Page 1 of 1

Meri tarhee Ghazal...Jigar kis hisaab meN.....

Posted: Fri Feb 11, 2005 11:37 am
by jawaid badauni
Misra-e Tarah:

“Dil kis shumaar meN hai jigar kis hisaab meN”


GHAZAL

Aayee kahaN se itni haraarat sharaab meN
Shayad kisi ni aag mila dee ha aab meN

Ginte haiN kaar-e Khair bhi f’el-e azaab meN
Kamzor ho gaye haiN farishtay hisaab meN

Darta hooN lag na jaaye gahan aftab meN
Waq-e sahar bhi hooN main ajab iztiraab meN

Shamil gham-e jahaN meN kiya aashiqui ka gham
Jaise koii sharaab mila le sharaab meN

Khoolte hi aaNkh TooT gaya woh haseeN mahal
Muflis ne raat bhar jo banaya tha khuwaab meN

Hum jaan hi gaNwa deN ishare per aap ke
“Dil kis shumaar meN hai jagar kis hisaab meN

“Jawaid” mausamoN ke badalne se kya hoa
Khooshboo gulab ki hi rahegi gulab meN[
-------------------------------------------------


Aapki graNqadr aaraa ka muntazar,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman

Posted: Fri Feb 11, 2005 12:47 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
JAWAID BADAYUNI Saahib,


Aapki ghazal bahut pasand aayi jou yooN hei:

GHAZAL

Aayee kahaN se itni haraarat sharaab meN
Shayad kisi ni aag mila dee ha aab meN

Ginte haiN kaar-e Khair bhi f’el-e azaab meN
Kamzor ho gaye haiN farishtay hisaab meN

Darta hooN lag na jaaye gahan aftab meN
Waq-e sahar bhi hooN main ajab iztiraab meN

Shamil gham-e jahaN meN kiya aashiqui ka gham
Jaise koii sharaab mila le sharaab meN

Khoolte hi aaNkh TooT gaya woh haseeN mahal
Muflis ne raat bhar jo banaya tha khuwaab meN

Hum jaan hi gaNwa deN ishare per aap ke
“Dil kis shumaar meN hai jagar kis hisaab meN

“Jawaid” mausamoN ke badalne se kya hoa
Khooshboo gulab ki hi rahegi gulab meN[


Saare ashAar mujhe behad pasand aaye. Meri daad aur mubaarakbaad Haazir hei.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Fri Feb 11, 2005 10:07 pm
by Shummu
Aayee kahaN se itni haraarat sharaab meN
Shayad kisi ni aag mila dee ha aab meN

Darta hooN lag na jaaye gahan aftab meN
Waqt-e sahar bhi hooN maiN ajab iztiraab meN

Shamil gham-e jahaN meN kiya aashiqui ka gham
Jaise koii sharaab mila le sharaab meN

Khoolte hi aaNkh TooT gaya woh haseeN mahal
Muflis ne raat bhar jo banaya tha khuwaab meN
Wah jawaid sahab..bahut khoob ghazal kahi hai khaaskar quoted ash'aar bahut pasand aaye...daad haazir hai :)

Shumaila

Posted: Sat Feb 12, 2005 4:58 pm
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
JAWAID BADAYUNI Saahib,


Aapki ghazal bahut pasand aayi jou yooN hei:

GHAZAL

Aayee kahaN se itni haraarat sharaab meN
Shayad kisi ni aag mila dee ha aab meN

Ginte haiN kaar-e Khair bhi f’el-e azaab meN
Kamzor ho gaye haiN farishtay hisaab meN

Darta hooN lag na jaaye gahan aftab meN
Waq-e sahar bhi hooN main ajab iztiraab meN

Shamil gham-e jahaN meN kiya aashiqui ka gham
Jaise koii sharaab mila le sharaab meN

Khoolte hi aaNkh TooT gaya woh haseeN mahal
Muflis ne raat bhar jo banaya tha khuwaab meN

Hum jaan hi gaNwa deN ishare per aap ke
“Dil kis shumaar meN hai jagar kis hisaab meN

“Jawaid” mausamoN ke badalne se kya hoa
Khooshboo gulab ki hi rahegi gulab meN[


Saare ashAar mujhe behad pasand aaye. Meri daad aur mubaarakbaad Haazir hei.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Mohtarami Abdulla Nazir Sahab: Aadab,

Aapki tahseen sanad ka darja rakhtee hai. Amre inayat ke liye mamnoon hooN.

Suna tha dushmanoN ki tabeeyat kuch nasaz thee. Allah aap ko sehat-e aajil.o.kamil ataa farmaye (aamin).

Mukhlis,

Jawaid

Posted: Sat Feb 12, 2005 5:00 pm
by jawaid badauni
Shummu wrote:
Aayee kahaN se itni haraarat sharaab meN
Shayad kisi ni aag mila dee ha aab meN

Darta hooN lag na jaaye gahan aftab meN
Waqt-e sahar bhi hooN maiN ajab iztiraab meN

Shamil gham-e jahaN meN kiya aashiqui ka gham
Jaise koii sharaab mila le sharaab meN

Khoolte hi aaNkh TooT gaya woh haseeN mahal
Muflis ne raat bhar jo banaya tha khuwaab meN
Wah jawaid sahab..bahut khoob ghazal kahi hai khaaskar quoted ash'aar bahut pasand aaye...daad haazir hai :)

Shumaila
Shummu Bahna, Khoosh RaheN

Daad.o.tahseen ke liye shukriya.

Jawaid

Posted: Sat Feb 12, 2005 5:02 pm
by jawaid badauni
sara_j wrote:Jawaid bhai,

salaam.

aapki tehreer jab bhi paRhti hoon bohat mutassir hoti hoon, bohat
hi dilkush aur bohat umdagi se likhte hain aap. tarahee misre ki girah bhi bohat khoob lagai hai aapne.

sara
Sara bahna,

Chaliye der se hi sahi aap ne Ghazal dekh to lee. Pazeeraii ke liye mamnoon hooN. Grah to iss bar bahut kamzor thee magar ittefaq se aap ko bha gayee.

Khoosh RaheN

Jawaid

Posted: Sat Feb 12, 2005 7:50 pm
by Anis Hasan
Jawaid bhai aap ki is ghazal ki taareef pehlay bhi kar chuka houn aik baar phir buhat si daad hazir hai.

Posted: Tue Feb 15, 2005 4:44 pm
by jawaid badauni
Anis Hasan wrote:Jawaid bhai aap ki is ghazal ki taareef pehlay bhi kar chuka houn aik baar phir buhat si daad hazir hai.
Bahut bahut shukriya Hasan Sahab.

Allah aapko Khoosh rakhkhe.

Jawaid Badauni

Posted: Wed Feb 16, 2005 8:11 pm
by tahira Masood
Slaam-e-khloos

bohat hi khoobsurat kalaam peRhnae ko diyaa aap nae. sab ashaar hi laa jawaab haiN


daad qabull fermaa ker mamnoon kereiN.

wassalam


GHAZAL

Aayee kahaN se itni haraarat sharaab meN
Shayad kisi ni aag mila dee ha aab meN

Ginte haiN kaar-e Khair bhi f’el-e azaab meN
Kamzor ho gaye haiN farishtay hisaab meN

Darta hooN lag na jaaye gahan aftab meN
Waq-e sahar bhi hooN main ajab iztiraab meN

Shamil gham-e jahaN meN kiya aashiqui ka gham
Jaise koii sharaab mila le sharaab meN

Khoolte hi aaNkh TooT gaya woh haseeN mahal
Muflis ne raat bhar jo banaya tha khuwaab meN


:( magar cahaa hai

Hum jaan hi gaNwa deN ishare per aap ke
“Dil kis shumaar meN hai jagar kis hisaab meN

“Jawaid” mausamoN ke badalne se kya hoa
Khooshboo gulab ki hi rahegi gulab meN[
-------------------------------------------------

Posted: Wed Feb 16, 2005 8:36 pm
by jawaid badauni
tahira Masood wrote:Slaam-e-khloos

bohat hi khoobsurat kalaam peRhnae ko diyaa aap nae. sab ashaar hi laa jawaab haiN


daad qabull fermaa ker mamnoon kereiN.

wassalam


GHAZAL

Aayee kahaN se itni haraarat sharaab meN
Shayad kisi ni aag mila dee ha aab meN

Ginte haiN kaar-e Khair bhi f’el-e azaab meN
Kamzor ho gaye haiN farishtay hisaab meN

Darta hooN lag na jaaye gahan aftab meN
Waq-e sahar bhi hooN main ajab iztiraab meN

Shamil gham-e jahaN meN kiya aashiqui ka gham
Jaise koii sharaab mila le sharaab meN

Khoolte hi aaNkh TooT gaya woh haseeN mahal
Muflis ne raat bhar jo banaya tha khuwaab meN


:( magar cahaa hai

Hum jaan hi gaNwa deN ishare per aap ke
“Dil kis shumaar meN hai jagar kis hisaab meN

“Jawaid” mausamoN ke badalne se kya hoa
Khooshboo gulab ki hi rahegi gulab meN[
-------------------------------------------------

Bahut bahut shukriya. Marhoone minnat hooN aapka.

Khoosh raheN.

Jawaid