Page 1 of 1
"tau kya karooN"tarhi kalaam peshay khidmat hai
Posted: Fri Jun 08, 2007 1:17 pm
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto :rose
hamaari adna kaavish peshay khidmat hai
gar qubool uftad zahay......
arz kiya hai.......
toofaan say nah aankh milaa'ooN tau kya karooN
maiN sabr kau nau dil meiN basaa'ooN tau kya karooN
qudrat kay in haseen nazaaroN kau dekh kar
'ishqay khuda meiN doob nah jaa'ooN tau kya karooN
dekar khuda kau, waastah ahmed(sawaw)ki aal(as) ka
"maiN daastaanay gham nah sunaa'ooN tau kya karooN"
daawoodee(a.s.) lahn paay hai parwardigaar say
islaamee geet kau nah maiN gaa'ooN tau kyaa karooN
hauta hai accha kaam ya hauta bura hai kaam
maiN 'aql kau nah kaam meiN laa'ooN tau kya karooN
khulqay 'azeem per huay faa'iz rasoolay paak(sawaw)
haamid maiN unkay gun nahiN gaa'ooN tau kya karooN
aal: prophet mohammed's(sawaw) family.
nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah
Posted: Fri Jun 08, 2007 5:38 pm
by muhammad_19k
Janab Hamid SaHeb
TarHi miSra, "meN daastan e gham na sunaaooN to kya karooN" shayed bohat hi zarkhaiz hai. aap ki ghazal se pehlay is par janab muzaffar SaHeb aor phir Janab Jawaid SaHeb ki ghazal paRh rahaa thaa. donoN hi ghazloaN me kuch sher bohat shaandaar thay. bila mubaalghaa dil ke gehraa-oN tak utar gaye. donoN ke maTla' bhi boHat pur acar thay.
aap ki ghazal par pohancha to maTla' waisaa Haseen naa thaa. meN aap ki majboori jaantaa hooN. takhayyul ko aazaad chhoR kar likhna kuch aor baat hai aor apne khyaalaat ko alfaaz ka roop dainaa kuch aor baat hai. laikin doosre sher mujhe ussi kaafi o Saroor meN waapis lay ayaa. aor phir teesraa sher,
dekar khuda kau, waastah ahmed(sawaw)ki aal(as) ka
"maiN daastaanay gham nah sunaa'ooN tau kya karooN" .
Aahh.
meN lap top par aagay jhukaa huwaa poetry ke mazay lay rahaa thaa. is sher ke paRhnaa thaa ke aik sansani khaiz leHr jaise maire saray wajood ko kapkapaa gayee. mairi qamr kursi ki pusht par aa tiki aor mairaa damagh jaise bhak se uR gayaa. meN jaise seHr zadaa hogayaa. aor phir bohat dair tak is sher par nazar tikaa-aye baithaa rahaa.
dekar khuda kau, waastah ahmed(sawaw)ki aal(as) ka
"maiN daastaanay gham nah sunaa'ooN tau kya karooN" .
kaash ke meN maire paas alfaaz hotay ke meN apni kafiat bayaan kar saktaa. sh'er meN sub kuch aisaa bay saakhtaa hai ke agar aadami bay saakhti meN hi paRh jaa-aye ( jaise meN paRh gayaa) dul seenay se baahir aanaa chaahtaa hai.
Sura Shuraa meN irshaad hai. "qul la asalukum elaihi ajrun ill-almuwaddataa fil qurbaa" aor aaj tak us moHabb ka iltazaam kia gayaa hai jab tak Aal par darood na bhaijaa jaa-aye to namaaz qubool naheeN hoti.
us daatan e gham ka kia aalam ho ga jo jis ki tamheed Aal rasool paak (SAWW) ka waastaa aor eHtetaam nidaamat ke aaNsoo ho ga.
meri taraf se aisaa laazawal sher likhne par mubarakbaad qubool kijiaye.
du'aa goa,
Muhammad K. Siddiqui.
shukirya
Posted: Sat Jun 09, 2007 1:01 pm
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
biradaram mohammed saahib
Janab Hamid SaHeb
jee .......boliye.......
TarHi miSra, "meN daastan e gham na sunaaooN to kya karooN" shayed bohat hi zarkhaiz hai.
baja farmaya aapnay.
aap ki ghazal se pehlay is par janab muzaffar SaHeb aor phir Janab Jawaid SaHeb ki ghazal paRh rahaa thaa. donoN hi ghazloaN me kuch sher bohat shaandaar thay. bila mubaalghaa dil ke gehraa-oN tak utar gaye. donoN ke maTla' bhi boHat pur acar thay.
bilkul sahi kah rahay haiN aap......
aap ki ghazal par pohancha to maTla' waisaa Haseen naa thaa.
aapki yeh baat hameN bahut acchee lagee.
meN aap ki majboori jaantaa hooN.
kya....?
waisaa Haseen naa thaa. meN aap ki majboori jaantaa hooN. takhayyul ko aazaad chhoR kar likhna kuch aor baat hai aor apne khyaalaat ko alfaaz ka roop dainaa kuch aor baat hai.
shayed aap theek kehtay haiN.
laikin doosre sher mujhe ussi kaafi o Saroor meN waapis lay ayaa. aor phir teesraa sher,
laikin doosre sher mujhe ussi kaafi o Saroor meN waapis lay ayaa.
hameN khushee huee yeh jaankar.
aor phir teesraa sher,
dekar khuda kau, waastah ahmed(sawaw)ki aal(as) ka
"maiN daastaanay gham nah sunaa'ooN tau kya karooN" .
Aahh.
meN lap top par aagay jhukaa huwaa poetry ke mazay lay rahaa thaa. is sher ke paRhnaa thaa ke aik sansani khaiz leHr jaise maire saray wajood ko kapkapaa gayee. mairi qamr kursi ki pusht par aa tiki aor mairaa damagh jaise bhak se uR gayaa. meN jaise seHr zadaa hogayaa. aor phir bohat dair tak is sher par nazar tikaa-aye baithaa rahaa.
har sacchay mohibbay ahlaybait(as)kee yahi kaifiyat hautee hai.mubaarak ho aapko yeh jaavedaaN mohabbat.
dekar khuda kau, waastah ahmed(sawaw)ki aal(as) ka
"maiN daastaanay gham nah sunaa'ooN tau kya karooN" .
kaash ke meN maire paas alfaaz hotay ke meN apni kafiat bayaan kar saktaa. sh'er meN sub kuch aisaa bay saakhtaa hai ke agar aadami bay saakhti meN hi paRh jaa-aye ( jaise meN paRh gayaa) dul seenay se baahir aanaa chaahtaa hai.
JAZAKALLAH
Sura Shuraa meN irshaad hai. "qul la asalukum elaihi ajrun ill-almuwaddataa fil qurbaa" aor aaj tak us moHabb ka iltazaam kia gayaa hai jab tak Aal par darood na bhaijaa jaa-aye to namaaz qubool naheeN hoti.
beshak ..........
us daatan e gham ka kia aalam ho ga jo jis ki tamheed Aal rasool paak (SAWW) ka waastaa aor eHtetaam nidaamat ke aaNsoo ho ga.
meri taraf se aisaa laazawal sher likhne par mubarakbaad qubool kijiaye.
aapki mukhlisaanah daad kayliye hum apkay behad mamnoono mashkoor haiN.
du'aa goa,
Muhammad K. Siddiqui.
aapka apna
haamidbaaqari