Page 1 of 1

Ghazal - Aap ka Hukm Sar Aankhon....

Posted: Thu Jun 28, 2007 4:02 pm
by munir-armaan-nasimi
Hi Dost,

Umeed ke mizaaz shagufta honge. Ek 'farmayishi ghazal' pesh-e-khidmat hai. Arbaab-e-fann se appeal hai ke islaah se nawaz kar shukriya ada karne ka mauqa inayat farmayein.

Shukriya!

Aap ka apna,

Munir Armaan Nasimi

Posted: Fri Jun 29, 2007 5:29 am
by muhammad_19k
Janab Muneer Armaan SaHeb,

aik baar phir aap ki Huzoor Haazir hooN. :-)

1. aap ki ghazal ke pehlay do ashaar beHr meN baaqi ke ashaar se mukhtalif haiN. aap ghor karaiN to aap ke Saaf meHsoos ho gaa ke ke pehlay ashaar ke miSray nisbatan chhotay haiN.

2. bhookay bachoN se kahaan sabr o razaa hotay haiN. is miSra meN se ko meN se badalnaa behtar ho ga.

3. teesra aor aakhiri sh'er bohat shaandaar lagay.

Mubarakbaad qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Fri Jun 29, 2007 6:10 am
by sumanshah
Adaaaaaaab munir sahab

achi ghazal kahi ap naaaaaaaaay daaad qabool kijyee

Re: Ghazal - Aap ka Hukm Sar Aankhon....

Posted: Sat Jun 30, 2007 6:14 am
by munir-armaan-nasimi
Bhai... hum to paidayishi Sa'datmand hain...... aur khuloos to hamare andar koot koot ke bhari gayi hai....... sab karam hai aap jaise purr-khuloos doston ka...!!

Ghazal to main ne jaldi jaldi main keh di 28-0602007 ko.... apne USTAAD-e-MOHTARAM ko bhi dikhaane ka mauqa nahin mila.. socha aap log urdubandhan main hain..... to islaah ho hi jaayegi...... aap ko achchi lagi........ shukriya...!!

Ghazal ka teesra sher..... sher nahin ek haqeeqat hai..... aur mujhe bhi wahi sher sab se jiyada pasand hai.

Daad ke hazaaron phool mile.... aur har :rose ke saath ek Kaanta bhi tha..... yani ke hazaar kaante bhi mile... aur mujhe dono pasand hain.

Khuda kare aap aaindah bhi isi tarah meri ghazal ko padhein aur pasand karein.

Armaan

Posted: Sat Jun 30, 2007 6:23 am
by munir-armaan-nasimi
muhammad_19k wrote: Janab Muneer Armaan SaHeb,

aik baar phir aap ki Huzoor Haazir hooN. :-)

1. aap ki ghazal ke pehlay do ashaar beHr meN baaqi ke ashaar se mukhtalif haiN. aap ghor karaiN to aap ke Saaf meHsoos ho gaa ke ke pehlay ashaar ke miSray nisbatan chhotay haiN.

2. bhookay bachoN se kahaan sabr o razaa hotay haiN. is miSra meN se ko meN se badalnaa behtar ho ga.

3. teesra aor aakhiri sh'er bohat shaandaar lagay.

Mubarakbaad qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Mere Mukhlis o Meherban... Khawar Bhai Saheb,

Salam-o-Rehmat!! Khuda ka sukr hai ke aap ki galat-fahmi door hoyi aur aap ne meri ghazal ko padhne ki zahmat kii. Shukriya. Sahi kaha aap ne... Bhookay bachchon main kahaan sabr o razaa hotay hain.... yahi sahi hai... jaldi main... mere se main ki jagah se..... ho gaya tha....... Thankz a lot for correction.

Aur haan, ghazal ke do sher alag Bahr main hain. baqi alag bahr main...... "Meri jaati rai hai ke...... agar main ghazal ke paanch ashaar main se har sher alag alag bahr main likhoon to koi farq nahin padta" magar..... Ustaadon ki aara hai ke... ek hi bahr main mukammal ghazal honi chahiye....... koi baat nahin.. dheere dheere seekh loonga.

Please do read my other articles and correct me as and when it is necessary.

Khuda Hafiz,

Armaan

Posted: Sat Jun 30, 2007 6:32 am
by munir-armaan-nasimi
My Dear Suman Shah Saheb,

Many many Thankz for the Appreciations you showered for my Ghazal. I am obliged. Please read my other posts also and comments.

Rests in next,

Till then... Khuda Hafiz!

Armaan