muhammad_19k wrote: Doctor SaHeb
aik shakhS se us ke baitay ne poochaa ke abbaa jaan jin logoN ke quran e paak ke samajh naheeN aati to woh quran paak paRh kar ya sun kar lutf kaise uthaate haiN. ? us ne kahaa baitaa aap ka sawaal achchha hai laikin is ka jawaab shayed meN abhi aap ko na day paaooN haaN phir kabhi zaroor dooN ga.
oar phir aik din us ne apne baitay se kahaa ke jis tokri meN koilay rakhe huwaay haiN us meN paani laao. baitaa heeran huwaa bolaa. abba jaan us meN to bohat soraakh haiN bhalaa us meN kyaa paani aa-aye ga. woh shakhs bolaa baitaa aap laao to sahi. baitaa bay chaaraa gyaa oar us meN paani laanay ki koshish ki laikin bhalaa sorokhoN ki mojoodgi meN paani kahaa thehrtaa. jub woh baap ke pass pohanchaa to tokri khaali thi. us shakhs ne baite ko do chaar baar phir bhaijaa. baitaa har baar khaali tokri ke saath wahaaN pohanchtaa. kuch dair ke baad baap ne kahaa. baitaa daikhoo, aap ne tokri meN paani laane ki koshish ki laikin tokri meN paani na ther sakaa laikin har baar ki koshish se tokri ki kaalak oar mail kuchail kam hoti gayee hai. aor ab aap ko tokri saaf nazar aa rahi hai. issi taraH bohat se log quran e paak samajh to naheeN saktaa laikin phir issay paRhte rehnay se aor suntay rehne se dil ki kacaafteN door ho jaati haiN.
aap ke bhi kuch ashaar mujhe samajh to naheeN aate laikin acar zaroor karte haiN.
Quran e majeed to khaliq e aala ka kalam hay aur us kay kia kia aijaazat haiN un ka ziker kernay kay liay yeh munh bohat chhoTa hay, albata itna hay keh her shakhs jo khalus e niet say istifaada haSil kerna chahay to kalam Allah maiN her shakhs ki zehni istedaad kay mutabiq bohat kuch mojud hay. yeni wahaN mutlaq jahil kay liay bhi saaman e hidayet o rahet e jaaN hay jabkeh baRay say baRay aalim kay liay bhi hairet kay samunder destiaab haiN.
rehi meri baateN to koshish hoti hay keh ager kuch roshni mujh tek pohanchi hay to ussay aagay pohancha duN, aur Aleem to ussi ki zaat hay.
mojood ghazal ke pehlay 'ashaar issi zimray meN aate haiN.
is ghazal kay pehlay 2 ashaar or aakhri sher aik hi silsilay ki kaRi haiN
yeh teenoN ashaar insaan ka khaliq say mukalima haiN( aur yahaN jawab bhi saathi hi hay)
pehlay sher maiN derkhwast hay husne dua kay saath
dusray maiN derkhwast hay istejaab kay saath istejaab hay
aakhri maiN jawab hay
zera pehlay sher ko yuN dekhiay keh beTa baap say baat ker raha hay
'1. aba insaan ko aala taleem zarur haSil kerni chahihay, aur oxford university maiN bohat achi taleem milti hay'(yeh hua husne dua yeni khwash yeh hay keh oxford university maiN dakhila mil jaey)
2. aba hamaray mulk maiN bhi bohat say achhay taleemi idaray haiN laikin terraqi yafta mumalik maiN in say beRh ker bhi to hasul e taleem kay idaray hoN gay(wohi khwahish laikin istejaab kay saath)'
baap jawab daita hay
3. 'beTa Theek keh rehay ho laikiN abhi pehlay yahaN kay taleemi idaaroN maiN apna taleemi silsila mukamel ker lo phir us kay baad bairun e mulk taleem kay baaray maiN sochna.'
3. bohat khoob sabaq ye seekh in ki daastaaN se------- sabaq seekhaa hai in ki daastaN se kar daikhiaye.
aap ki tajweez bhi achi hay laikin us suret maiN sher say nasihaana reng nikel ker takmeel e zaat ki koshish tek mehdud ho jaey ga.
4. jazak Allah
jazaak Allah
5. tay ki takraar bhali hai ya buri, is par ra-aye to shayed shakhS ba shakhS mukhlif ho gi. mujhe "too tol" ne mutacir naheeN kiyaa.
aap ko 'tol' per aiteraaz hay laikin tol kay baghir khayal hi nahiN rehta
kiunkeh 'baat' bolnay say pehlay toli jaati hay aur ager baat ki teraf koi ishara nah ho to phir sher ka khayal mehz teer kaman tek hi mehdud ho ker reh jaata hay.
6. damaa dam ? kyaa damaa dam mast qalandar waalaa dama dam hai?
''yeh kainaat abhi natamaam hay shaed
keh aa rehi hay dama dem sadaye kun fa yakuN ''(iqbal)
is sher maiN maiN nay allama kay sher kay khayal ko aagay beRhaya hay keh donoN hi teraf nazer rekho. yeni is duniya maiN bhi jo silsilay haiN unhaiN diljamai say nibhatay reho aur jo takhleeqay kainaat kay aala maqasid aur madarij haiN un per bhi nazer rekho.
7.
bohat khoob janab . laikin aap bhi to sh'aoor e laa makaaN ko yaqeeN moHkam qaraar day rahaiN haiN
is ka ziker uper ker chuka huN. yeh insaan ka apni baat ko jhuTlana nahiN hay balkeh yeh us ki baat ka jawaab hay jis maiN inkaar nahiN balkeh sabr ki talqeen hay.
wassalam
Sohail Malik