Page 1 of 1

GuZarish#29 ke liye meree ma'mulee see kosshish!

Posted: Mon Jun 04, 2007 8:07 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Yaraan-e-meHfil-e-Mushae'rah Urdubandhan aadaab!

Sadr-e-mushae'rah HaZ^rat-e-Abdullah Naz^ir SaHib kee ijazut se apnee ma'mulee see koshsih pesh kar rahaa hooN. mulaHiZ^ah farmaaiye.

Ghazal

1,
jo shaakh-e-Gul peh banayaa thaa AashiyaaN maiN neY
usee kee taak meN dekheeN haiN bijliyaaN maiN neY!

2,
rahe gaa laoH-e-jahaaN par yeh QiSSah-e-Ulfat
Jigar ke khun se likhkhee hai daastaaN maiN neY!

3,
fareb de geyaa khush rang daam t^aae'ir ko
samajh liyaa thaa jiseY SeHn-e-GulsitaaN maiN neY!

4,
mujheY milaa nah koee Gham Gusaar dinyaa meN
banaa liyaa hai shab-e-Gham ko raaZdaaN maiN neY!

5,
falak ne kar diyaa bijlee Giraa ke khaakistar!
lahu se seench ke rakhkhaa thaa GulsitaaN maiN neY!

6,
kiyaa nah shikwah-e-bedaad tun khu jujh se
kabhee nah kholee sitam par tire ZubaaN maiN neY!

7,
milee nah Jura't-e-iz^haar-e-AarZu mujh ko
"tamaam u'mr GuZaaree hai raae'gaaN maiN neY!

8,
maiN cheekh uTThaa Muz^affar Wat^an jo yaad aayaa!
nah pooch khud ko pukaara kahaaN kahaaN maiN neY!

Muz^affar A Muz^affar
[/align]

Re: GuZarish#29 ke liye meree ma'mulee see kosshish!

Posted: Tue Jun 05, 2007 5:37 am
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaraan-e-meHfil-e-Mushae'rah Urdubandhan aadaab!

Azeezi Muzaffar SaaHab,
aadaab

Aapki mukammal Ghazal hi bohat achchi hai. Bohat Saaf aur Haseen ashAAr haiN. Daad qubool kijoye. Mujhe mAlum tha is zamen meN achchi GhazaleN dekhne ko mileNgee.

Hum jaise logoN ke liye jo pardes meN saree zindagee guzaar dete haiN aap ka maqTa' KhaaS ahmiyat rakhta hai. Watan ki yaad bewatanoN ko akSar bohat satati hai. WahaN ke badalte mausam, purKhuloos log, aur ek ajeeb sa maHaul jismeN ek apnapan tha. Bohat achche andaz meN aap ne ek bohat achchi baat kahi hai. Daad Hazir hai.

Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni

Re: GuZarish#29 ke liye meree ma'mulee see kosshish!

Posted: Tue Jun 05, 2007 11:42 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Yaraan-e-meHfil-e-Mushae'rah Urdubandhan aadaab!

Sadr-e-mushae'rah HaZ^rat-e-Abdullah Naz^ir SaHib kee ijazut se apnee ma'mulee see koshsih pesh kar rahaa hooN. mulaHiZ^ah farmaaiye.

Ghazal

1,
jo shaakh-e-Gul peh banayaa thaa AashiyaaN maiN neY
usee kee taak meN dekheeN haiN bijliyaaN maiN neY!

2,
rahe gaa laoH-e-jahaaN par yeh QiSSah-e-Ulfat
Jigar ke khun se likhkhee hai daastaaN maiN neY!

3,
fareb de geyaa khush rang daam t^aae'ir ko
samajh liyaa thaa jiseY SeHn-e-GulsitaaN maiN neY!

4,
mujheY milaa nah koee Gham Gusaar dinyaa meN
banaa liyaa hai shab-e-Gham ko raaZdaaN maiN neY!

5,
falak ne kar diyaa bijlee Giraa ke khaakistar!
lahu se seench ke rakhkhaa thaa GulsitaaN maiN neY!

6,
kiyaa nah shikwah-e-bedaad tun khu jujh se
kabhee nah kholee sitam par tire ZubaaN maiN neY!

7,
milee nah Jura't-e-iz^haar-e-AarZu mujh ko
"tamaam u'mr GuZaaree hai raae'gaaN maiN neY!

8,
maiN cheekh uTThaa Muz^affar Wat^an jo yaad aayaa!
nah pooch khud ko pukaara kahaaN kahaaN maiN neY!

Muz^affar A Muz^affar
[/align]
Assalaam o alaikum
biradaram muzaffar saahib

bahut hi khoobsoorat ghazal hai yeh aapki

seedhay saadhay alfaaz meiN aapnay jo baateN kahee haiN woh BAHUT HASEN AUR DILKASH HAIn.

hameN khaaskar maqta bahut pasand aaya.

is khoobsoorat kaavish per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN :rose :rose :rose :clap01:

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

aapka apna
haamidbaaqari

Posted: Wed Jun 06, 2007 9:57 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
sara_j wrote:Muzaffar sahib daad qubool keejiye is haseen kavish per.

sara
moHtarmah Saara JabeeN SaHibah aadaab!

Aap kee dad meN chupe huwe khuloS ke liye shukrGuZaar hooN.
khush raheeN aor himmat baRhaatee raheeN.

MuZaffar

Posted: Wed Jun 06, 2007 10:00 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Hamid Baaqri SaHib aadaab!

Aap ne kalam ko pasand farmaate huwe daad aor mubarak baad se nawaZah yeh aap kee baRee i'nayat hai maiN aap kaa teh-e-dil se shukGuZaar hooN. hameshah aadaab-o-khush raheeN.

Wassalam
MuZaffar

Posted: Wed Jun 06, 2007 10:02 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Biraadaram Jawaid SaHib Aadaab!

GhaZal kee paZeeraee aor A'jiZ kee himmat afZaee ke liye teh-e-dil se minnat shanaas hooN. khush raheeN.
maiN GhaZal kaa maqt^a' likhte huwe waaqa'ee cheekh uThaa thaa. aor fart^-e-eHsaas-e-meHroomee-e-wat^an se AaaNkh bhar aaee. aor aek muddat ba'd hee sahee dil khalkaa ho geyaa.

Aap is dard ko samajhte haiN.......aap se kiyaa a'rZ^-e-Haal karooN keh aap kaa bhee to yahee dukhRaa hai.
"teree gaod mubarak tiththeY kheD leyaa do kaRyaaN"

Wassalam
MuZaffar

Posted: Thu Jun 07, 2007 4:38 am
by muhammad_19k
Janab Muzaffar SaHeb,

is meN koi shak naheeN ke aap ke tamaam ashaar us saTaH par haiN jahaaN siwaa-aye t'aareef ke kuch aor chaaraa naheeN. So mubaarakbaad qubool kijiaye. haaN paRhte huwaa aisaaa zarool lagaa jaise ye ghazal shayed pehlay bhi kaheeN paRhi hai. kya aap ke moozoaat meN yaksaaniat aa gayee hai?

wasalam,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Fri Jun 08, 2007 11:27 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biraadaram M. Khawar SaHib aadaab!

GhaZal kee paZeeraee aor faQeer kee HaoSlah afZaee donooN batooN ke liye marhooN-e-minnat hooN. khush raheeN.

GhaZal taZah kosh hai. is liye imkaan naheeN keh aap ne yeh yaa aesee GhaZal kaheeN dekhee ho.....agar mohaiyaa farmaa deeN. to muNh maangaa ina'aam paeeN. :-)

Zeyadah Hadd-e-adab!
Muz^affar A Muz^affar