Page 1 of 1

guzaarish #30 aapkay hawaalay

Posted: Sat Jul 14, 2007 7:25 am
by haamidbaaqri
:salaam2:
dosto

sadray mushaaira mohtaram abdullah nazir saahib ki ijaazat say maahay rawaaN micray per hum apni yeh adna kaavish pesh karnay jaarahay haiN.

gar qubool uftad zahay........

arz kiya hai....

khuda kehta hai yeh ahlay jahaaN say
mohabbat tum karo baaghay jinaaN say

bahaareN hai abad baaghay jinaaN ki
nahiN hai waastah iska khizaaN say

jhalak gar dekh laugay aik iski
isay chaahogay badhkar apni jaaN say

magar tumko yaqeeN isper nahiN hai
tumhaara dil hai pur wahmo gumaaN say

bataao keh kabhie saucha hai tumnay
milee yeh zindagee tumko kahaaN say

agar hum rehm tum per jau nah karte
mitaa detay tumheN hum dau jahaaN say

tumheN hum aazmaayenge har ik pal
jahaaN kay zaahiree soodo ziyaaN say

yeh kehna rauzaye ahmed(sawaw) peh jaakar
"uthaygaa sar nah tere aastaaN say"

agar haamid tumheN paana hai jannat
musalmaaN bankay aao is jahaaN say

nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah

BAAGHAY JINAAN=JANNAT

Posted: Sat Jul 14, 2007 7:13 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Haamid Baaqri SaaHib Assalam Alikum! :rose

kaese miZaaj haiN. maiN kheriyat se hooN. aor aap kee SeHat ke liye dua'aa gao hooN.

GuZarish#30 ke liye aap kee nigaarish hadiyah-e-qaraheen hoee. mashAllah taqwiyat-e-eemanee kee maojab banee. alfaaz^ kaa intekhaab aor Zaor-e-bayaaN apnee micaal aap hai. aap kee yeh eemaan afrooz takhleeq qaabil-e-daad hai. khuda wand aap ko is kaa ajr-e-a'z^eem a't^aa farmae. aor aap ko rooHanee laZZatooN aor lat^afatooN se hamkinaar rakhe! Aameen!

khuda kehta hai yeh ahlay jahaaN say
mohabbat tum karo baaghay jinaaN say

bahaareN hai abad baaghay jinaaN ki
nahiN hai waastah iska khizaaN say

jhalak gar dekh laugay aik iski
isay chaahogay badhkar apni jaaN say

magar tumko yaqeeN isper nahiN hai
tumhaara dil hai pur wahmo gumaaN say

bataao keh kabhie saucha hai tumnay
milee yeh zindagee tumko kahaaN say

agar hum rehm tum per jau nah karte
mitaa detay tumheN hum dau jahaaN say

tumheN hum aazmaayenge har ik pal
jahaaN kay zaahiree soodo ziyaaN say

yeh kehna rauzaye ahmed(sawaw) peh jaakar
"uthaygaa sar nah tere aastaaN say"

agar haamid tumheN paana hai jannat
musalmaaN bankay aao is jahaaN say

Is GiraaN qadr takhleeq ke liye meree adnaa see daad qubool keejiye! :clap01:

Wassakam
Muzaffar A Muzaffar

shukriya

Posted: Tue Jul 17, 2007 7:15 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Haamid Baaqri SaaHib Assalam Alikum! :rose
:walikum:
muzaffar bhai saahib

kaese miZaaj haiN.

al hamdullah.hum khairiyat say haiN.

maiN kheriyat se hooN.

badee khushee huee hameN.allah(sbhnwt)aapko salaamat rakkhe.aameen.


aor aap kee SeHat ke liye dua'aa gao hooN.

shukriya.jazakallah.

GuZarish#30 ke liye aap kee nigaarish hadiyah-e-qaraheen hoee. mashAllah taqwiyat-e-eemanee kee maojab banee.

al hamdulillah.


alfaaz^ kaa intekhaab aor Zaor-e-bayaaN apnee micaal aap hai.

shukriya....al hamdulillah

aap kee yeh eemaan afrooz takhleeq qaabil-e-daad hai.

bahut bahut shukriya aapka.

khuda wand aap ko is kaa ajr-e-a'z^eem a't^aa farmae. aor aap ko rooHanee laZZatooN aor lat^afatooN se hamkinaar rakhe! Aameen!

aameen ya rabbul aalameen.....jazakallah

khuda kehta hai yeh ahlay jahaaN say
mohabbat tum karo baaghay jinaaN say

bahaareN hai abad baaghay jinaaN ki
nahiN hai waastah iska khizaaN say

jhalak gar dekh laugay aik iski
isay chaahogay badhkar apni jaaN say

magar tumko yaqeeN isper nahiN hai
tumhaara dil hai pur wahmo gumaaN say

bataao keh kabhie saucha hai tumnay
milee yeh zindagee tumko kahaaN say

agar hum rehm tum per jau nah karte
mitaa detay tumheN hum dau jahaaN say

tumheN hum aazmaayenge har ik pal
jahaaN kay zaahiree soodo ziyaaN say

yeh kehna rauzaye ahmed(sawaw) peh jaakar
"uthaygaa sar nah tere aastaaN say"

agar haamid tumheN paana hai jannat
musalmaaN bankay aao is jahaaN say

Is GiraaN qadr takhleeq ke liye meree adnaa see daad qubool keejiye! :clap01:

aapki taaliyoN ki goonj hameN yahaaN tak sunaayee day rahee hai.

bahut bahut shukriya aapki mukhlisaanah daad aur duaaoN kayliye.,

allah(sbhnwt)aap per apni rehmatoN ki baarish karay.aameen.


Wassakam
Muzaffar A Muzaffar
aapka apna
haamidbaaqari

Posted: Tue Jul 24, 2007 7:05 pm
by muhammad_19k
bahaareN hai abad baaghay jinaaN ki
nahiN hai waastah iska khizaaN say


naheeN hai waatah hai iskaa khizaaN se. waah. kiaa baat hai. is taraH ke mafhoom meN aisaa shaandaar miSraa. bohat khoob janab. bohat khoob. is tarah kaa koi miSraa soch samajh kar naheeN likhaa ja saktaa balke laa shaoor se uchhchaa kar zubaan par aataa hai. aor laa shaaoor meN jo kuch bhi hotaa hai. woh hamaari zaat ke gehrai ko zaahir kartaa hai. aap ki shaairy se aap ki shakhSiat ka khoob andaazaa hotaa hai.

Allah aap ko khush o khurram rakhay. kuch aor ashaar par phir baat ho gi. inshallah.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

shukriya

Posted: Tue Aug 07, 2007 9:01 am
by haamidbaaqri
:salaam2:
MOHTARAM MOHAMMED KHAWAR SAAHIB

muhammad_19k wrote:bahaareN hai abad baaghay jinaaN ki
nahiN hai waastah iska khizaaN say


naheeN hai waatah hai iskaa khizaaN se. waah. kiaa baat hai. is taraH ke mafhoom meN aisaa shaandaar miSraa. bohat khoob janab. bohat khoob.

bahut bahut shukriya janaab.

is tarah kaa koi miSraa soch samajh kar naheeN likhaa ja saktaa balke laa shaoor se uchhchaa kar zubaan par aataa hai.

jee....aapnay sahi farmaaya.


aor laa shaaoor meN jo kuch bhi hotaa hai. woh hamaari zaat ke gehrai ko zaahir kartaa hai.

is meiN koyee shak nahiN hai.

aap ki shaairy se aap ki shakhSiat ka khoob andaazaa hotaa hai.

jee...shukriya............al hamdulillah

Allah aap ko khush o khurram rakhay.

allah(sbhnwt)aapko bhi salaamat rakkhe.aameen.

kuch aor ashaar par phir baat ho gi. inshallah.

jee.jaisa aap chaaheN.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
MUKHLIS
HAAMIDBAAQARI