Page 1 of 1

Guzarish#28 ke liye aek z^areefanah Ghazal!

Posted: Mon May 07, 2007 7:30 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Yaraan-e-mehfil aadaab! :-)

Woh Dost jo mushae'irah meN tashreef laa kar apnee takhleeqaat se mushae'irah kee raonaq ko chaar chand laga rahe haiN. un sab kee khimat meN ijtemaaee shukriyah aor mubarak baad. aap sab kee aamad mushaae'irah ko kaamyabee ke Qareeb le gaee hai.

lekin woh saath~ee jo abh~ee shareek-e-mushae'rah naheeN huwe. un kee khidmat meN manz^oom z^areefanah darkhuwaast hai. :-)
mulaaHiZ^ah farmaiye. :-)

Woh kiyooN int^ezaar itna karwa rahe haiN?
suna thaa woh le kar Ghazal aa rahe haiN :-)

kahaaN kho gae haiN woh ab ke najane?
Ghaneemat hai un ke peyaam aa rahe haiN

Ghazal woh khuda jane likheeN ge kis din?
keh Wade peh Wade kiye ja rahe haiN

Ghazal nah hoee aasmaaN ho geya hai!
Haqeeqat meN ham keh ke pachtaa rahe haiN :grin:

hamare liye un ko furSat hee kab hai.
mujhe lag raha hai woh Tarkaa rahe haiN. :lol:

Muz^affar yeh un se maiN keh doN ga ek din
"muaHabbat meN yeh kiya maqaam aarahe haiN" :(

meHeZ^ tafreeH-e-t^ba' ke liye keh dee hai. Dost tabSirajaat kee zeHmat gawarah nah farmaeeN.

Wassalam
Muz^affar

Posted: Mon May 07, 2007 7:39 pm
by Shummu
ha ha haaaaaaaaa bahut khoob janaab..bahut khoob...aap ka shikwah karne ka ye andaaz bahut accha laga...sab ko ishaara mil gaya hoga lolz... :lol: :lol:

Posted: Mon May 07, 2007 10:04 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Shummu wrote:ha ha haaaaaaaaa bahut khoob janaab..bahut khoob...aap ka shikwah karne ka ye andaaz bahut accha laga...sab ko ishaara mil gaya hoga lolz... :lol: :lol:

aadaab Shummu jee! :-)

ab to aab kuch~ bh~ee keh deeN. z^areefanah hee sahee. koee pabandee naheeN.

Wassalam
Muz^affar

Posted: Tue May 08, 2007 9:18 am
by muhammad_19k
bohat khoob janab :-)

Posted: Tue May 08, 2007 9:35 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
muhammad_19k wrote:bohat khoob janab :-)

Peyare bh~ee Khawar SaHib Shukriyah! :-)

Muz^affar

Posted: Thu May 10, 2007 10:41 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
laugh

Posted: Sun May 13, 2007 5:42 pm
by jawaid badauni
Azeezi Muzaffar SaaHab

Ek hi zameen meN kaii kaii GhazaleN kahan aap ka hi kaam hai. Bohat Khub.
Dad qubool kijiye.

MuKhliS
Jawaid Badauni

Posted: Wed May 16, 2007 10:37 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jawaid badauni wrote:Azeezi Muzaffar SaaHab

Ek hi zameen meN kaii kaii GhazaleN kahan aap ka hi kaam hai. Bohat Khub.
Dad qubool kijiye.

MuKhliS
Jawaid Badauni
moHtaram Biradaram Jawaid SaHib aadaab!

kalam ko pasand farmane aor himmat afzaee ke liye aap ka mamnoon hooN. khuda aap ko salamat rakh~e.

Aabaad raheeN.
Wassalam
Muzaffar