Page 1 of 1
Guzarish # 28- Siddiqui.
Posted: Mon May 07, 2007 4:21 am
by muhammad_19k
Salam dosto,
Iss baar taraH miSraa daikhne meiN jaisaa aasaan lag rahaa thaa, likhte waqt aisaa aasaan Caabit na huwa. mushkil se hi is qadar ahsaar likh paayaa hooN ke ghazal ka naam diyaa ja sake. aor un meiN bhi koi khaaS sher na keh sakaa. laikin kiyaa ke ta'meel e Hukm to karnaa thi so jo kuch hai. Haazir e khidmat hai.
aap ki rehnamai ka taalib.
SIDDIQUI.
Posted: Mon May 07, 2007 4:27 am
by muhammad_19k
GHAZAL IN ROMAN
1. sune kon kia kia woh farma rahay haiN.
ham un ko hi bas daikhte jaa rahay haiN.
2. bulaate haiN woh ham ko aa jao milne
jafaaoaN pe ham apni sharmaa rahay haiN
3. haiN yooN motibar un ki chokhat ke pathar,
jabeeN jhukne waloaN ki chamkaa rahaiN haiN.
4. unhaiN kia zaroorat ke maikhane jaa-aiN
hameN raastaa is ka dikhlaa rahay haiN
5. miray lafzoaN ko zindigi ub milay gi
sunaa hai woh mairi ghazal gaa rahay haiN
6. no weHshat zadaa thay dar o baam aise
ham is ghar meiN pehlay bhi tanhaa rahay haiN
7. abhi toR do eHd o paimaan saaray
agar dil meiN kuch waswasay aa rahay haiN
8. kissi ko miN :khawar: ye kaise bataa dooN
mohabbat meiN kia kia maqaam aa rahay haiN
Posted: Mon May 07, 2007 5:48 pm
by Shummu
bahut khoob khawar sahab..waqaii maine bhi dekha ke is zameen mein likhna utna asaan nahi hai jitna ye dikh raha hai aasaan...magar aap sab ki ghazlein dkeh ke dil khush ho gaya..sab ne accha likha hai..aapki bhi ghazal pasand aayi khaaskar girah khoob hai..dili daad pesh hai...!!:)
shumaila
Posted: Mon May 07, 2007 7:04 pm
by Sohail Malik
muhammad_19k wrote:GHAZAL IN ROMAN
1. sune kon kia kia woh farma rahay haiN.
ham un ko hi bas daikhte jaa rahay haiN.
2. bulaate haiN woh ham ko aa jao milne
jafaaoaN pe ham apni sharmaa rahay haiN
3. haiN yooN motibar un ki chokhat ke pathar,
jabeeN jhukne waloaN ki chamkaa rahaiN haiN.
4. unhaiN kia zaroorat ke maikhane jaa-aiN
hameN raastaa is ka dikhlaa rahay haiN
5. miray lafzoaN ko zindigi ub milay gi
sunaa hai woh mairi ghazal gaa rahay haiN
6. no weHshat zadaa thay dar o baam aise
ham is ghar meiN pehlay bhi tanhaa rahay haiN
7. abhi toR do eHd o paimaan saaray
agar dil meiN kuch waswasay aa rahay haiN
8. kissi ko miN :khawar: ye kaise bataa dooN
mohabbat meiN kia kia maqaam aa rahay haiN
Khawer Saaheb
Aap ki khubsurat ghazal kay liay daad hazir hay
wassalam
sohail malik
Posted: Mon May 07, 2007 9:34 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
mukarram-o-moHtaram Biraadaram M. Khawar SaHib aadaab!
Aap kee Ghazal bilah shubah kisee ta'areef ke muHtaaj naheeN. sabh~ee she'er aap ke makhSooS rang meN rangeen haiN. she'er#3 aor#7 ka koee maol naheeN. deegar asha'aar bh~ee apnee micaal aap haiN.
aap kee dilchaspee aor lagan dekh~ kar jee baRa khush hota hai. aor khaaS t^aor par aap kee mustaqil mizaajee keh aap baaqaae'dagee se maHafil meN tashreef late haiN. Haqeeqat to yeh hai keh aap ke tabSerh ka intez^aar baRee shiddat se rehta hai.
baqaol aap ke keh khaaksaar ke aage alfaaz^ haath~ baandh~ kar kh~aRe ho jate haiN. mujh~e to yeh lagta hai keh woh jab aap ke rubaru pesh hote haiN to gaoya kaan hee pakaR lete hooN haiN.
woh bh~ee kehte hooN ge keh Khawar SaHib hameeN aese Ghazal meN jooRte haiN jaese nageene lagae jate haiN. keh unheeN age peech~e karne kee koee gunjaaeish hee naheeN dikh~aee detee.
yeh Haqeeqat hai keh aap waqae'ee baRee talaash se alfaaz^ ka intekhaab karte haiN. khuda aap ke Zaor-e-bayaaN ko mazeed baRh~ade!
1. sune kon kia kia woh farma rahay haiN.
ham un ko hi bas daikhte jaa rahay haiN.
kiya kehne waah waah!
2. bulaate haiN woh ham ko aa jao milne
jafaaoaN pe ham apni sharmaa rahay haiN
waah!
3. haiN yooN motibar un ki chokhat ke pathar,
jabeeN jhukne waloaN ki chamkaa rahaiN haiN.
Bohot khoob! Waah Waah! lajawaab she'er hai! kamaal kardiya hai aap ne! Waah!
4. unhaiN kia zaroorat ke maikhane jaa-aiN
hameN raastaa is ka dikhlaa rahay haiN
wah!
5. miray lafzoaN ko zindigi ub milay gi
sunaa hai woh mairi ghazal gaa rahay haiN
achch~a hai!
6. no weHshat zadaa thay dar o baam aise
ham is ghar meiN pehlay bhi tanhaa rahay haiN
kiya kehne waah waah!
7. abhi toR do eHd o paimaan saaray
agar dil meiN kuch waswasay aa rahay haiN
Bohot khoob! Waah Waah! kiya kehne!
8. kissi ko miN :khawar: ye kaise bataa dooN
mohabbat meiN kia kia maqaam aa rahay haiN
kiya kehne! WaahWaah! lekin aSl miSra'-e-t^arH dekh~ liya jae.
"muHabbat meN yeh kiya maqaam aa rahe haiN"
Meree t^araf se is khubSurat Ghazal kee numaaei'sh par dilee dad aor mubarak baad qubool keejiye.
Wassalam
Muz^affar
_________________
Posted: Wed May 09, 2007 11:10 am
by muhammad_19k
JANAB MUZAFFAR SAHEB,
bhalaa alfaaz meiN koi aap se jeet saktaa hai
. meiN aik baar pehlay bhi iss baat ka izhaar kar chukaa hooN ke ye mirii khus qismati hooN ke meiN aise sukhan waroaN ke darmyaan mojood hooN jo agar zarray ki ta'reef karaiN to sun kar aasman ke sitaaray us zarray se Hasad karnaa shroo ho jaa-aiN. app bhi unheeN meiN se aik haiN.
laikin iss Haqeeqat se kia inkaar ke ta'reef sun kar khushi hoti hai. chahay kissi ne woh ta'reef masleHetan hi ki ho. So is baat par khush hooN ke chalo miray sh'er kam uz kam aise buray naheeN ke aap tamam maSleHateiN baa-laye Taaq rakhne par majboor ho ja-aiN
.
Allah taalaa aap ko khush rakhay.
aap ka dost aor shukrguzaar,
MUHAMAMD K. SIDDIQUI.
Re: Guzarish 28------------------ Siddiqui.
Posted: Wed May 09, 2007 3:57 pm
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:Salam dosto,
Iss baar taraH miSraa daikhne meiN jaisaa aasaan lag rahaa thaa, likhte waqt aisaa aasaan Caabit na huwa. mushkil se hi is qadar ahsaar likh paayaa hooN ke ghazal ka naam diyaa ja sake. aor un meiN bhi koi khaaS sher na keh sakaa. laikin kiyaa ke ta'meel e Hukm to karnaa thi so jo kuch hai. Haazir e khidmat hai.
aap ki rehnamai ka taalib.
SIDDIQUI.
WA ALAIKUMUSSALAAM
mohtaram mohammed khawar saahib
aapki ghazal hameN bahut acchee lagi.
sabhi ash'aar acchay haiN.
hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN aapki is khoobsoorat kaavish per.
mukhlis
haamidbaaqari
Re: Guzarish 28------------------ Siddiqui.
Posted: Fri May 11, 2007 6:57 am
by muhammad_19k
Janab HAAMID BAAQRI SaHeb,
haamidbaaqri wrote:
WA ALAIKUMUSSALAAM
mohtaram mohammed khawar saahib
aapki ghazal hameN bahut acchee lagi.
sabhi ash'aar acchay haiN.
hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN aapki is khoobsoorat kaavish per.
mukhlis
haamidbaaqari
iss HoSla afazaai ke leeaye aap ka mamnoon hooN,
Regards,
Muhammad K. Siddiqui.
Posted: Sun May 13, 2007 5:50 pm
by jawaid badauni
Azeezi Khawar SaaHab
aadaab
Aapki tarahee Ghazal nazar nawaaz huuwee. Achche koshish hai. Daad qubool farmaaiye.
MaiN aap ke teesrey sher ko N'aat ki taraf le gaya tha aur yaqeenan bohat mahzooz huwwa. KhuSooSee daa hazir hai iss sher per.
MuKhliS
Jawaid Badauni
Posted: Mon May 14, 2007 1:28 pm
by muhammad_19k
Mohtaram Janab Jawaid SaHeb.
aap ne likhaa.
jawaid badauni wrote:Azeezi Khawar SaaHab
aadaab
Aapki tarahee Ghazal nazar nawaaz huuwee. Achche koshish hai. Daad qubool farmaaiye.
MaiN aap ke teesrey sher ko N'aat ki taraf le gaya tha aur yaqeenan bohat mahzooz huwwa. KhuSooSee daa hazir hai iss sher per.
MuKhliS
Jawaid Badauni
HoSla afazai ke leeaye aap ka bhi shukriayaa. laikin mieN to aap se kuch rehnumai bhi tawaqu kar rahaa thaa. is taraH to mujhe pataa hi naheeN chalay gaa ke kahaan kahaaN behtari ke imkaanaat haiN.
Regards,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.
Posted: Tue May 15, 2007 8:40 pm
by Aanchal
buhat acha likha hai aap nay ..keep it up
Posted: Sat May 26, 2007 2:06 pm
by muhammad_19k
Salam Saara Ji,
dair se jawab ke leeaye m'aazirat. bhala aise kaise ho saktaa hai kissi ghazal ke sub hi sher khoob hoaN? :P
laikin chaliaye aap ka bohat bohat shukriyaa
mamnooon,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.
Posted: Sat May 26, 2007 2:09 pm
by muhammad_19k
Aanchal wrote:buhat acha likha hai aap nay ..keep it up
Salam Aanchal,
kaisi haiN aap?
dair se jawaab daine ke leeaye m'aazirat aor daad ke leeaye bohat bohat shukriyaa.
mamnoon,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.