Page 1 of 1

"hukoomat nafsay ammaara kee" tarhi kalaam aapkay

Posted: Wed Jul 11, 2007 4:03 pm
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto :rose

bahut dinoN baad hum yahaaN haazir huay haiN hamaari aik adna kaavish lekar

gar qubool uftad zahay.........

arz kiya hai..........


hukoomat nafsay ammaara ki hai inkay dilo jaaN per
mazaalim dhaa rahay haiN isliye insaan insaaN per

nahiN houta hai ghaflat meiN yeh zaalim nafsay ammaara
musalsal karta rehta hai yeh hamlay naik insaaN per

yahi woh jaani dushman hai jau behkaata hai insaaN kau
keh is say ladtay rehna farz hai har ek musalmaaN per

karenge gar jehaaday akbari insaan nafsoN say
farishtay bhi karenge naaz insaanoN kay eemaaN per

khuloosay dil say jab insaaN khudaa ka naam letay haiN
ek haibat hauti hai taari yaqeenan faujay shaitaaN per

kahaa ummeed nay haamid kabhie maayoos mat hauna
"abhi baaqi hai kuch kuch dhoop deewaaray gulistaaN per"

NAFSAY AMMAARA=THE CARNAL SELF
JEHAADAY AKBARY=THE GREATEST STRUGGLE


nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah

Re: "hukoomat nafsay ammaara kee" tarhi kalaam aap

Posted: Wed Jul 11, 2007 5:07 pm
by muhammad_19k
haamidbaaqri wrote:Assalaam o alaikum
dosto :rose

bahut dinoN baad hum yahaaN haazir huay haiN hamaari aik adna kaavish lekar

gar qubool uftad zahay.........

arz kiya hai..........

nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah[/color][/size]
mohtaram janab HAMID BAAQRI SaHeb

aik baar phir aap ke makhSooS rang meN ghazal maire saamne hai. naiki ke paighaam aor bhalaai ki da'wat meN bohat se deegar aham unaaSir ke saath aik juzv mustaqil mizaaji bhi hai. Jab jab aap ki ghazal se nazar se guzarti hai, dil o rooH khush ho jaate haiN ke shaairi kuch aisaa waqt ka ziyaa bhi naheeN :-).

Allah rab ul izzat se aap par reHm o karam ke leeaye dua goa hooN.

ab agar aap ijaazat deN to fardan fardan ashaar bhi daikh loooN.


hukoomat nafsay ammaara ki hai inkay dilo jaaN per
mazaalim dhaa rahay haiN isliye insaan insaaN per
waah bohat khoob. kyaa mazmoon baandhaa hai.
nahiN houta hai ghaflat meiN yeh zaalim nafsay ammaara
musalsal karta rehta hai yeh hamlay naik insaaN per
waah waah! kyaa baat hai janab. ham khud jo ghaflat meN haiN to ye nafs zaalim kab ghaflat meN ho gaa.
yahi woh jaani dushman hai jau behkaata hai insaaN kau
keh is say ladtay rehna farz hai har ek musalmaaN per
waah. bohat khoob janab. mafhooM ka andaaza ho rahaa oar buniaadi khyaal bhi bilkul clear hai. pehlay miSra meN jaani dushman ka lafz bohat numaaya hail laikin meN ye samajhne se qaSir hooN ke ye tarkeeb kis wajaa se istemaal ki gayee. doosre misRa meN aek yaqeenun typo hai. ik karnaa ho ga.
karenge gar jehaaday akbari insaan nafsoN say
farishtay bhi karenge naaz insaanoN kay eemaaN per
bohat khoob!
khuloosay dil say jab insaaN khudaa ka naam letay haiN
ek haibat hauti hai taari yaqeenan faujay shaitaaN per
bohat khoob! aap shayed bay khaali meN miSra lafz ek se shroo kar geN haiN. yaqeenun toa ya aor koi chhoti aawaaz waalaa lafz lagaana ho gaa aap ne.
kahaa ummeed nay haamid kabhie maayoos mat hauna
"abhi baaqi hai kuch kuch dhoop deewaaray gulistaaN per"
ahaa haa. bohat khoob. aisi khoobSorat tazmeen oar phir us ko maqtaa banaanaa. waah waah. bohat zabardat!

NAFSAY AMMAARA=THE CARNAL SELF
JEHAADAY AKBARY=THE GREATEST STRUGGLE
Jahaad akbari ki iStalaaH qaabil e ghor hai. mairay khyaal meN Hajj e Akbar se Akbari Hajj oar Jahad e Akbar se Akbari Jehaad banaana aghlaat ul 'aam meN se hai.

bohat Zydaa Had e adab!

mu'addab,
Muhammad K. Siddiqui.

Re: "hukoomat nafsay ammaara kee" tarhi kalaam aap

Posted: Sat Jul 14, 2007 5:54 am
by haamidbaaqri
muhammad_19k wrote:
haamidbaaqri wrote:Assalaam o alaikum
dosto :rose

bahut dinoN baad hum yahaaN haazir huay haiN hamaari aik adna kaavish lekar

gar qubool uftad zahay.........

arz kiya hai..........

nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah[/color][/size]
mohtaram janab HAMID BAAQRI SaHeb
Assalaam o alaikum
mohammed khawar saahib


aik baar phir aap ke makhSooS rang meN ghazal maire saamne hai. naiki ke paighaam aor bhalaai ki da'wat meN bohat se deegar aham unaaSir ke saath aik juzv mustaqil mizaaji bhi hai. Jab jab aap ki ghazal se nazar se guzarti hai, dil o rooH khush ho jaate haiN ke shaairi kuch aisaa waqt ka ziyaa bhi naheeN :-).

al hamdulillah.......jazakallah.

Allah rab ul izzat se aap par reHm o karam ke leeaye dua goa hooN.

ameen ya rabbul aalameen.allah(sbhnwt)aap per bhi apni rehmatoN ki baarish karay.aameen

ab agar aap ijaazat deN to fardan fardan ashaar bhi daikh loooN.

zahay naseeb.......zaroor..................


hukoomat nafsay ammaara ki hai inkay dilo jaaN per
mazaalim dhaa rahay haiN isliye insaan insaaN per
waah bohat khoob. kyaa mazmoon baandhaa hai.

bahut bahut shukriya.........
nahiN houta hai ghaflat meiN yeh zaalim nafsay ammaara
musalsal karta rehta hai yeh hamlay naik insaaN per
waah waah! kyaa baat hai janab. ham khud jo ghaflat meN haiN to ye nafs zaalim kab ghaflat meN ho gaa.

shukriya....
yahi woh jaani dushman hai jau behkaata hai insaaN kau
keh is say ladtay rehna farz hai har ek musalmaaN per
waah. bohat khoob janab. mafhooM ka andaaza ho rahaa oar buniaadi khyaal bhi bilkul clear hai. pehlay miSra meN jaani dushman ka lafz bohat numaaya hail laikin meN ye samajhne se qaSir hooN ke ye tarkeeb kis wajaa se istemaal ki gayee.

qur'aano hadeec(sawaw) kay mutaabiq nafsay ammaara insaan ka khooni(jaani) dushman hai(bloodiest enemy).issay musalsal jehaad kartay rahna har musalmaan ka farz hai.yehi jehaaday akbar hai.


doosre misRa meN aek yaqeenun typo hai. ik karnaa ho ga.

jee....hum .....aik....aur .......ek...... likhtay haiN waisay aap sahi keh rahay haiN ik bhi likkha jaasakta hai.
karenge gar jehaaday akbari insaan nafsoN say
farishtay bhi karenge naaz insaanoN kay eemaaN per
bohat khoob!

shukriya...
khuloosay dil say jab insaaN khudaa ka naam letay haiN
ek haibat hauti hai taari yaqeenan faujay shaitaaN per
bohat khoob!

shukriya....


aap shayed bay khaali meN miSra lafz ek se shroo kar geN haiN. yaqeenun toa ya aor koi chhoti aawaaz waalaa lafz lagaana ho gaa aap ne.

jee...nahiN woh lafz "ek'" hi hai.
kahaa ummeed nay haamid kabhie maayoos mat hauna
"abhi baaqi hai kuch kuch dhoop deewaaray gulistaaN per"
ahaa haa. bohat khoob. aisi khoobSorat tazmeen oar phir us ko maqtaa banaanaa. waah waah. bohat zabardat!

bahut bahut shukriya aapka.
NAFSAY AMMAARA=THE CARNAL SELF
JEHAADAY AKBARY=THE GREATEST STRUGGLE
Jahaad akbari ki iStalaaH qaabil e ghor hai. mairay khyaal meN Hajj e Akbar se Akbari Hajj oar Jahad e Akbar se Akbari Jehaad banaana aghlaat ul 'aam meN se hai.

is baat per bazm kay ustad shuraa hi kuch roshni daalsaktay haiN.hum apni kahi huee baat phir dohraatay haiN keh hum tiflay maktab haiN.bohat Zydaa Had e adab!

mu'addab,
Muhammad K. Siddiqui.
AAPKAY BESHQEEMTI TABCERAY KAYLIYE HUM AAPKAY BEHAD MAMNOONO MASHKOOR HAIn.

jazakallah
mukhlis
haamidbaaqari