Page 1 of 1

taZah Ghazal pesh-e-khidmat hai!

Posted: Mon Jun 25, 2007 8:33 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Yaran-e-meHfil aadaab!

apnee aek tazah Ghazal le kar HaZir-e-khidmat hooN. mulaHiZah farmaiye.


Ghazal

Bahar A'alam haNsee aaee use Haal-e-pareeshaN par
taRaptaa hooN naz^ar paRtee hai jab chaak-e-GareebaaN par!


koee aZrah-e-hamdardee dil-e-a'ashiQ ko samjhaaeY
luTaa jataa hai reh reh kar adaa-e-fitnah samaaN par!


rahe gaa yaad teraa takhtah-e-mashQ-e-sitam ham ko
nah bhoole gaa maz^alim tooRnaa be bas musalmaaN par!


Woh aatish ab ke barsee hai keh khaakistar huwe Ghunche
bayabaaN kaa GumaaN hotaa hai ab SeHn-e-GulistaaN par!


mujhe Dar hai nah jhulsaa* de kaheeN naokheZ kalyooN ko
"abhee baQee hai kuch kuch dhoop deewaar-e-GulistaaN par"


nigaheeN kiyaa kareeN jatee naheeN Haeranagee in kee?
naz^ar jab se paRee meree jamaal-e-ru-e-tabaaN par!


jise ehl-e-Zamanah Qat^rah-e-shabnam samajhte haiN
Woh aaNsu hai miraa Tapkaa hai jo khaar-e-bayabaaN par!


Muz^affar yooN aseer-e-panjah-e-Qaed-e-muHabbat hooN
Qafas meN dam jo GhuTtaa hai to peyaar aataa hai ZindaaN par!


jhulasna=jalnaa, bhasam ho janaa, khaak ho jana.

Muz^affar A Muz^affar
[/align]

hi

Posted: Mon Jun 25, 2007 9:00 pm
by manu1979
Heloo janaab muzafaar sahaab, aap ki ghazal padhi,masalaah kyaa khoobsurat aapne jazbo ke motiyoN mai piroye hai padha kar dil baug baug ho gayaa. Mai abhi is site par naya hi aaya hun .aap ki ghazal padh kar sach mai lagaa ki sahi jagah par aaya hun ,aap jaise fankaaro ki badualat hi ye mehfil yun roshan hai, aap se mujh jaise naacheez ko kaafi kuchh shikhne ko milegaa, aur aap ki yeh fankaari din dauguni- raat chauguni badhti rahe yahi dil se duaa hai

Mujh jaise naacheez ki aur se dilli dad kabool karen aur yunhi likhte rahiye janaab
apna khayal rakhiyega
duaaoN ke saath
khudaa haafis

Re: hi

Posted: Tue Jun 26, 2007 8:32 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
manu1979 wrote:Heloo janaab muzafaar sahaab, aap ki ghazal padhi,masalaah kyaa khoobsurat aapne jazbo ke motiyoN mai piroye hai padha kar dil baug baug ho gayaa. Mai abhi is site par naya hi aaya hun .aap ki ghazal padh kar sach mai lagaa ki sahi jagah par aaya hun ,aap jaise fankaaro ki badualat hi ye mehfil yun roshan hai, aap se mujh jaise naacheez ko kaafi kuchh shikhne ko milegaa, aur aap ki yeh fankaari din dauguni- raat chauguni badhti rahe yahi dil se duaa hai

Mujh jaise naacheez ki aur se dilli dad kabool karen aur yunhi likhte rahiye janaab
apna khayal rakhiyega
duaaoN ke saath
khudaa haafis

moHtaram Biraadaram Manu SaaHib aadaab!

ummeed hai kheriyat se hoN ge. aap ne apne khulooS muHabbat aor iradat kaa iz^haar baRe aHsan andaaZ meN kiyaa hai. aor khaadim kee himmat afzaee farma kar dil hee jeet liyaa hai. Haqeeqat to yeh hai keh aap aese dardmandooN aor pur khulooS dostooN kee muHabbatooN aor i'nayatooN ke bal bute par aesee adabee ChaopaleeN chala kartee haiN. aap sab in ChapalooN ke rooH-e-rawaaN haiN. aap ke dam se hee sab raonaqeeN haiN. khuda aap sab ko jaza-e-khaer se nawaze.

mulaqaat hotee rahe gee!
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Posted: Wed Jun 27, 2007 5:51 am
by muhammad_19k
Janab Muzaffar SaHeb,

aap ke makhSooS rang meN aap ki taaza ghazal aaNkhoN ke saamne hai. phir wohi taaraakeeb ki baarish, alfaaz ki jaadogari aor khoobSoorat izhaar e bayan ke juloo meN dard ka naach daikh rahaa hooN. Allah aap ko salaamat rakhay ke aisi khoobSoorat ghazlaiN hameN sunaate haiN. leejiaye ab ashaar ki fardan fardan baat karte haiN.

Bahar A'alam haNsee aaee use Haal-e-pareeshaN par
taRaptaa hooN naz^ar paRtee hai jab chaak-e-GareebaaN par!

is baar maTlaa hameshaa ki taraH bohat zabardat naheeN lagaa ;-), shayed meN ma'ani ke gehrai tak naheeN pohanch payaa.


koee aZrah-e-hamdardee dil-e-a'ashiQ ko samjhaaeY
luTaa jataa hai reh reh kar adaa-e-fitnah samaaN par!

bohat khoob


rahe gaa yaad teraa takhtah-e-mashQ-e-sitam ham ko
nah bhoole gaa maz^alim tooRnaa be bas musalmaaN par!

bohat khoob


Woh aatish ab ke barsee hai keh khaakistar huwe Ghunche
bayabaaN kaa GumaaN hotaa hai ab SeHn-e-GulistaaN par!

ahaaa ha , bohat zabardast


mujhe Dar hai nah jhulsaa* de kaheeN naokheZ kalyooN ko
"abhee baQee hai kuch kuch dhoop deewaar-e-GulistaaN par"

giraah bhi achchhi hai

nigaheeN kiyaa kareeN jatee naheeN Haeranagee in kee?
naz^ar jab se paRee meree jamaal-e-ru-e-tabaaN par!

ye kyaa janab? Haeranagee to aghalat aam meN se hai. saHeeH lafz to Heerani hai na?


jise ehl-e-Zamanah Qat^rah-e-shabban samajhte haiN
Woh aaNsu hai miraa Tapkaa hai jo khaar-e-bayabaaN par!

is par comments meN lafz shabban ka ma'ine daikhne ke ba'aad dooN ga :-). laikin sh'eriat ke aitbaar se bhi doosre miSra meN hai ki takraar bhali meHsoos naheeN hoee.



Muz^affar yooN aseer-e-panjah-e-Qaed-e-muHabbat hooN
Qafas meN dam jo GhuTtaa hai to peyaar aataa hai ZindaaN par!

waaH. bohat khoob


khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui

bahut khoob

Posted: Wed Jun 27, 2007 7:47 am
by haamidbaaqri
Yaran-e-meHfil aadaab!
Assalaam o alaikum
biradaram muzaffar saahib


apnee aek tazah Ghazal le kar HaZir-e-khidmat hooN. mulaHiZah farmaiye.

ata keejiye.


Ghazal

Bahar A'alam haNsee aaee use Haal-e-pareeshaN par
taRaptaa hooN naz^ar paRtee hai jab chaak-e-GareebaaN par!

bahut khoob.


koee aZrah-e-hamdardee dil-e-a'ashiQ ko samjhaaeY
luTaa jataa hai reh reh kar adaa-e-fitnah samaaN par!

kya kehnay...

rahe gaa yaad teraa takhtah-e-mashQ-e-sitam ham ko
nah bhoole gaa maz^alim tooRnaa be bas musalmaaN par!

bahut accha sher hai....jazakallah

Woh aatish ab ke barsee hai keh khaakistar huwe Ghunche
bayabaaN kaa GumaaN hotaa hai ab SeHn-e-GulistaaN par!

sach kaha aapnay.

mujhe Dar hai nah jhulsaa* de kaheeN naokheZ kalyooN ko
"abhee baQee hai kuch kuch dhoop deewaar-e-GulistaaN par"

behtareen girah hai.bahut khoob

nigaheeN kiyaa kareeN jatee naheeN Haeranagee in kee?
naz^ar jab se paRee meree jamaal-e-ru-e-tabaaN par!

waah

jise ehl-e-Zamanah Qat^rah-e-shabban samajhte haiN
Woh aaNsu hai miraa Tapkaa hai jo khaar-e-bayabaaN par!

kya kehnay

Muz^affar yooN aseer-e-panjah-e-Qaed-e-muHabbat hooN
Qafas meN dam jo GhuTtaa hai to peyaar aataa hai ZindaaN par!

bahut khoob

jhulasna=jalnaa, bhasam ho janaa, khaak ho jana.

Muz^affar A Muz^affar
_________________



Report to moderator 58.68.87.4
aapki is dilkash kaavish per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool kareN :rose :clap01:

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

aapka apna
haamidbaaqari