Page 1 of 1
nayee shakl
Posted: Fri Jun 08, 2007 7:10 am
by muhammad_19k
Dosto,
aik purani ghazal ki nayee shakl paish e khidmat hai. nayee shakl se muraad compostion naheeN hai
balke mairi muraad ashaar meN tabdeeli hai
aap se raa-aye ki darkhaast hai,
1. konsay ashaar aap ko pasand ayaa=
2. konsa ashaar meN behtari ki gunjaish hai =
3. konsay ashaar ghazal se nikaal dainay chahiaye =
4. kya koi aisaa sher bhi hai jo dil ko chhoo gyaa ho =
Regards,
Muhammad K. Siddiqui.
Posted: Fri Jun 08, 2007 10:46 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram M. Khawar SaHib aadaab!
Aap kee puranee koshish dekhee thee. aor ab yeh naz^ar-e-caanee ke ba'd naee shakl dekh rahaa hooN kiyaa kehne baRee meHnat kar rahe haiN aap. aor nateejata" achchee takhleeqaat murattab kar rahee haiN.
1. konsay ashaar aap ko pasand ayaa= sabhee!
2. konsa ashaar meN behtari ki gunjaish hai = mushkil sawaal hai.
3. konsay ashaar ghazal se nikaal dainay chahiaye = aesaa nah keejiYe!
4. kya koi aisaa sher bhi hai jo dil ko chhoo gyaa ho = waese to sabhee chu gae..lekin she'er#3 dil ko taRpaa Geyaa!
Zeyadah Hadd-e-adab!
MuZaffar A MuZaffar
Posted: Thu Jun 21, 2007 5:10 pm
by munir-armaan-nasimi
Beradaram Khawar Saheb,
Bahut khoob ghazal kahi hai aap ne... rawani aur taghazzul ne dil moh liye... tamaam ashaar achche hain.... iss main se kisi ko bhi hatana nahin chahiye.....
Mujhe Sher No-2 bahut hi achcha laga....
Itni haseen o jameel ghazal pesh karne ke liye shukriya.
aap ka apna,
Munir Armaan
Posted: Sat Jun 23, 2007 5:10 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Biraadaram M. Khawar SaaHib aadaab!
Ghazal kee naee shakl bohot achchee hai. agarcheh GuZashtah Surat bhee har dil pasand thee.
ab to kalam meN pehle se Zeyadah acar aor Halawat meHsoos hotee hai. she'er Zeyadah Saaf
aor salees kar diye gae haiN. jo Ghazal ko purkashish banaa rahe haiN.
Ghazal gaoee meN aap kee teZ Gamee dekh kar baRee musarrat kaa eHsaas hotaa hai.
agar aap isee garam joshee se mashq-e-sukhan karte rahe to kaamyabee laonDee ban kar
qadmooN meN aa baeThe gee.
meree janib se is naee koshish par dilee dad aor mubarak baad qubool keejiye.
khush raheeN
Wassalam
Muz^affar
Posted: Mon Jun 25, 2007 5:07 am
by Ibn-e-siddique
Khawar saHib
salaam arz hai
aap ki ghazal pasand aayee. ghazal dekh ker andaaza hota hai ke aap ne kaafi meHnat ki hai.
meri jaanib se daad Haazir hai, qubool farmaaiye.
shukria
Amjad