Page 1 of 1

ek aur ghazal zehmath-e-nazar keliye

Posted: Wed May 30, 2007 7:46 am
by khudrath ali khan

veeran nazar hai hasrath-e-dil bhi khamoosh hai
sur pur hai hushr-e-zeesth tho ghum bhi badosh hai

hur shaam aatsheen hai tho hur subha marg-e-nau
khana-kharab-e-hasthi-e-dil sukht kosh hai

pinhan hai jis mein raaz-e-bayan masti-e-junoon
dhonde jise falak ye wohi bada naush hai

hairani-e-nazara bani hikmath-e-thamam
dam-e-khayal mein tho wohi parda posh hai

dast-e-shikast-e-dil hai abhi mehv-e-ilteja
seena shurur figar hai aahat ba gosh hai

Re: ek aur ghazal zehmath-e-nazar keliye

Posted: Wed May 30, 2007 6:17 pm
by jawaid badauni
khudrath ali khan wrote:

MoHtarmee wa mukarramee
Khudrath Ali Khan SaaHab
aadaab qubool farmaaiye

Behud dushwaar qawafee meN aap ki nihayat Haseen Ghazal nazar nawaaz huuwi jo bohat pasaNd aai. Meri naacheez dad qubool farmaaiye.

Aap se shikayat hai keh aap hamari mehfil meN bohat kum aate jaate haiN. Khudara apni aamad-jaamd meN kuch izafah kijiye. Ummid hai apne kalam se hamari bazm ki raunaq baRhaate raheNge.

KhulooSkaar,

Jawaid Badauni
Muscat-Oman

Re: ek aur ghazal zehmath-e-nazar keliye

Posted: Wed May 30, 2007 6:50 pm
by muhammad_19k
jawaid badauni wrote:
khudrath ali khan wrote:
veeran nazar hai hasrath-e-dil bhi khamoosh hai
sur pur hai hushr-e-zeesth tho ghum bhi badosh hai

hur shaam aatsheen hai tho hur subha marg-e-nau
khana-kharab-e-hasthi-e-dil sukht kosh hai

pinhan hai jis mein raaz-e-bayan masti-e-junoon
dhonde jise falak ye wohi bada naush hai

hairani-e-nazara bani hikmath-e-thamam
dam-e-khayal mein tho wohi parda posh hai

dast-e-shikast-e-dil hai abhi mehv-e-ilteja
seena shurur figar hai aahat ba gosh hai

MoHtarmee wa mukarramee
Khudrath Ali Khan SaaHab
aadaab qubool farmaaiye

Behud dushwaar qawafee meN aap ki nihayat Haseen Ghazal nazar nawaaz huuwi jo bohat pasaNd aai. Meri naacheez dad qubool farmaaiye.

Aap se shikayat hai keh aap hamari mehfil meN bohat kum aate jaate haiN. Khudara apni aamad-jaamd meN kuch izafah kijiye. Ummid hai apne kalam se hamari bazm ki raunaq baRhaate raheNge.

KhulooSkaar,

Jawaid Badauni
Muscat-Oman
Salam Qurdrat SaHeb,

aap ki ghazal meN ne Jawaid SaHeb se pehlay daikhi thee. such kehtaa hooN ke itnay mushkil alfaaz to mujhe samajh bhi naheen aa-aye :). ab jawaid SaHeb ne t'aareef ki hai to andaaza hotaa hai ke kuch bohat achchha hi likhaa hai aap ne.

mairi taraf se bhi :daad: qubool farmaa-iaye.

khairandesh
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Thu May 31, 2007 3:32 am
by jawaid badauni
MaKhdoomi Khan SaaHaab,
tasleemaat

Aap Amuman yahan kiye gaye tabsarey ka jawab PM se dete haiN.Aaaj bhi aap ne aisa hi kiya hai jiske liye maiN aap ka mamnoon hooN.

Waise Arz kar dooN keh hamare yahaN riwaaj yeh hai keh in tanqeedi ya tAAreefee tabsaroN ka jawab forum per hi diya jata hai. Is se bazm ki raunaq meN izafah hota hai aur tamam membraan aap ki baat sun sakte haiN.

Ummid hai mizaaj baKhair hoNge.

MuKhliS
Jawaid

Posted: Sun Jun 03, 2007 3:07 am
by afshan
mashallah khan saheb, aap ka kalaam e zauq tareef se bhi purnoor tha,wah wah kehte jabaan na thaki aur ghazal nazar karte karte dil na bhara.
mashallah. afshan