Page 1 of 1

GuZarish#29 ke liye meree ek aor koshish!

Posted: Fri Jun 08, 2007 11:52 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Yaran-e-baZm-e-mushae'rah aadaab!

Sadr-e-mushae'rah Janab Abdullah NaZir SaHib kee ijaZut ho to GuZarish#29 ke liye apnee aek aor koshish pesh kanaa chaooN gaa. mulaHiZ^ah farmaiYe.

GhaZal

ada-e-khaaS se cheRee hai daastaaN maiN ne!
kiyaa hai ehl-e-GulistaaN ko ham ZubaaN maiN ne!

ba WaQt-e-Giryah yeh a'alam hai teree furQat meN
kiyaa hai deedah-e-purnam ko khuN chakaaN maiN ne!

huwaa jo GharQ safeenah to yeh kheyaal aayaa
hawa-e-tund meN kholaa kiyooN baadbaaN maiN ne!

taRap ke Haal-e-dil-e-beQaraar keh Dalaa
rakhaa nah murGh-e-tamannaa ko be ZubaaN maiN ne!

woh Gul jo sare GulistaaN kee jaan kehlayaa
churaa liyaa hai use aaj baaGhbaaN maiN ne!

kabhee jo aaee teh-e-daam khushbu-e-Gesu
uRaa ke rakh deeN GareebaaN kee dhajjiyaaN maiN ne!

mujheY Gawarah thee ehl-e-chaman kee khushnudee
jalaa ke khaak kiyaa khud hee AashiyaaN maiN ne!

usee ne taj diya WeHshat ke khaarZarooN meN
jise banaayaa thaa khud meer-e-karwaaN maiN ne!

rahee nah baZm-e-tamnna meN teergee baQee
kiye jo daaGh-e-jigar dosto e'yaaN maiN ne

milee nah sharbat-e-deedaar mujh ko Ghurbat meN
"tamaam u'mr GuZaree hai rae'gaaN maiN ne"

Woh barQ-e-Gul thee Muz^affar keh taab kiyaa lataa
huwaa yooN khaak keh payaa nah phir nishaaN maiN ne!

Posted: Sat Jun 09, 2007 4:46 am
by muhammad_19k
Janab Muzaffar SaHeb

aik aor shaandaar ghazal par daad o mubarak baad qubool kijiaye. in ashaar ka khaSosun zikr karnaa chaahooN ga,

ada-e-khaaS se cheRee hai daastaaN maiN ne!
kiyaa hai ehl-e-GulistaaN ko ham ZubaaN maiN ne!

huwaa jo GharQ safeenah to yeh kheyaal aayaa
hawa-e-tund meN kholaa kiyooN baadmaaN maiN ne!

Allah t'aalaa aap ko ar tarraqti day.

khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui.

Re: GuZarish#29 ke liye meree ek aor koshish!

Posted: Sun Jun 10, 2007 3:20 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
sara_j wrote:
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
GhaZal

ada-e-khaaS se cheRee hai daastaaN maiN ne!
kiyaa hai ehl-e-GulistaaN ko ham ZubaaN maiN ne!

ba WaQt-e-Giryah yeh a'alam hai teree furQat meN
kiyaa hai deedah-e-purnam ko khuN chakaaN maiN

huwaa jo GharQ safeenah to yeh kheyaal aayaa
hawa-e-tund meN kholaa kiyooN baadmaaN maiN ne!

taRap ke Haal-e-dil-e-beQaraar keh Dalaa
rakhaa nah murGh-e-tamannaa ko be ZubaaN maiN ne!

woh Gul jo sare GulistaaN kee jaan kehlayaa
churaa liyaa hai use aaj baaGhbaaN maiN ne!

kabhee jo aaee teh-e-daam khushbu-e-Gesu
uRaa ke rakh deeN GareebaaN kee dhajjiyaaN maiN ne!

mujheY Gawarah thee ehl-e-chaman kee khushnudee
jalaa ke khaak kiyaa khud hee AashiyaaN maiN ne!

usee ne taj diya WeHshat ke khaarZarooN meN
jise banaayaa thaa khud meer-e-karwaaN maiN ne!

rahee nah baZm-e-tamnna meN teergee baQee
kiye jo daaGh-e-jigar dosto e'yaaN maiN ne

milee nah sharbat-e-deedaar mujh ko Ghurbat meN
"tamaam u'mr GuZaree hai rae'gaaN maiN ne"

Woh barQ-e-Gul thee Muz^affar keh taab kiyaa lataa
huwaa yooN khaak keh payaa nah phir nishaaN maiN ne!
:-) salaam Muzaffar sahib,

waah! ye aapka hi haq hai jo aek hi misre per do teen ghazal

likhdete hain voh bhi 12 ya 13 ashaar se kam nahi.......... :rose

aapki ye ghazal ke ashaar tou behad khoobsurat hain

sab aek se baRh ker aek koi aek shair per daad dena na-insaafi

hogui......... poori ghazal per dili daad aur mubarakbaad

qubool keejiye.

kya mian teesri ghazal ka bhi intezar karun :roll:

:grin: Jawaid bhai ne misra e tarhaa ke main thread mein

bohat hi achi baat likhi hain paRhiye main tou parh ker hans di.

mukhlis

sara
moHtarmah Saara JabeeN SaHibah aadaab! :rose

Ummeed hai kheriyat se hoN gee. aap kaa khat^ dekhaa aor dil shaad ho geyaa. aap kaa andaaz-e-pazeeraee baRaa hee himmat afzaa aor dil khush kun hai. aap kee bazm meN maojoodagee raonaq aor garmee kaa baae'ic hotaa hai. aap ne jis ikhlaaS-o-murawwat se dad pesh kee hai is i'nayat ke liye aap kaa shukr Guzaar hooN.

haeshah khush aor aabaad raheeN!

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar

Posted: Sun Jun 10, 2007 3:28 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
muhammad_19k wrote: Janab Muzaffar SaHeb

aik aor shaandaar ghazal par daad o mubarak baad qubool kijiaye. in ashaar ka khaSosun zikr karnaa chaahooN ga,

ada-e-khaaS se cheRee hai daastaaN maiN ne!
kiyaa hai ehl-e-GulistaaN ko ham ZubaaN maiN ne!

huwaa jo GharQ safeenah to yeh kheyaal aayaa
hawa-e-tund meN kholaa kiyooN baadmaaN maiN ne!

Allah t'aalaa aap ko ar tarraqti day.

khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui.
moHtaram Muhammad K. Siddiqui aadaab!

Aap kee purkhulooS daad aor is qadar pazeeraee ke liye aap kaa teh-e-dil se mamnoon hooN. hameshah khush raheeN!

aap kaa bhaee!
Muz^affar A Muz^affar

Re: GuZarish#29 ke liye meree ek aor koshish!

Posted: Thu Jun 21, 2007 6:28 pm
by zmufti
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Yaran-e-baZm-e-mushae'rah aadaab!

Sadr-e-mushae'rah Janab Abdullah NaZir SaHib kee ijaZut ho to GuZarish#29 ke liye apnee aek aor koshish pesh kanaa chaooN gaa. mulaHiZ^ah farmaiYe.

GhaZal

ada-e-khaaS se cheRee hai daastaaN maiN ne!
kiyaa hai ehl-e-GulistaaN ko ham ZubaaN maiN ne!

ba WaQt-e-Giryah yeh a'alam hai teree furQat meN
kiyaa hai deedah-e-purnam ko khuN chakaaN maiN

huwaa jo GharQ safeenah to yeh kheyaal aayaa
hawa-e-tund meN kholaa kiyooN baadmaaN maiN ne!

taRap ke Haal-e-dil-e-beQaraar keh Dalaa
rakhaa nah murGh-e-tamannaa ko be ZubaaN maiN ne!

woh Gul jo sare GulistaaN kee jaan kehlayaa
churaa liyaa hai use aaj baaGhbaaN maiN ne!

kabhee jo aaee teh-e-daam khushbu-e-Gesu
uRaa ke rakh deeN GareebaaN kee dhajjiyaaN maiN ne!

mujheY Gawarah thee ehl-e-chaman kee khushnudee
jalaa ke khaak kiyaa khud hee AashiyaaN maiN ne!

usee ne taj diya WeHshat ke khaarZarooN meN
jise banaayaa thaa khud meer-e-karwaaN maiN ne!

rahee nah baZm-e-tamnna meN teergee baQee
kiye jo daaGh-e-jigar dosto e'yaaN maiN ne

milee nah sharbat-e-deedaar mujh ko Ghurbat meN
"tamaam u'mr GuZaree hai rae'gaaN maiN ne"

Woh barQ-e-Gul thee Muz^affar keh taab kiyaa lataa
huwaa yooN khaak keh payaa nah phir nishaaN maiN ne!

Muzaffar bhai
maiN bhee Sara jee ki Tarah yahi kahoN gi keh aik hi tarah per 12-13 ashaar ki 2-3 ghazleN
aap ka hi kamal hai
Meri jaanib se daad qabool kijye
ghazal meN typing ki 3-4 ghalatiaN heN durust kar lijye
doosre sher meN aap radeef mukammal likhna bhool gaye heN "ne" missing hai
teesray sher meN aap ne baadbaaN ko baadmaaN likha hai
regards
zmufti

Posted: Fri Jun 22, 2007 9:06 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah Zarqa Mufti Behen SaaHibah aadaab!

Aap kaa teh-e-dil se shukriyah ada kartaa hooN keh aap ne asha'aar ko pasand farmayaa aor khuSuSa"
kalam meN maojood katabat kee jumlah GunjaeishooN kee nishaandahee bhee farmaa dee. aap kaa
be Had shukriyah!

jahaaN tak 2/3 t^arHee GhaZleeN kehne kaa ta'aluq hai to yahee kehnaa chahooN gaa keh jab maiN aek Ghazal keh detaa hooN aor maqt^a' par Ghazal khatam ho chukee hotee hai. to meHsoos kartaa hooN keh baQaol-e-Ghalib,

"waraQ tamaam huwaa aor muddaa' baqee hai
safeenah chahiye is beHer-e-bekaraaN ke liye"

to nateejata" aek aor Ghazal ho jaate hai. aor u'muma" phir wohee pehle walee kaefiyat t^aree ho jatee hai. jis kaa she'er meN zikr kiyaa hai. Haqeeqat to yeh hai keh maiN u'muma" aek t^arHee miSra' par 2/3 naheeN balkeh 3/4 tak GhazleeN keh detaa hooN aor bawajh-e-sharmindagee mushae'rah meN pesh naheeN kartaa keh eHbaab shikayat nah kareeN. aor deegar GhazlooN ko kaheeN likh chooRtaa hooN. jo a'aam t^aor par Gum hee ho jatee haiN. :-)

Aap kee daad aor himmat afzaaee ke liye aek baar phir aap kaa mamnoon hooN.

Wassalam
Muzaffar

Re: GuZarish#29 ke liye meree ek aor koshish!

Posted: Wed Jun 27, 2007 6:51 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:Yaran-e-baZm-e-mushae'rah aadaab!

Sadr-e-mushae'rah Janab Abdullah NaZir SaHib kee ijaZut ho to GuZarish#29 ke liye apnee aek aor koshish pesh kanaa chaooN gaa. mulaHiZ^ah farmaiYe.

GhaZal

ada-e-khaaS se cheRee hai daastaaN maiN ne!
kiyaa hai ehl-e-GulistaaN ko ham ZubaaN maiN ne!

ba WaQt-e-Giryah yeh a'alam hai teree furQat meN
kiyaa hai deedah-e-purnam ko khuN chakaaN maiN ne!

huwaa jo GharQ safeenah to yeh kheyaal aayaa
hawa-e-tund meN kholaa kiyooN baadbaaN maiN ne!

taRap ke Haal-e-dil-e-beQaraar keh Dalaa
rakhaa nah murGh-e-tamannaa ko be ZubaaN maiN ne!

woh Gul jo sare GulistaaN kee jaan kehlayaa
churaa liyaa hai use aaj baaGhbaaN maiN ne!

kabhee jo aaee teh-e-daam khushbu-e-Gesu
uRaa ke rakh deeN GareebaaN kee dhajjiyaaN maiN ne!

mujheY Gawarah thee ehl-e-chaman kee khushnudee
jalaa ke khaak kiyaa khud hee AashiyaaN maiN ne!

usee ne taj diya WeHshat ke khaarZarooN meN
jise banaayaa thaa khud meer-e-karwaaN maiN ne!

rahee nah baZm-e-tamnna meN teergee baQee
kiye jo daaGh-e-jigar dosto e'yaaN maiN ne

milee nah sharbat-e-deedaar mujh ko Ghurbat meN
"tamaam u'mr GuZaree hai rae'gaaN maiN ne"

Woh barQ-e-Gul thee Muz^affar keh taab kiyaa lataa
huwaa yooN khaak keh payaa nah phir nishaaN maiN ne!
:salaam2:
biradaram muzaffar saahib

kaisay haiN aap?

bahut masroof thay hum pichlau kuch dinoN say.yahi wajah thee keh hum net per nahiN aasakay.aaj todee fursat milee hai tau yahaaN hum haazir haiN.

aapki pesh karda ghazal bahut dilkash hai.

jaisay behan sara saahebah nay farmaaya keh yeh aaphi ka haq hai keh aik micray per kayee ghaleN aik saath kehlatay haiN aur woh bhi 12 sher say badhkar hi hoteeN haiN.

aapki is behtareen kaavish per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN :rose :rose :rose :clap01:

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

aapka apna
haamidbaaqari