per haiN. Is sher maiN yeh kehna maqsud hay keh in halaat maiN jab gird o nawah maiN dhamakay gunj rehay haiN to is baat ki mohlet nahiN hay keh apni tafreeh e taba kay liay kanoN ko kissi teranum say behlaeN.
11. qitt'aa pasand ayaa.
shukria
kia mujhe gustaakheeyoaN ki muaafi maaNgne ki zaroorat hai
bilkul bhi nahiN balkeh aap kay is amli taawun ki mujhay hamaisha zarurat aur qader rehay gi.
Wassalam
Sohail Malik