Page 1 of 1
Ghazal - jafa kay baad
Posted: Wed May 09, 2007 3:30 pm
by Sohail Malik
عزیز دوستو
السلامُ علیکم
چند روز پہلے ایک غزل کہی تھی آپ کی خدمت میں آج پیش کر رہا ہوں۔
اپنی راےء سے ضرور آگاہ کیجیے گا ۔
Posted: Wed May 09, 2007 5:41 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Kiya kehne Sohail SaHib aadaab a'rZ^ hai!
lagta hai in roozooN t^abiyat khoob Z^aorooN par hai.
jabh~ee to Ghazal par Ghazal aa rahee hai. khush raheeN. aor dilee dad qubool keejiye!
Wassalam
Muz^affar
Posted: Fri May 18, 2007 8:21 pm
by Sohail Malik
Bohat shukria Muzaffer saaheb
bas kia kehaiN keh kuch TuTi phuTi baateiN aur bay rabt khayalat aap kay saamnay pesh ker deytay haiN aur aap berdaasht ker laitay haiN.
wassalam
Sohail Malik
Posted: Mon May 21, 2007 5:38 am
by Sarwar A. Raz
mukarram-e-bandah: tasleemaat!
aap kee yeh Ghazal dekhee aur pasand aayee. is Khud-saaKhtah maSroofiyat kaa buraa ho keh chaahate huwe bhee mufaSSil likhnaa mushkil hai. is Khat^ ko raseed jaaniYe. pehlee furSat meN iz^haar-e-Khayaal kee jur,at karooN gaa!
baaqee phir?
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Posted: Mon May 21, 2007 9:41 am
by Sohail Malik
Sarwar Raz wrote:mukarram-e-bandah: tasleemaat!
aap kee yeh Ghazal dekhee aur pasand aayee. is Khud-saaKhtah maSroofiyat kaa buraa ho keh chaahate huwe bhee mufaSSil likhnaa mushkil hai. is Khat^ ko raseed jaaniYe. pehlee furSat meN iz^haar-e-Khayaal kee jur,at karooN gaa!
baaqee phir?
Mohterem Sarwar A. Raz Saaheb
aadab
aap ki raseed bhi hamaray liay kissi guldestay say kem nahiN
jab bhi aap ko chand ghaRi furset milli to aik nazr e inayet ker dijiay ga keh us meiN hamaray seekhnay ka bohat saaman hota hay.
wassalam
Sohail Malik[/quote]
Posted: Mon May 21, 2007 1:30 pm
by muhammad_19k
Salam Doctor SaHib,
leejiaye mukhtiSirun likhtaa hooN.
1. matl'aa achhchaa hai.
2. "maa siwaa" ka istemaal qaabil ghor hai.
3. "lehroaN ko, bhanwar ko" ki tarkeeb meiN kuch na maanosiat meHsoos hoee.
4. kashko ke haath meiN na hone se faaSla kaise kaTta? "kakh" pataa naheeN chalaa.
5. Waah! bohat zabardast!.
6. bohat khoob. - laikin sirf "na rehti khaam ik Hasrat" meiN ik aa jaat hai aor peHle HiSSa "talab miT jaati duniyaa ki" ke kushaadgi kam hoti lagti hail. "na rehti koi bhi Hasrat" ke baaray meiN kyaa khyaal hai?
7. achhchaa khyaal hai. miray zahn meiN ye Soorat aati hai. "tiraa saamaan na bantaa nawaalaa rahzan ka gar"
8. .... NO comments.
9. bohat khoob.
10. achchha khyaal hai. maira khyaal hai ke "sar e turbat ke teHreeraiN " ki bajaa-aye sar e turbat pe teHreeraiN" hona chahiaye. aor doosre miSra meiN "to kyooN naam o nishaN hota" ( sawaal) ki jagaa (khaahish) "na phir naam o nishaaN hotaa" zydaa beHtar khap saktaa hai.
11. "kidhar" se Sirf aik direction zahan meiN aati hai. "kahaaN" karne ke baare meiN kyaa khyaal hai.
Regards,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.