Page 1 of 1

kalam-e-Amjad MirZa Amjad pesh-e-khidmat hai.

Posted: Sun May 13, 2007 6:24 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Yaraan-e-meHfil aadaab!

shaeqeen-e-Ghazal ke liye Amjad Mirza Amjad ke kalam se aek Ghazal pesh kee jaa rahee hai. mulaHiZ^ah farmaiye!

maiN daastaan-e-Gham nah sunaooN to kiya karooN?
jo Zakhm haiN agar nah dekh~aooN to kiya karooN?

haaN de chuke ho mujh~ ko tum be shumaar Gham
ab bujh~ un ka maiN nah uTh~ooN to kiya karooN?

naakardah jurm par jo kamaaee haiN tohmateeN
shikwoh bh~ee ab ZabaaN peh nah laooN to kiya karooN?

mere naSeeb meN tujh~e rab ne naheeN likh~a
dil se tiree nah yaad bh~ulaooN to kiya karooN?

mil jul ke ham banate rahe ret ke meHel
Amjad unheeN maiN aaj nah Dh~ooN to kiya karooN?

Posted: Sun May 13, 2007 10:06 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Saara jee aadaab!

kalam ko pasand farmane par aap ka shukrguzaar hooN.

Muzaffar