Ibn-e-siddique wrote:aadaab arz hai
aik muddat baa'd is bazm meiN apni aik ghazal ke saath Haazir hua hooN, umeed hai apni aaraa se navaazeN ge.
aik daireena tamannaa ko huvaidaa karne
ham ke aaye hain dil-o-jaaN ka taqaaza karne
din gayaa meri masarrat ka janaaza le ker
"raat aayee hai mire gham meiN izaafah karne"
Haakim-e-vaqt ne aadil ko bulaaya daftar
chand sikkoN ke ivaz adl ka saudaa karne
raushni dete hue tum ne to ghar phooNk diyaa
ab na aana miree dunyaa meiN ujaala karne
bazm meiN aata hooN ae jaan zabaan-e-Urdu !
teree bikhree hui zulfoN ko sanvaaraa karne
naazuk andaam haiN kaaNToN se voh ghabraate haiN
aur jaate haiN gulaaboN ki tamannaa karne
umr bhar tere ghamoN ne mujhe ghairay rakkhaa
ab chalaa hooN gham-e-dauraaN ka aHaata karne
Amjad
biraadar-e-a'zeez: salaam!
aap kee Ghazal par UrduAnjuman meN guftgoo ho hee chukee hai. yahaaN aayaa to aur dostoN ke tabSire bhee dekhe. sochaa keh tabaadilah-e-Khayaal kee takmeel ke liYe apne Khayaalaat bhee shaamil kar dooN. is se ziyaadah aur kuchh maqSood naheeN hai.
maiN Europe ke :suffer: kee tai,yyaariyoN meN lagaa huwaa hooN. maiN ne sochaa keh jab tak maiN waapas aa,ooN gaa :maar-gazeedah: kaa jaane kyaa Haal ho gaa! (taa tiryaaq az Iraqa aawurdah shawad, maar-gazeedah murdah shawad!) so chand baateN likhne chalaa aayaa. in se tanqeed maqSood naheeN hai bal.k ek muKhtalif nuqtah-e-naz^ar pesh karnaa manz^oor hai.
sab se pehle to ek achhee kaawsih par daad qubool keejiYe.
ab, aamadam bar sar-e-mat^lab! aap kee Ghazal achhee hai. albattah do ek maqaamaat par mere Zehn meN kuchh taraddud paidaa huwaa aur maiN aap se poochhne chalaa aayaa. ummeed hai keh jawaab-e-baaSawaab se nawaazeN ge. maiN ne jahaaN kaheeN apnee soch likhee hai wahaaN aap kaa Khayaal jooN kaa tooN rakhne kee koshish kee hai.
-------------------------------
aik daireena tamannaa ko huvaidaa karne
ham ke aaye hain dil-o-jaaN ka taqaaza karne
she'r achhaa hai. tamannaa kaa :huwaidaa: karnaa albattah Ghair-maanoos lagaa. tamannaa :z^aahir kee jaatee hai, rakhee jaatee hai, miTaayee jaatee hai: lekin kabhee kisee ko :tamannaa huwaidaa: karte naheeN dekhaa. lekin is kaa yeh mat^lab bhee naheeN hai keh kisee ne yeh baaNdhaa hee naheeN hai! ek shakl yeh Zehn meN aayee so sun leejiYe:
meHfil-e-dard meN tajdeed-e-tamannaa karne
ham chale aaYe dil-o-jaaN----------------
-----------------------------
din gayaa meri masarrat ka janaaza le ker
"raat aayee hai mire gham meiN izaafah karne"
yahaaN mujh ko "Fani" Badauni yaad aa gaYe jin ko :mai,yyat, janaazah, na'sh: se bohat raGhbat thee! is se tanqeed manz^oor naheeN hai. yooN hee Khayaal aayaa aur maiN ne likh diyaa!
--------------------------
Haakim-e-vaqt ne aadil ko bulaaya daftar
chand sikkoN ke ivaz adl ka saudaa karne
mujh ko is she'r ke pas-manz^ar kaa i'lm hai. phir bhee :a'adil: ko :munSif: kar ke dekh leN aur :daftar: ko kuchh aur likheN. is meN to she'riyat hai hee naheeN! aur kaise ho jab.k yeh hai hee :daftaree: lafz^!
--------------------------
raushni dete hue tum ne to ghar phooNk diyaa
ab na aana miree dunyaa meiN ujaala karne
yeh she'r sapaaT lagaa. pehlaa miSra' KhaaS t^aur se behtaree chaahataa hai. yooN soch sakte haiN:
waah! kyaa raushanee dee, ghar ko mire phooNk diyaa
ab nah aanaa----------------------------
-------------------------------
bazm meiN aata hooN ae jaan zabaan-e-Urdu !
teree bikhree hui zulfoN ko sanvaaraa karne
ek to :ai jaan zabaan-e-Urdu: bohat bhoNDaa fiqrah hai. doosre yeh keh :saNwaaraa karnaa: muHaawirah naheeN hai. kyaa hee achhaa ho keh aap is she'r ko mazeed :saNwaareN:!
---------------------------
naazuk andaam haiN kaaNToN se voh ghabraate haiN
aur jaate haiN gulaaboN ki tamannaa karne
SaaHeb! aap kee meHboobah kuchh ziyaadah hee :ma'Soom: ma'loom hotee hai keh gulshan meN :gulaaboN kee tamanaa karne: jaatee hai! tamannaa hee karnee thee to ghar meN hee kar letee! haaN :tamannaa meN: jaatee to maiN bhee saath ho letaa (aap kee naz^reN bachaa kar!)!
maZaaq bar-t^araf! meraa Khayaal hai keh is she'r ko aur tawajjuh kee Z^aroorat hai. yooN :maalik: kee marZ^ee!
-------------------------
umr bhar tere ghamoN ne mujhe ghairay rakkhaa
ab chalaa hooN gham-e-dauraaN ka aHaata karne
kyoN, kyaa :un: ke GhamoN se najaat mil gayee? dekhiYe ek shakl yeh hai:
u'mr bhar us ke GhamoN se nah thee furSat "Amjad"
ab chale ho Gham-e-dauraaN kaa iHaat^ah karne?
---------------------------
koyee baat Khaat^ir-e-naazuk par giraaN guzree ho to ma'Zirat! ab ijaazat?
Sarwar A. Raz "Sarwar"