Page 1 of 1

Guzarish #29 ki ghazal

Posted: Fri Jun 15, 2007 5:19 pm
by Rehana.A
Aziz Dosto!

salaam-e-masnoon

main bhi apni koshish kay saath maHfil mien Hazir hoon ,
aap ki aara ka intzaar rahey ga ,kuch tabiat ki naasaazi ki wajaha say abhi tak kisi ki bhi ghazal nahien daikh sakee buhut jald dobara hazir-e-
khidmat hoon gee .sub ki ghazalon par apni haqeer ra,ay dainay kay liay.InshAllah.

Image

Posted: Sat Jun 16, 2007 4:02 am
by muhammad_19k
Salam jaanaaN ji,

aap ki shaairy meN bohat jaan hai. :-). aisi khoobSoorat ghazal paish karne par daad qubool kijiaye.

1. matlaa bohat mutacir kun hai. paRha kar be ikhtiaar waah nikalti hai.
2. pehlay miSra meN lafz "gumaN" se ye naheeN pataa chalaa ke ye khushgamaani ki baat ho rahi hai ye badgumani ki. agar aap us ke baare meN kabhi badgumaaN naheeN huwaa to us ke haat meN kamaan daikhne meN to koi Harj nahi hona chahiaye. to kyaa aap ye kehna chahti haiN ke aap ne us ke baaray meN kabhi koi achhchhaa gumaan naheeN kiyaaa?
3. bohat khoob . lafz saHibaaN qaabil e ghor hai.
4. khyaal bohat khoob hai laikin pehla misRa be beHr ho gyaa hai. jigar ke khooN se khilaa-aye haiN gulsitaaN meN ne bhi kiyaa ja saktaa hai.
5. ye sher bhi theek lagaa
6. girah bohat khoob hai - "tumharaa sajda" shayed kuch abhaam paidaa karay. meN hota to "kabhi bhi sajday ka" istemaal kartaa.
7. waah. bohat shaandaar maqta' hai.

majomoo'ee Tor par aisi shaandaar ghazal tarteeb daine par daad o mubarakbaad qubool kijiaye.

khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui.
5.

Posted: Sat Jun 16, 2007 9:49 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah ReHanah Ahmad JanaN SaHibah aadaab!

kiyaa kehne Waah Waah! mashAllah bohot khubSurat Ghazal keh kar aap ne mushae'rah kee raonaQ aor dilkashee meN khaat^ir khuwah aZ^ah kiyaa hai. aozaan aor maZameen ke aa'tebaar se bhee Ghazal apnee be a'aebee aor dilkashee kee micaal ban gaee hai. sabhee she'er dil ko chu rahe haiN. aap ne baRee aasaanee aor rawanee se apne dil kee pukaar ko Qalam band kar ke aek mukammal Ghazal takhleeq farma dee hai. aap kaa andaaZ-e-bayaaN saadah aor salees hai. lekin kaheeN kaheeN alfaaZ^ kee tarteeb-o-tarkeeb ke aa'tebaar aor tarakeeb ke istema'aal kee wajah se rangeen bhee ho geyaa hai.

kalam meN Sadaqat aor khulooS kee jhalak aap kee pur shafqat shakhSiyat kee Saaf a'akkaasee kar rahee hai. aap apne mudda'aa aor saoz-e-dil ko bayaan karne kaa hunar khoob jaantee haiN. aap ke naZdeek sab se baRaa maktab kheyaal aor naZariyah-e-Hayaat hai. isee wajah se aap kee shae'ree meN dard Zeyadah numaiyaaN ho kar seenah-e-saoZaaN kee jalan se mil kar do Aatishah ho geyaa hai.

bilaa shubah aap kee adabee takhleeqaat hamare a'Sree adab meN giraaN qadr aZ^afah hai.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Tue Jun 26, 2007 4:34 pm
by Rehana.A
sara_j wrote:waah! Rehana ji bohat khoob!

har shair lajawaab hai dili daad aur mubarakbaad qubool keejiye :rose

sara

Sara Ji

aap ki zara nawaazi heykah mairi haqeer si koshish aap ko bhi pasand aa gai ,
bay had mamnoon o mashkoor hoon aap ki,umeed hey aap aaiendaha bhi mairi
koshishon par apni giraan qadar aara daitee rahien gien.buhut buhut shukriya.

Rehana Ahmad

Posted: Tue Jun 26, 2007 5:01 pm
by Rehana.A
muhammad_19k wrote:Salam jaanaaN ji,

aap ki shaairy meN bohat jaan hai. :-). aisi khoobSoorat ghazal paish karne par daad qubool kijiaye.

1. matlaa bohat mutacir kun hai. paRha kar be ikhtiaar waah nikalti hai.

buhut shukriya

2. pehlay miSra meN lafz "gumaN" se ye naheeN pataa chalaa ke ye khushgamaani ki baat ho rahi hai ye badgumani ki. agar aap us ke baare meN kabhi badgumaaN naheeN huwaa to us ke haat meN kamaan daikhne meN to koi Harj nahi hona chahiaye. to kyaa aap ye kehna chahti haiN ke aap ne us ke baaray meN kabhi koi achhchhaa gumaan naheeN kiyaaa?

Gool mool baat karnay kay do fa,aiday haien ab teer to laga hi hey :-) chahey kisi nay dushmani say maraa ho ya .............
hum nay to kabhi yeh gumaan kiya hi nah tha kah woh humain apni mohubat ya nafrat kay qabil sumjhay ga :-) mairay khyaal mien yahi baat ka husan hey ,ab baaqi aap par choor diya agar aap ko pasand nah ho to aik sher hi to hey abhi nikaal doon ghazal say? ......ishaad kijiay .

3. bohat khoob . lafz saHibaaN qaabil e ghor hai.
Haraf-e-takhatib hey aur sher mien atni chooT to maira khyaal hey kah hotee hi hey kah agar mani par acar nah daalay to wazan barabar karnay ko noon ghunaan kay baja,ay ye noon likh dee ja,ay.Theek??
4. khyaal bohat khoob hai laikin pehla misRa be beHr ho gyaa hai. jigar ke khooN se khilaa-aye haiN gulsitaaN meN ne bhi kiyaa ja saktaa hai.
is ko kaafi din pahlay Theek kar diya tha magar is site par zara dair ho gai file change karnay mien ,darassal bhool gai thi.5. ye sher bhi theek lagaa
6. girah bohat khoob hai - "tumharaa sajda" shayed kuch abhaam paidaa karay. meN hota to "kabhi bhi sajday ka" istemaal kartaa.
7. waah. bohat shaandaar maqta' hai.

majomoo'ee Tor par aisi shaandaar ghazal tarteeb daine par daad o mubarakbaad qubool kijiaye.

khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui.
5.
Buhut shukriya Khawer sahib! zara nawaazi hey aap ki.

ReHanaa Ji,

koi bhi sh'er nikaalne ki qat'an zaroorat naheeN hai. aap bilkul theek farmaa raheeN haiN.

Regards,
Muhammad K. Siddiqui

Posted: Tue Jun 26, 2007 5:04 pm
by Rehana.A
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtarmah ReHanah Ahmad JanaN SaHibah aadaab!

kiyaa kehne Waah Waah! mashAllah bohot khubSurat Ghazal keh kar aap ne mushae'rah kee raonaQ aor dilkashee meN khaat^ir khuwah aZ^ah kiyaa hai. aozaan aor maZameen ke aa'tebaar se bhee Ghazal apnee be a'aebee aor dilkashee kee micaal ban gaee hai. sabhee she'er dil ko chu rahe haiN. aap ne baRee aasaanee aor rawanee se apne dil kee pukaar ko Qalam band kar ke aek mukammal Ghazal takhleeq farma dee hai. aap kaa andaaZ-e-bayaaN saadah aor salees hai. lekin kaheeN kaheeN alfaaZ^ kee tarteeb-o-tarkeeb ke aa'tebaar aor tarakeeb ke istema'aal kee wajah se rangeen bhee ho geyaa hai.

kalam meN Sadaqat aor khulooS kee jhalak aap kee pur shafqat shakhSiyat kee Saaf a'akkaasee kar rahee hai. aap apne mudda'aa aor saoz-e-dil ko bayaan karne kaa hunar khoob jaantee haiN. aap ke naZdeek sab se baRaa maktab kheyaal aor naZariyah-e-Hayaat hai. isee wajah se aap kee shae'ree meN dard Zeyadah numaiyaaN ho kar seenah-e-saoZaaN kee jalan se mil kar do Aatishah ho geyaa hai.

bilaa shubah aap kee adabee takhleeqaat hamare a'Sree adab meN giraaN qadr aZ^afah hai.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Muzaffar bhaa,i aap kay mukhlsaana meshweron kay liay main humaisha hi
mamnoon rahtee hoon ,Allah taa,ala aap ko jazaa,ay khair atta farna,ay amin.
teh-e-dil say shukriya adda kartee hoon.

Re: Guzarish #29 ki ghazal

Posted: Wed Jun 27, 2007 6:41 am
by haamidbaaqri
Rehana.A wrote:Aziz Dosto!

salaam-e-masnoon

main bhi apni koshish kay saath maHfil mien Hazir hoon ,
aap ki aara ka intzaar rahey ga ,kuch tabiat ki naasaazi ki wajaha say abhi tak kisi ki bhi ghazal nahien daikh sakee buhut jald dobara hazir-e-
khidmat hoon gee .sub ki ghazalon par apni haqeer ra,ay dainay kay liay.InshAllah.

Image
Assalaam o alaikum
mohtaramah rehaana saahebah

kaisee haiN aap?

masha allah ....kya kehnay.......bahut acchee ghazal kahee aapnay.

hameN bahut pasand aayee hai aapki yeh dilkash ghazal.

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN apni is khoobsoorat kaavish per :rose :clap01: .

allah(sbhnwt)kare zoray qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqari