Page 1 of 1

Bahut khoob

Posted: Sat Feb 12, 2005 5:09 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
S A A R A SaaHibah

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut hii dilkash hei jis ke liye meri daad aur mubaarakbad haazir. Ummeed hei ke aayindah bhii aapki isi taraH kii dilkash takhleeqaat paRhne ke milengi. shukriyah.

Aapka Mukhlis,

Nazir.

Posted: Sat Feb 12, 2005 7:40 pm
by irfan abid
Sara sahiba, aadaab!

bahut dinoN baad aap Ghazal.saraa huiiN! :) achchhii koshish hai. daad qubuul keejiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Re: Ab meri baari hai......meri ghazal paRhiyega :))

Posted: Sun Feb 13, 2005 6:34 am
by Mahtab Qadr
sara_j wrote:Ahl-e-mehfil ki khidmet mein salaam,

aap log mushaira section mein aate hi nahi aur meri ghazal parhte hai nahi tou main ab wahan se yehan bhi post kar rahi hoon aap sab ki araa ki muntazir rahungi :)

Mohatarm Nazir sahib ne misra-e-tarhaa diye the

"dil kis shumaar meiN hei jigar kis Hisaab meiN "

aur us per meri adna si koshish:

GHAZAL:

1. Her saans meri qaid hei ab us gulaab meiN
Wo keh gaye thay rakhkhooN jise maiN kitaab meiN

2. iqraar jab mila mujhe unke jawaab meiN
chupne lagi main sharm se apne hijaab mein

3. takne lage thay pyar bhari nazron se mujhe
kitna haseen chehra thaa us aab-o-taab mein

4. rakhne lagi ye souch ke takiye pe apna sar
vaada voh ker gaye thay ke aayenge khwaab mein

5. Lenaa agar hei aap miri jaan leejiye

6. aise baras raha tha koiee abr-e-mehrbaan
jaise phuaar khushbu ki ahd-e-shabaab mein

7. jisko maiN dhoondti rahi dunyaa meiN koo ba koo
mujhko mila wo mere hi dil ki kitaab mein

8. Saara mili hai tujhko muhabbat naseeb se
us ne jo khud ko likhdiaa tere hisaab mein

Wah waah saara ji aap ki saari ki saari ghazal pasand aai. bahut umda ghazal irshad farmai hai aapne.

Posted: Mon Feb 14, 2005 1:37 am
by Khalish
Sara Sahiba: Aadaab

Buhot umdah ghazal kahi hai aap ne ... meri jaanib se daad qabool kijiay.

Allah kare zoor.e.qalam aur ziyaadah.

Mukhlis

Nazimuddin :Khalish:

Re: Ab meri baari hai......meri ghazal paRhiyega :))

Posted: Mon Feb 14, 2005 3:38 am
by naheedv
sara_j wrote:Ahl-e-mehfil ki khidmet mein salaam,

aap log mushaira section mein aate hi nahi aur meri ghazal parhte hai nahi tou main ab wahan se yehan bhi post kar rahi hoon aap sab ki araa ki muntazir rahungi :)

Mohatarm Nazir sahib ne misra-e-tarhaa diye the

"dil kis shumaar meiN hei jigar kis Hisaab meiN "

aur us per meri adna si koshish:

GHAZAL:

1. Her saans meri qaid hei ab us gulaab meiN
Wo keh gaye thay rakhkhooN jise maiN kitaab meiN

2. iqraar jab mila mujhe unke jawaab meiN
chupne lagi main sharm se apne hijaab mein

3. takne lage thay pyar bhari nazron se mujhe
kitna haseen chehra thaa us aab-o-taab mein

4. rakhne lagi ye souch ke takiye pe apna sar
vaada voh ker gaye thay ke aayenge khwaab mein

5. Lenaa agar hei aap miri jaan leejiye
"dil kis shumaar meiN hei jigar kis Hisaab meiN "

6. aise baras raha tha koiee abr-e-mehrbaan
jaise phuaar khushbu ki ahd-e-shabaab mein

7. jisko maiN dhoondti rahi dunyaa meiN koo ba koo
mujhko mila wo mere hi dil ki kitaab mein

8. Saara mili hai tujhko muhabbat naseeb se
us ne jo khud ko likhdiaa tere hisaab mein
Sara ji,

aap kee ye ghazal pasaNd aa'ee, daad paish karti hooN.

AankheNaap ke haseen graphics kee itnee a'dee ho chukee hieN ke iss baar khaali roman meiN ghazal deikh kar iss kaa raNg pheekaa lagaa :)

aap ki shaa'iree meiN nikhaar aataa jaa rahaa hai, zor e qalam aur zeyaadah!

mukhliS
Naheed