Page 1 of 1

Guzarish#28 ke liye meree aek aor koshish!

Posted: Mon May 07, 2007 8:58 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Yaraan-e-meHfil aadaab!

mua'aaf keejiye ga. dil peh ikhteyaar naheeN. chand she'er aor ho gae haiN. mulaHiZ^ah farma kar shukriyah ada karne ka maoqa' deejiye!

Ghazal

1,
Woh yooN U'qdah-e-dil ko suljh~a rahe haiN!
teh-e-teeGh Gardan miree laa rahe haiN!

2,
mujh~e ZabH karne meN taakheer kaesee?
Woh be wajh bismil ko taRpaa rahe haiN!

3,
jibillat meN dekh~a hai yeh Aa'shiqooN kee!
jahaaN chal paRe haiN chale jaa rahe haiN!

4,
muHabbat meN yoN tishtah lab bh~ee huwe haiN
keh khun-e-rag-e-jaaN piye jaa rahe haiN!

5,
Woh sang-e-Jafaa apnee taskeeN kee khaat^ir!
mire sheeshah-e-dil peh barsaa rahe haiN!

6,
Woh jis ko khuda ne kinara nah bakhshaa!
U'boor aesaa darya kiye jaa rahe haiN!

7,
musafir haiN ham door reh kar wat^an se!
Ghazal keh ke jee apnaa behla rahe haiN!

8,
Woh but khaanah-e-dil ko mismaar karne!
hath~Re uth~ae chale aa rahe haiN!

9,
har ek Qat^rah-e-khuN huwa Sarf-e-maQtal!
maAl*-e-muHabbat peh itraa rahe haiN!

10,
HuZ^oor is Haqeeqat se inkaar kaesa!
sabh~ee su-e-mulk-e-A'dam jaa rahe haiN!

11,
rah-e-Haq meN NeZooN peh sar rakh~ diye haiN!
"muHabbat meN yeh kiya maqaam aa rahe haiN"


12,
Muz^affar naHusat hai bakht-e-siyah kee!
falak se sitaare gire jaa rahe haiN!

*maAl=nuqSaan, khaSarah, tawaan WaGhaerah.

Muz^affar A Muz^affar



Posted: Wed May 09, 2007 9:10 am
by muhammad_19k
Muzaffar SaHeb,

Bohat khoob.

mukhliS,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.

Re: Guzarish#28 ke liye meree aek aor koshish!

Posted: Wed May 09, 2007 3:52 pm
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Yaraan-e-meHfil aadaab!

mua'aaf keejiye ga. dil peh ikhteyaar naheeN. chand she'er aor ho gae haiN. mulaHiZ^ah farma kar shukriyah ada karne ka maoqa' deejiye!

Ghazal

1,
Woh yooN U'qdah-e-dil ko suljh~a rahe haiN!
teh-e-teeGh Gardan miree laa rahe haiN!

2,
mujh~e ZabH karne meN taakheer kaesee?
Woh be wajh bismil ko taRpaa rahe haiN!

3,
jibillat meN dekh~a hai yeh Aa'shiqooN kee!
jahaaN chal paRe haiN chale jaa rahe haiN!

4,
muHabbat meN yoN tishtah lab bh~ee huwe haiN
keh khun-e-rag-e-jaaN piye jaa rahe haiN!

5,
Woh sang-e-Jafaa apnee taskeeN kee khaat^ir!
mire sheeshah-e-dil peh barsaa rahe haiN!

6,
Woh jis ko khuda ne kinara nah bakhshaa!
U'boor aesaa darya kiye jaa rahe haiN!

7,
musafir haiN ham door reh kar wat^an se!
Ghazal keh ke jee apnaa behla rahe haiN!

8,
Woh but khaanah-e-dil ko mismaar karne!
hath~Re uth~ae chale aa rahe haiN!

9,
har ek Qat^rah-e-khuN huwa Sarf-e-maQtal!
maAl*-e-muHabbat peh itraa rahe haiN!

10,
HuZ^oor is Haqeeqat se inkaar kaesa!
sabh~ee su-e-mulk-e-A'dam jaa rahe haiN!

11,
rah-e-Haq meN NeZooN peh sar rakh~ diye haiN!
"muHabbat meN yeh kiya maqaam aa rahe haiN"


12,
Muz^affar naHusat hai bakht-e-siyah kee!
falak se sitaare gire jaa rahe haiN!

*maAl=nuqSaan, khaSarah, tawaan WaGhaerah.

Muz^affar A Muz^affar


hamaaray azeez bhai muzaffar saahib
Assalaam o alaikum


kaisay mizaaj haiN?

zindagi kaisay chal rahi hai...?

aapki pesh karda ghazleN hameN acchee lagi.

aap itnay ash'aar kaisay kehlaetay haiN?

hum 5,6 ya 7 sher kehletay haiN to hameN aisay lagta haiN keh humnay kuch ziyaadah hi kehdaala.

baharhaal
aapka yeh mashqe sukhan aapko apni manzil tak aik din yaqeenan pahunchaayega.itminaan rakhiye.insha allah.

hamaari dilee daad aapki in dilkash per qubool farmaayeN .

aapka apna
haamidbaaqari

Posted: Sun May 13, 2007 6:10 pm
by jawaid badauni
Azeezam,
salam qubool kijiye

Teen biviyaaN tou maiN ne suni theeN; suni kya yahaN Arab world meN apni aaKhoN se dekhi haiN. Magar ek hi zameen meN teen Ghazalen aapke yahaN hee miltee haiN. Achchee koshish hai; iss Ghazal per bhi meri nacheez daad qubool farmaaiyega.

MuKhliS
Jawaid Badauni

Posted: Sun May 13, 2007 6:49 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Jawaid bh~aee aadaab!

agar mujh~e teen beewiyaaN mil gaeeN hoteeN to maiN teen teen GhazleeN nah kehta. :-)

aap mushaahidah kar leeN kek jin logooN ne teen biwiyaaN kee haiN. woh Ghazal naheeN kehte. aor keh bh~ee kaese sakte haiN. tab to rubaru hee GhazleeN ho jateeN ho gee. :-)

maiN to ab bh~ee kehta hooN dostooN se keh agar meree teen beewiyooN ka ilzezaam kar diya jae to maiN teen teen to kiya Ghazal gaoee se hee haath~ kh~ench looN ga. aor is roozgaar se kinaraa kar looN. :-)

lekin shumee-e-Qismat keh nah woh beewiyooN ka bandubast kar pate haiN aor nah meree Ghazal gaoee meN faraQ aata hai.

beewiyaaN hoteeN to un kee dekh bh~aal karte aor waqt achch~a guzar jata. is Surat meN to parwarish-e-laoH-o-Qalam hee kiye jaa rahe haiN.

Ghazal kee pazeeraee ke liye mamnoon hooN.

Wassalam
Muz^affar