Page 1 of 1

Hubb-e-rasool SalAllaahu a'laihi wa.aalihii wasallam........

Posted: Fri May 11, 2007 3:03 am
by yasir shah
----------



Hakeem.ul.ummat Maulaanaa Ashraf Ali Thaanvi Rahmatullaahi a'laihi ki khidmat meN aik shakhS HaaZir huway aur kahnay lagay HaZrat aik ishkaal hay , farmaayaa kyaa? kahnay lagay rasoolullaahi SalAllaahua'laihi wasallam kaa irshaad-e-giraamee hay :

"laa yuminu aHadukum Hattaa akoona aHabba ilaihi min waalidihii wannaasi ajma'een"

"tum meN se koi shakhS momin naheeN ho saktaa yahaaN tak keh meN us ke liye ziyaadah maHboob ban jaaooN us ke baap se bhee aur us ki aulaad se bhee , aur tamaam insaanoN se bhee -"


aur ishkaal yeh hay keh mujhay apnay waalid se ziyaadah maHabbat hay , HuZoor SalAllaahu a'laihi wasallam se itnee maHabbat naheeN jitnee apnay baap se hay , to men maumin nah huwaa - haZrat (R.A) ne irshaad farmaayaa naheeN Khaan SaaHib ! rasoolullahi Salallaahu a'laihi wasallam ki maHabbat aap ke dil meN apnay waalid se ziyaadah hay- kahnay lagaa, jee ! meN to apnay waalid meN maHabbat ziyaadah maHsoos kartaa hooN, farmaayaa naheeN ! khair baat khatm ho ga.ee, isee majlis meN HaZrat Hakeem.ul.ummat ne aaN.HaZrat SalAllaahu a'laihi wasallam ke shumaail shareefah , akhlaaq-o-'aadaat aur maHboobiyat -o-dilrubaaee kaa tazkirah farmaayaa aur aisay andaaz se tazkirah farmaayaa keh baqaul HaZrat Dr. abdul Hai Aarifee (R.A):

kisee kaa zikr hay aur ahl-e-maHfil mast-o-baikhud heN
baZ'aahir yaaN nah saaqee hay , nah Sehbaa hay , nah paimaanah


HaZrat Hakeem.ul.ummat aaN.HaZrat SalAllaahu a'laihi wasallam kaa zikr-e-khair farmaa rahay thay aur ahl-e-maHfil par aik mastee kaa 'aalam t'aaree thaa, aur yeh khaan SaaHib aaN.HaZrat SalAllaahu a'laihi wasallam ke zikr-e-khair par sab se ziyaadah jhoom rahay thay, HaZrat ne chaltay chaltay irshaad farmaayaa keh khaan SaaHib ! khair is ko to ChoRiye !aap ke waalid maajid bahut aChChay aadamee thay-kuCh un kaa zikr-e-khair bhee ho jaa.ay-khaan saaHib kahnay lagay keh haZrat ! yeh aap ne kyaa GhaZab Dhaayaa keh rasoolullaahi SalAllaahua'laihi wasallam kaa tazkirah-e-muqaddas ho rahaa thaa aur aap mere waalid kaa qiSSah lay baiThay
:-)-HaZrat (R.A) ne muskuraa kar farmaayaa , kyooN khaan saahib ! aap to kah rahay thay keh mujhay apnay baap se ziyaadah maHabbat hay , agar aap ko aaN.HaZrat SalAllaahu a'laihi wasallam se ziyaadah baap se maHabbat hoee to aaN.HaZrat SalAllaahu a'laihi wasallam ke zikr ke bajaa.ay apnay baap kaa tazkirah shuroo' honay se aap ko Ghairat kyooN aa.ee ?

_____________________________maakhooz az "waaqi'aat-o-mushaahidaat-e-Ludhyaanawee" (Maulaanaa Yousuf Ludhyaanwee "shaheed" )

Posted: Tue May 15, 2007 3:43 am
by yasir shah
jazaaAllaahu khairan

Posted: Sat May 26, 2007 6:34 pm
by sbashwar
:jazak: