Page 1 of 1
"ahlay qalam dekhtay haiN"taza tarhi kalaam pesh h
Posted: Mon Jun 04, 2007 5:16 pm
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto :rose
hum apni adna kaavish aapki bacaaratoN kay hawaalay kar rahay haiN
gar qubool uftad zahay.......
arz kiya hai..........
jahaaN dekho zulmo sitam dekhtay haiN
hum insaaniyat kay alam dekhtay haiN
khuda nay kaha muttahid haukay jeenaa
magar muntashir sabkau hum dekhtay haiN
jau parcham uthaaye haiN insaaniyat ka
hum unmeiN bhi insaan kam dekhtay haiN
sisakti hai insaaniyat aaj phir bhi
kisee kau kisee ka nah hum dekhtay haiN
khabardaar hau jaayeN zaalim jahaaN kay
nazaaray yeh ahlay qalam dekhtay haiN
chalo inquilaab aik laayeN jahaaN meiN
hamaari taraf ahlay gham dekhtay haiN
mohammed(sawaw)kay haamid say kehti hai duniya
"tujhay kis tamanna say hum dekhtay haiN"
nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah
Posted: Tue Jun 05, 2007 12:48 am
by Sarwar A. Raz
biraadaram Baqri SaaHeb: aadaab!
aap kaa kalaam hameshah hee dil meN eemaan taazah kar detaa hai. maiN kabhee kabhee apnee jumlah maSroofiyat meN jawaab waqt par naheeN de saktaa hooN, jo meree kotaahee hai. lekin aap ko waqt nikaal kar paRhtaa Z^aroor hooN. is raNg meN likhne waalaa meree nigaah meN net par aur koyee naheeN hai. aap kee i'naayaat kaa mo'tarif bhee hooN aur mamnoon bhee.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Posted: Tue Jun 05, 2007 8:49 am
by Sohail Malik
Assalam o alaekum
Haamid saaheb mashaAllah bohat khubsuret kalam say nawaza hay aap nay
bohat daad qabul kijiay khasusan derj e zel ashaar per
jahaaN dekho zulmo sitam dekhtay haiN
hum insaaniyat kay alam dekhtay haiN
khuda nay kaha muttahid haukay jeenaa
magar muntashir sabkau hum dekhtay haiN
jau parcham uthaaye haiN insaaniyat ka
hum unmeiN bhi insaan kam dekhtay haiN
Sohail Malik
shukriya
Posted: Tue Jun 05, 2007 10:36 am
by haamidbaaqri
Sarwar Raz wrote:biraadaram Baqri SaaHeb: aadaab!
sarwar bhai saahib
aap kaa kalaam hameshah hee dil meN eemaan taazah kar detaa hai.
hameN badee khushee huee yeh jaankar.hameN apni duaoN meiN nah bhooliyega.jazakallah
maiN kabhee kabhee apnee jumlah maSroofiyat meN jawaab waqt par naheeN de saktaa hooN,
hum jaantay haiN keh aap bahut masroof rehtay haiN.
jo meree kotaahee hai
aap hameN sharminda kar rahay haiN.
. lekin aap ko waqt nikaal kar paRhtaa Z^aroor hooN.
zahay naseeb.
is raNg meN likhne waalaa meree nigaah meN net par aur koyee naheeN hai.
alhamdulillah.hausalah afzaayee kay liye hum aapkay behad mamnoono mashkoor haiN.
aap kee i'naayaat kaa mo'tarif bhee hooN aur mamnoon bhee.
aapkay yeh besh qeemti kelemaat hamaara hausalah aur badhaadetay haiN.
allah(sbhnwt)aapper apni rehmatoN ki baarish karay.aameen.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
aapkaapna
haamidbaaqari
shukriya
Posted: Tue Jun 05, 2007 10:42 am
by haamidbaaqri
Sohail Malik wrote:Assalam o alaekum
WAalaikumussalaam
suhail saahib
Haamid saaheb mashaAllah bohat khubsuret kalam say nawaza hay aap nay
bahut bahut shukriya aapka.jazakallah.
bohat daad qabul kijiay khasusan derj e zel ashaar per
aapki mukhlisaanah daad kay liye hum aapkay mamnoon haiN.
jahaaN dekho zulmo sitam dekhtay haiN
hum insaaniyat kay alam dekhtay haiN
khuda nay kaha muttahid haukay jeenaa
magar muntashir sabkau hum dekhtay haiN
jau parcham uthaaye haiN insaaniyat ka
hum unmeiN bhi insaan kam dekhtay haiN
Sohail Malik
mukhlis
haamidbaaqari
Posted: Wed Jun 06, 2007 11:00 am
by muhammad_19k
jau parcham uthaaye haiN insaaniyat ka
hum unmeiN bhi insaan kam dekhtay haiN
chalo inquilaab aik laayeN jahaaN meiN
hamaari taraf ahlay gham dekhtay haiN
Waaah janab bohat khoob. bohat hi khoob.
shukriya
Posted: Sat Jun 09, 2007 1:41 pm
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:
jau parcham uthaaye haiN insaaniyat ka
hum unmeiN bhi insaan kam dekhtay haiN
chalo inquilaab aik laayeN jahaaN meiN
hamaari taraf ahlay gham dekhtay haiN
Waaah janab bohat khoob. bohat hi khoob.
bahut bahut shukriya mohammed khawar bhai saahib
jazakallah
aapka apna
haamidbaaqari