Page 1 of 1

Re: Mehfil meiN ahl-e-dil kii, deewaane kam nah hounge

Posted: Thu Jun 07, 2007 10:26 am
by jawaid badauni
sara_j wrote:Salaam,

aek ghazal jo pehle pesh nahi ki thi, laikin
Nazir sahib ki islah shuda hai.

[align=center]Mehfil meiN ahl-e-dil kii, deewaane kam nah hounge
Jab tak diye heiN raushan parvaane kam nah hounge

Mere hi dil kaa zaalim, kyaa Haal poochtaa hei
Dunyaa meiN is TaraH ke, veerane kam nah hounge

Kyaa beqaraariy-e-gul, kyaa iZTiraab-e-shabnam
Baad-e-Sabaa ke lab per, afsaane kam nah hounge

Badmastiy-e-muHabbat kab intihaa ko pahunchi
Chashm-e-karam ke teri, paimaane kam nah houNge

Poochaa jou maiN ne kab tak unkaa karam rahegaa
Kehne lage ke hargiz nazraane kam nah houNge

Sehbaa-e-aarzoo meiN Doobi rahegi :Saara:
Jab tak heiN rind zindah maikhaane kam nah hounge
[/align]

niyazmand

sara
Bohat Haseen ghazal hai. Dil bohat Khush huuwa paRhker.
Zindabaad.

MuKhliS
Jawaid

Posted: Thu Jun 07, 2007 6:39 pm
by muhammad_19k
bohat khoob Saaraa ji

Posted: Thu Jun 07, 2007 7:46 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Saara JabeeN SaHibah aadaab!

kiyaa kehne bohot khubSurat GhaZal hai.
aor NaZir SaHib kee iSlaH shudah bhee hai is Hawalah se tabarruk kaa
darajah rakhtee hai. daad Qubool keejiYe!

Wassalam
MuZaffar

Re: Mehfil meiN ahl-e-dil kii, deewaane kam nah hounge

Posted: Sat Jun 09, 2007 1:38 pm
by haamidbaaqri
sara_j wrote:Salaam,
:walikum:
bahen sara

kaisee haiN aap?

aek ghazal jo pehle pesh nahi ki thi, laikin
Nazir sahib ki islah shuda hai.

ata keejiye......

[align=center]Mehfil meiN ahl-e-dil kii, deewaane kam nah hounge
Jab tak diye heiN raushan parvaane kam nah hounge

Mere hi dil kaa zaalim, kyaa Haal poochtaa hei
Dunyaa meiN is TaraH ke, veerane kam nah hounge

Kyaa beqaraariy-e-gul, kyaa iZTiraab-e-shabnam
Baad-e-Sabaa ke lab per, afsaane kam nah hounge

Badmastiy-e-muHabbat kab intihaa ko pahunchi
Chashm-e-karam ke teri, paimaane kam nah houNge

Poochaa jou maiN ne kab tak unkaa karam rahegaa
Kehne lage ke hargiz nazraane kam nah houNge

Sehbaa-e-aarzoo meiN Doobi rahegi :Saara:
Jab tak heiN rind zindah maikhaane kam nah hounge
[/align]

niyazmand

sara
bahut khoobsoorat ghazal hai.

bahut pasand aayee hameN.

hamaari dilee daad qubool famaayeN aapki is dilkash ghazal per :rose :clap01: .

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

tiflay maktab
haamidbaaqari