:: Jaane lafzoN maiN chhupe hoNge khazaane kitne !! ::
Posted: Wed Feb 09, 2005 1:22 am
moHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil, aadaab ! :)
Apni aek taazah ghazal jo "Sauti Mushaai'ra" maiN paRhee thee, le kar Haazir-e-khidmat howaa hoN , is umeed k saath k asaatiza-e-kiraam ki raaye se bahut kuch seekhne ko meleyga aur deegar sukhan-nawaaz aHbaab ki raaye , khaak nisheeN k HoSle mazeed baRhaa degee!! ;) . shukriya.
:: Urdu Version ::
:: Roman Version ::
1.
Jaane lafzoN maiN chhupe hoNge khazaane kitne
Aek hi baat k bante haiN fasaane kitne !!
2.
Sunte sunte hi kaheN u'mr na hojaaye tamaam!
Aate aate tumheN aaye haiN bahaane kitne !!
3.
Chashm-e-qaatil ! mire raqSeeda tabassum maiN nihaaN
Nazar aaye the tujhe phool suhaane kitne ?? 8)
4.
Aye rawaaN waqt ! agar maiN tire hamraah chaloN
Miree aaNkhoN maiN samaayeNge zamaane kitne??
5.
Mire qaaSid ! tu zaraa pooch k aa kalyoN se
Waaqe'ee unko sunaaye haiN Sabaa ne kitne ??
6.
Aah aye gulshan-e-jaanaaN tumhe ma'loom nahiN
Gaaye haiN dil ne judaaii maiN taraane kitne !!
7.
Raat bhar mere sitamgar ne gine haiN taarey !!
Zakhm , dil aur jigar par haiN sajaane kitne !! 8)
8.
Jaate jaate mujhe itnaa to bataade jaanaaN !!
ChaaheyeN tujh ko bhulaane maiN zamaane kitne ??
9.
Basm-e-chashm-o-dil-e-bismil ki kahoN kyaa pyaare ?
Jaane kab raNg bhare , gul maiN, hawaa ne kitne !! 8)
aur ab maqta' shareef ;)
10.
ChaaNd taare bhi :Zia: k haiN shanaasaa kab se !! 8)
Hai khabar sab ko, magar koi na jaane kitne! :smt102
mokhliS : Zia Baloch 8)