Ghazal: Raqeeb se miri ulfat ki guftagoo hotee...
Posted: Tue Jun 26, 2007 5:47 pm
'Azeez dosto,
BaRe dinoN ba'd ek ghazal kahne kee furSat milee. Ummeed hai ke aap sabkee pasandeedagee ke laaiq hogee. Pesh-e-khidmat hai ghazal:
Raqeeb se miri ulfat ki guftagoo hotee
raqeeb se miri ulfat ki guftagoo hotee
to soch shehr meN kyaa teri aabroo hotee?
na tere dil meN tamannaa-e-rang-o-boo hotee
na qaid bulbul-e-shaidaa qafas meN too hotee.
jalaa hai khaana-e-dil! khoob hai ke kuchh na rahaa
ke ham bhi jalte agar dil meN aarzoo hotee
rajaa naheeN ke wo beemaar daar ho, lekin,
zaraa si pursish-o-lutf-o-du'aa ki khoo hotee
yeh naa tawaani-e-deedah, yeh zakhm-e-kaari-e-dil!
ke mar hi jaate wo Soorat jo roo bah roo hotee
hai aagahee ko musalsal talaash-e-beshee, Haif!
na chashm waa huee hotee, na justjoo hotee
tujhe guzarte hue dekhtaa shab-e-furqat
miree galee meN agar meHfil-e-'adoo hotee
gilah jo karte, Munawwar, sitam zareef se ham
a'bac hamaari hi ruswaa'i chaar soo hotee
-----------------------------------------------------------------------
Ummeed hai ke aap sab apne khayaalaat kaa izhaar kareNge. MaiN aap sab kee rahbaree kaa muntazir rahuNgaa.
Shukriyah
Munawwar