Page 1 of 1

faarasee ash'aar-e-Iqbaal

Posted: Sat May 05, 2007 3:25 am
by yasir shah
[align=center]taariq choo barkinaarah-e-uNdlas safeenah sokht
guftaNd kaar-e-too ba.nigaah-e-khirad khat'aa.st
[/align]

uNdlas ke kinaaray jab Taariq ne apnee kashtee nazr-e-aatash kar Daalee' to saathiyoN ne kahaa keh a'ql ki naZ'ar se daiKhaa jaa.ay to tum ne baRee Ghalat'ee kee hay

[align=center]dooreem az suwaad-e-wat'an , baaz chooN raseem ?
tark-e-sabab zi.roo-e-sharee'at kujaa rawaa.st
[/align]

ham laug to apnay wat'an se itnay door heN , ab waapas kaisay jaa.eN gay ?, Z'aahiree asbaab ko ChoR dainaa to sharee'at ki roo se bhi darust naheeN hay -

[align=center] khandeed-o-dast-e-khwaish ba.shamsheer burd-o-guft
har mulk, mulk-e-maa.st keh mulk-e-khudaa-e-maa.st
[/align]

tab woh muskuraayaa aur apnee talwaar ko haath meN thaam kar kahnay lagaa keh waapasee ki kyaa baat kartay ho , har mulk hamaaraa hay , is liye keh woh hamaaray Allaah ki banaaee huwee zameen hay-

Posted: Mon May 07, 2007 3:59 pm
by sbashwar
:salaam: Yasir sahib,
:subh: Bohat hi umda tehreer aapne hum qarieen se sharakat ki.
Shukria

Posted: Fri May 11, 2007 7:56 pm
by yasir shah
Sbashwar SaaHib !
assalamoa'laika

taHreer ko pasand farmaanay kaa shukriyah -

yasir