Page 1 of 1

Ghazal: tum to nahiiN ho

Posted: Wed Jul 18, 2007 1:26 pm
by Mayank
Urdubandhan ke ke sabhii dostoN ko mera salaam.. Dr. Bashidr Badr jee kee zameen par likhi huii ek taazhi Ghazal pesh karta huuN.... ummeed hai ehbaab-e-sukhan apni aara se nawaaZeNge... Shukriyah! beHr.e.hazaj, musamman, aKhrab, makfoof, meHzoof

************************************************************

'Ghaafil' ke muHabbat kii sadaa tum to nahiiN ho!
har dard-o-aziiyat kii davaa tum to nahiiN ho!

ess hizr ke mausam kii sabaa tum to nahiiN ho
duniya kii tarah mujh se Khafa tum to nahiiN ho!

maana hai jise dil ne Khudaa tum to nahiiN ho!
eemaan karam ishq wafaa tum to nahiiN ho!

madhoshi muHabaat kii jo chaayee to yeh socha,
jo mae'y meiN chhupaa hai vo naSha tum to nahiiN ho?

jab jaatii ho baaGhoN meiN to khil jaatii haiN kaliyaaN
KhuShbuu ke mahekne kii adaa tum to nahiiN ho?

kyuN sajde kiya karte haiN sab dar pe Khuda ke
armaaN-o- tamanna -e- duaa tum to nahiiN ho?

dastak de ke khwaaboN meiN kiya jag se hee:Ghaafil:
eKhlaas muHabbat ka naSha tum to nahiiN ho!


-Mayank(Ghaafil)

Posted: Thu Jul 19, 2007 5:44 am
by muhammad_19k
Mayank ji,

mashalllaH aap ki ghazal bohat achhchhi hai. men ne bashir badar SaHeb ki ye ghazal to naheeN paRhi laikin mazmoon daikh kar mujhe aisaa lagtaa hai "tum to naheeN ho" ko sawaaliya nishaan par khatam honaa chahiaye yani jaise, jo mai,y meN chhupaa hai vo nashaa tum to naheeN ho?

mujhe ye waalaa sher sub se zydaa pasand aayaa,

maana hai jise dil ne Khudaa tum to nahiiN ho!
eemaan karam ishq wafaa tum to nahiiN ho!


Doosre sher ke doosra miSra vazn se khaarij m'aaloom hotaa hai daikh leejiaye.

aik baar phir daad qubool kijiaye,

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Mon Aug 20, 2007 3:53 pm
by munir-armaan-nasimi
KYA BAAT HAI MAYANK "GHAAFIL" JI....

Aap "Ghaafil" nahin... urdu zaban-o-adab se achchi tarah waaqif nazar aate hain phir bhi inksaari yeh ke khud ko shair nahin kehte.... wah bhai wah.... kya ghazal kahi aap ne.... Ghazal Maqtaa se shuru kiya aur Maqtaa pe khatam... achcha laga ke aapne itni pyari ghazal share ki aur mujhe dukh hai iss baat ka ke main ne bahut der ki iss ko notice karne main.

Khata gunaah maaf hum deewaanon ka !!

aap ka apna,

Armaan