Page 1 of 1

Posted: Mon May 07, 2007 5:45 pm
by Shummu
wah wah wahhhhhhhhhhhhhhh sara jee..bahut khoob..balki bahut hi khoob.......itni pyaari aur rawaan dawaan ghazla kahi hai aapne ..mazaa aa gaya parhke..wah...daad pesh hai sara sis...!!!:)

shumaila

Posted: Mon May 07, 2007 6:04 pm
by Sohail Malik
Sara ji daad qabul kijiay aik khubsurat ghazal pesh kernay per

wassalam

sohail malik

Re: Guzarish # 28

Posted: Wed May 09, 2007 4:07 pm
by haamidbaaqri
sara_j wrote:Ghazal:

1. tasavvur meiN har pal wohee chhaa rahe haiN
"muHabbat meN yeh kiya maqaam aa rahe haiN"

2. gale mil rahe hain taGhazzul tafakkur
woh apni Ghazal pesh farma rahe haiN

3. bahaktee nigaaheN mahaktee fazaaeN
woh jalwoN se apne ghazab dhaa rahe haiN

4. woh pahlu meN aaye tou badle nazaare
HaseeN roz.o.shub ab nazar aa rahe haiN

5.nihaaN mere sheroN meN unki hi Soorat
Ghazal meN wohee woh nazar aa rahe haiN

6.bharosa nahiN apne haaThon per unko
nijoomee ko jo haath dikhla rahe haiN

7. anaa ne qadam rok rakhkhe haiN “Sara”
nah woh aa rahe hain nah hum ja rahe hain
azeezah sara saahebah
Assalaam o alaikum

bahut acchee ghazal kahi hai aapnay

hameN bahut pasand aayee

dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN aapki is dilkash ghazal per.

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

aapka bhai
haamid

Posted: Wed May 09, 2007 5:29 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Saara SaHibah Aadaab!

Aap kee Ghazal hadiyah-e-Qaraeen ho chukee hai. meree yeh Haeciyat naheeN keh maiN kisee bh~ee sukhanwar ke kalam par nigaah-e-tanqeed Daal sakooN. lekin az^haar-e-raY kee rah ko hameshah hamwaar-o-kushaadah pate huwe chand sut^oor likh~ dene meN baak naheeN samajh~ta.

Aap khawateen shu'raa' meN aek sanjeedah mizaaj aor munfarid rang-o-aahang kee shaae'irah haiN. Qadir-ul-kaalamee Sirf Caqah (mua'atabar, mua'tamid) shua'raa' ka hee HaSSah naheeN. agar dekh~a jae to aap ke kalam kee acar aafreenee, aor be a'aebee kee badaolat Zood ya bader aap ko bh~ee arbaab-e-Qalam kee janim se yeh aa'ZaaZ de diya jae ga.

Aap ke kheyalaat mulaae'im aor sheereeN haiN. aor eHsaasaat fikr-o-fan se muzaiyan haiN. aap shae'iree kee nazakatooN, lat^afatooN aor balaGhatooN ko khat^ir nasheeN rakh~ kar fikr sukhan kartee haiN.

kalam meN jazbah aor kheyaal kee mukammal hamaahangee ne kalam ko do Aatishah bana diya hai. yahee wajah hai keh aap ka kalam deegar maa'aSer shaae'raat se alag reh kar apnee aek juda gaanah pehch~aan banane meN kamyaab ho geya hai. aap ka kalam Qalb-o-jaaN meN gudaaz paeda karta hai.

yeh baat baRe yaqeen se kahee ja saktee hai. keh aap aek sachchee she'irah haiN jo puree lagan aor munfarid lab-o-lehjah kee madad se apne fan aor Usloob-e-bayaan ko Zindah rakh~ne meN kamyaab ho jaeeN gee.

1. tasavvur meiN har pal wohee chhaa rahe haiN
"muHabbat meN yeh kiya maqaam aa rahe haiN"

2. gale mil rahe hain taGhazzul tafakkur
woh apni Ghazal pesh farma rahe haiN

3. bahaktee nigaaheN mahaktee fazaaeN
woh jalwoN se apne ghazab dhaa rahe haiN

4. woh pahlu meN aaye tou badle nazaare
HaseeN roz.o.shub ab nazar aa rahe haiN

5.nihaaN mere sheroN meN unki hi Soorat
Ghazal meN wohee woh nazar aa rahe haiN

6.bharosa nahiN apne haaThon per unko
nijoomee ko jo haath dikhla rahe haiN

7. anaa ne qadam rok rakhkhe haiN “Sara”
nah woh aa rahe hain nah hum ja rahe hain

Is HaseeN aor munfarid iz^haar-e-kheyaal par meree dad aor mubarak baad Qubool keejiye.

Muz^affar A Muz^affar

Posted: Thu May 10, 2007 8:00 am
by zmufti
buhat khoob

Sara jee
ghazal ke liye daad qabool kijye
khush rahiye
zmufti

Posted: Sun May 13, 2007 5:23 pm
by jawaid badauni
Azeezah Sara SaaHibah,
Aadaab

Aapki Ghazal behud Haseen hai. Such tou yeh hai iss baar misra itna achcha tha sub
ne hi achcha kalam kaha hai. Mushaireh meN itni raunaq pahle kabhi dekhne meN nahiN
aai thee.

Ghazal per daad aur mushaireh ki kaamyaabee per mubaarakbaad qubool farmaaiye.

Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni