muhammad_19k wrote: ROMAN
1. falak se aagay bhi daikhaa hai ik jahaaN meN ne
kuch is taraH kiy dushman hai aasamaaN meN ne
Main ne socha aap ka PM aaye us se qabl he tabsara bhej
dooN. Aajkal waise bhi Muscat Toofan ki zad meN hai hum
log 24 GhanTey ghar pe rahte haiN.
MaTley ka doosra misra wazn meN nahin Sahayad "typo" ki
Ghalatee hai.
2. tairay khayaal se furSat naheeN mili jujh ko
tiray wajuud ko dhooNdaa abhi kahaaN meN ne.
Pahle miSrey meN Mujh ki jagah aap jujh type kar gaye
haiN. Doosra miSra kamzor hai baat wazeh nahiN huwee bhaii.
3. tiray khyaal meN buzri hai to ye kiase kahooN
"tamaam umr guzaari hai raa-igaaN meN ne
YahaN bhi aap guzree lafz ko saheeh type nahiN kar sake.
Thik kar deejiyega. Tazmeen tou ho gaii magar bohat achchee
nahiN.
4. qasam naheeN the ke har baat raaz rakhooN ga,
ye aor baat hai ke kholi naheeN zubaaN men ne
Doosra miSra bohat tez hai jiske muqabiley meN pahla aur bhee
kamzor lag raha hai. Ittegaaq dekhiye Anwar Sahab ne bhi 30 saal qabl yehee miSra lafz ba lafz kaha tha jo aap ne kaha hai. Unka mukammal sher jo bohat Haseen tha bhej raha hooN:
tumhaare jaur.o.sitam ki tou koii Hud na rahee
yeh aur baat ke khole nah ho zubaaN maiN ne
5. mujhe hai ranj ke is baat par khafaa woh huwaa,
usay khabar thi ke day rakhi hai zubaaN meN ne
Doosrey miSrey ko aur saaf kar lijiyega. Sher ka maTlab wazeh
hona chaahiye.
6. na poocho khaal salaamat hai kyooN miri ab tak
abhi kiyaa hai anal Haq kahaaN bayaaN meN ne
Doosrey misrey meN kuch typo lagtee hai.
7. jhukaa jo ghair ke aagay to yaad aayaa mujhe
suni thi 'ahde tafoolat meN ik azaaN meN ne
Sher kuch ulajh sa gaya. MaTlab samjha deejiyega.
8. guloN ke Daal se wahshat hay ho gayee muj ko
yahaaN bachaa na banaaya jo aashiyaaN meN ne
Wahshat hai ki jagah wahsaht see ho rahee hai ziyadah achca lagega.
"na buch sakaa jo banaya tha aashyaaN maiN ne".
9. kabhi milay tujhay furSat to daikhnaa aa kar,
banyaa shehr se haT kar hai ik maakaaN meN ne
HaTker ke bAAd "hai" achcha nahin lag raha hai.
nagar se door banaya hai ik makaN maiN ne
10. jahaaN meN ab bhi haiN :khawar: agar ye ranj o alam
sabab ye hai ke banaayaa naheeN jahaaN meN ne.
JahaaN tou Khaliq.e kaunain ne banaya hai.Tou kya aap kahna chaahte
haiN keh uske banane meN (naoozbillah)kuch kami rah gaii hai ?
Mujhe mAlum hai aap tanqeed ka bura nahin maante aapki tou farmaaiish hi yeh hoti hai keh tanqeedee nazar Daali jaye. Isee liye qalam kholker
likha hai jo Aam Halaat meN meri aadat ke Khilaaf hai.
Achchee koshish ki hai aap ne magar nazar.e.Sane kee zaroorat phir bhee barqaraar rahtee hai.
Khoosh raheN!
Aapka MuKhliS,
Jawaid