Page 1 of 1

:: ik baar to seene se lagaane ke liye aa ! ::

Posted: Thu May 17, 2007 4:01 pm
by Star Mind
Yaaran-e-anjuman, aadaab !

aek lambii Ghair Haazirii ke baa'd aaj aap ki Khidmat meiN apnii taaza tareen Ghazal paish karne ki jasaarat kar rahaa hooN ! jo k Ahmad Faraz SaaHib ki mash'hoor--e-zamaana Ghazal "ranjish hi sahii........" ki zameen meiN hai !, ummeed hai k tavaalat ka liHaaz na karte hove apnii qeemati aaraa se navaazeNge ! shukriya

Zia Baloch

:: Urdu Version ::
Image
:: Roman Version ::

1.

aaNkhoN ki bujhii shama' jalaane ke liye aa !
aa mujh ko nayaa Khwaab dikhaane ke liye aa !

2.

baKht-e-dil-e-Khwaabeeda jagaane ke liye aa !
aa taar-e-rag-e-jaaN ko bajaane ke liye aa !

3.

ik u'mr se pyaasaa hooN tirii bazm meiN saaqii !
is samt bhi ik jaan baRhaane ke liye aa !

4.

hai muntazir-e-Hashr tiraa mast-e-balaa-nosh !
Khaak-e-dar-e-mai-Khaana uRaane ke liye aa !

5.

ab bhii hai divaane meiN sitam sehne ki taaqat !
ik teer-e-jafaa aur chalaane ke liye aa !

6.

be-faai'da ummeed dilaate haiN jo dil ko
aa aise chiraaGhoN ko bujhaane aa !

7.

maana k tujhe mujh se maHabbat hi naheeN hai
phir bhii kabhi iHsaas dilaane ke liye aa !

8.

kuchh chain to mil jaaye mirii rooH ko aye dost !
ik baar to seene se lagaane ke liye aa !

9.

barpaa na ho dil meiN kaheeN aashob-e-qiyaamat !
jaagii ho'i yaadoN ko sulaane ke liye aa !

10.

zindah hooN maiN ab tak jise sunne ke bahaane
ik roz vuhii geet sunaane ke liye aa !

11.

jaane se tire TooT na jaaye miri ummeed !
aisaa koi jaadoo hi chalaane ke liye aa !

12.

aazaar-e-Gham-e-hijr sahaa hai tuu ne kaise ?
yeh raaz kabhii mujh ko bataane ke liye aa !

13.

jal kar bhi kahaaN chain milegaa mire dil ko
Khaakistar-e-dil ko bhi uRaane ke liye aa !

14.

dunyaa jise kehtii hai Zia, kaun hai yeh shaKhS ?
furSat meiN kabhii yaad dilaane ke liye aa !

............................................................................................................

Zia Baloch

Posted: Fri May 18, 2007 7:13 pm
by Shummu
wah wah bahut khoob...kya kehne....meri pasandeeda ghazal ki zameen mein ghazal kahi hai aapne aur kya khoob kahi hai..mazaa aa gaya...rawaani aur taghazzul se bharpoor ghazal ne mujhe to mehshoor kar diya....dili daad aur mubarakbaad pesh hai ZIA :grin:

Posted: Mon May 21, 2007 5:31 am
by Sarwar A. Raz
a'zeezam Zia: salaam-e-muHabbat!

aap kee yeh dilkash Ghazal dekh to lee thee lekin furSat kee talaash meN thaa keh it^meenaan se likhooN. so aaj waqt mil hee gayaa. is zameen meN Ahmad Faraz kee Ghazal achhee hai lekin us ko shurhrat Mehdi Hasan kee gaayakee kee wajh se huyee hai! aisee zameen meN t^aba'-aazmaayee se hameshah yeh Khat^rah rehtaa hai keh aap kee koshish ko Ahmad Faraz kee Ghazal ko saamne rakh kar dekhaa jaaye gaa aur yeh yaqeena" Ghalat^ ho gaa. Khair, yeh to ek jumla'h-e-mo'tariZ^ah thaa. ab aamadam bar sar-e-mat^lab!

aap kee Ghazal pasand aayee. zameen zarKhez hai aur aap kee t^abee,a't rawaanee par thee, so itne ash,a'ar ho gaYe! bohat Khoob! daad qubool keejiye. mere Zehn meN kuchh ash,a'ar kee mutabaadil bandisheN aayee haiN. pesh kiYe detaa hooN, is darKhwaast ke saath keh in ko Sirf ek nigaah dekh leN. aap kee Ghazal apnee jagah Khoob hai aur tarmeem kee bohat kam gunjaa,ish hai!
------------------------------------
aaNkhoN ki bujhii shama' jalaane ke liye aa !
aa mujh ko nayaa Khwaab dikhaane ke liye aa !

bohat Khoob! :aaNkhoN: kee munaasibat se :shama': ko :sham,e'N: bhee keh sakte haiN. "Ghalib" kehte haiN:

joo-e-KhooN behne do :aaNkhoN: se ke hai shaam-e-firaaq
maiN yeh samjhooN gaa keh :sham,e'N: do firozaaN ho gayeeN!
---------------------------------
baKht-e-dil-e-Khwaabeeda jagaane ke liye aa !
aa taar-e-rag-e-jaaN ko bajaane ke liye aa !

(1) baKht-e-dil-e-Khwaabeedah = (ba-z^aahir) soYe huwe di kaa baKht (sochiYe to :dil kaa baKht jo so gayaa hai)!

yaa: baKht-e-Khwaabeedah-e-dil = dil kaa soyaa huwaa baKht? aap maashaa-Allah Farsi-daaN haiN. kyaa donoN shakleN ham-ma'nee haiN?

(2) :taar: naheeN bajaayaa jaa saktaa. albattah :taar: ko :saaz: se badal deN to aap pooree shab-e-hijr baiThe raag alaapte rahiYe! kyaa Khayaal hai?
---------------------------------
ik u'mr se pyaasaa hooN tirii bazm meiN saaqii !
is samt bhi ik jaam baRhaane ke liye aa !

naheeN miyaaN! yooN kyoN naheeN kehte?

ik u'mr se pyaasaa hooN tire Husn-e-naz^ar kaa!
is samt bhee---------------
---------------------------
hai muntazir-e-Hashr tiraa mast-e-balaa-nosh !
Khaak-e-dar-e-mai-Khaana uRaane ke liye aa !

aisaa hee intiz^aar hai to :mast: se :rind: ho jaa,iye!
-----------------------------
ab bhii hai divaane meiN sitam sehne ki taaqat !
ik teer-e-jafaa aur chalaane ke liye aa !

she'r Theek hai lekin dil par koyee KhaaS acar nah huwaa. ma'Zirat!
------------------------------------
be-faai'da ummeed dilaate haiN jo dil ko
aa aise chiraaGhoN ko bujhaane aa !

is :be-faa,idah: ne muNh kaa mazaa Kharaab kar diyaa! ek shakl yeh ho saktee hai:

rakhte haiN hameshah hee bhulaawe meN jo dil ko
aa! aise -----------------------
-------------------------------------
maana k tujhe mujh se maHabbat hi naheeN hai
phir bhii kabhi iHsaas dilaane ke liye aa !

SaaHeb!agar us qittaalah ko aap se muHabbat naheeN hai to woh jataane ke liYe aap ke paas aa kar a'aqibat ke saath apnee dunyaa bhee Kharaab nah kare gee? :-)

sunte haiN tujhe ham se muHabbat hee naheeN hai
gar sach hai, to yeh baat jataane ke liye aa!
-------------------------
kuchh chain to mil jaaye mirii rooH ko aye dost !
ik baar to seene se lagaane ke liye aa !

ai dost----------->shaayad

ik baar to------------> KhwaaboN meN hee
-------------------------------
barpaa na ho dil meiN kaheeN aashob-e-qiyaamat !
jaagii ho'i yaadoN ko sulaane ke liye aa !

SaaHeb! kabhee aap us :Ghareeb: se kehte haiN keh yaad jagaa jaaYe aur kabhee farmaate haiN keh yaad sulaa jaaYe. ab tak to woh KhaaSee :confused: ho gayee ho gee! waise she'r buraa naheeN hai! daad!
--------------------------
zindah hooN maiN ab tak jise sunne ke bahaane
ik roz vuhii geet sunaane ke liye aa !

yeh she'r mujh naacheez, hech-madaaN ko pasand naheeN aayaa. koyee nayee baat, nayaa andaaz nah naz^ar aayaa. gustaaKhee mu,a'af!
--------------------------------
jaane se tire TooT na jaaye miri ummeed !
aisaa koi jaadoo hi chalaane ke liye aa !

pehle miSRe' par kaafee sochtaa rahaa lekin kuchh soojhaa naheeN! Khair,is u'mr meN aur ummeed bhee kyaa karooN! :-)

jaane se tire TooTe nah yeh rishtah-e-ummeed
jaate hee tire TooT nah jaaYe miree ummeed
aisaa hee koyee jaadoo jagaane ke liYe aa!

yeh to kahooN gaa keh :chalaane: se behtar :jagaane: ma'loom hotaa hai. kyaa farmaate haiN muftiyaan-e-deen-e-mateen beech is mas,aleh ke? :-)
---------------------------------
aazaar-e-Gham-e-hijr sahaa hai tuu ne kaise ?
yeh raaz kabhii mujh ko bataane ke liye aa !

hmm! to ab muHabbat ke gur aap :un: se poochheN ge? kyaa zamaanah aa gayaa hai! waise :too: kee :waw: buree t^araH dab rahee hai:

aazaar-e-Gham-e-hijr sahaa jaataa hai kaise
yeh raaz-e-wafaa mujh ko----------------
---------------------------------
jal kar bhi kahaaN chain milegaa mire dil ko
Khaakistar-e-dil ko bhi uRaane ke liye aa !

Khaakistar kaa Zikr jalne se pehle? :mile gaa: ko :milaa hai: kar deN? :dil: kee takraar se bachnaa ho to doosre :dil: ko :jaaN: kar sakte haiN! aage maalik kee marZ^ee!
--------------------------
dunyaa jise kehtii hai Zia, kaun hai yeh shaKhS ?
furSat meiN kabhii yaad dilaane ke liye aa !

bohat Khoob!

poochhte haiN woh keh "Ghalib" kaun hai?
koyee batlaa,o keh ham batlaaYeN kyaa?
--------------------------
ek achhee Ghazal par mubaarak-salaamat!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Re: :: ik baar to seene se lagaane ke liye aa ! ::

Posted: Mon May 21, 2007 6:48 pm
by Star Mind
sara_j wrote:
Star Mind wrote:
:: Roman Version ::

1.

aaNkhoN ki bujhii shama' jalaane ke liye aa !
aa mujh ko nayaa Khwaab dikhaane ke liye aa !...........waah!

2.

baKht-e-dil-e-Khwaabeeda jagaane ke liye aa !
aa taar-e-rag-e-jaaN ko bajaane ke liye aa !........bohat khoob!

3.

ik u'mr se pyaasaa hooN tirii bazm meiN saaqii !
is samt bhi ik jaam baRhaane ke liye aa !.............kya kehne!!

4.

hai muntazir-e-Hashr tiraa mast-e-balaa-nosh !
Khaak-e-dar-e-mai-Khaana uRaane ke liye aa !.........waah!

5.

ab bhii hai divaane meiN sitam sehne ki taaqat !
ik teer-e-jafaa aur chalaane ke liye aa !........ :shock: kya baat hai aapki!

6.

be-faai'da ummeed dilaate haiN jo dil ko
aa aise chiraaGhoN ko bujhaane aa !.........waah!

7.

maana k tujhe mujh se maHabbat hi naheeN hai
phir bhii kabhi iHsaas dilaane ke liye aa !.........awesome!

8.

kuchh chain to mil jaaye mirii rooH ko aye dost !
ik baar to seene se lagaane ke liye aa !..........bohat ache!

9.

barpaa na ho dil meiN kaheeN aashob-e-qiyaamat !
jaagii ho'i yaadoN ko sulaane ke liye aa !.....very nice!

10.

zindah hooN maiN ab tak jise sunne ke bahaane
ik roz vuhii geet sunaane ke liye aa !.........kya baat hai!!

11.

jaane se tire TooT na jaaye miri ummeed !
aisaa koi jaadoo hi chalaane ke liye aa !.......bohat khoob!

12.

aazaar-e-Gham-e-hijr sahaa hai tuu ne kaise ?
yeh raaz kabhii mujh ko bataane ke liye aa !....... :-) bohat khoob!

13.

jal kar bhi kahaaN chain milegaa mire dil ko
Khaakistar-e-dil ko bhi uRaane ke liye aa !.........hmmm....nice!

14.

dunyaa jise kehtii hai Zia, kaun hai yeh shaKhS ?
furSat meiN kabhii yaad dilaane ke liye aa !.......wah wah!!

............................................................................................................

Zia Baloch
Zia sahib,

ab ye ustad hi batayenge ke aapne :Faraz: ki zameen ke
saath kitna insaaf kiya hai, waise mujhe tou aapka har kalaam
pasand aata hai aur ye bhi ghazal bohat pasand aayi.

meri jaanib se daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

sara
Sara behnaa, aadaab !

yeh aap ka Husn-e-nazar hai k aap is aHqar kii adnaa kaavishoN ko is qadar daad se navaaztii haiN !
is ke liye aap ka beHad mamnoon hooN ! aap Khud aek behtareeN shaai'ra haiN , aap ki daad kisii Khazeene se kam naheN ! :)

shukrya

Zia Baloch