Page 1 of 1
"kaandhoN pe laaye ghar say"taza tarhi ghazal apka
Posted: Thu Jul 19, 2007 8:42 am
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto
taza tarhi ghazal peshay khidmat hai
gar qubool uftad zahay ...........
arz kiya hai
laug yeh qabr meiN kehtay huay aaye ghar say
apnay ghar hum haiN chalay aaye paraaye ghar say
hum samajhtay thay keh daulat hai hamaari lekin
uska ik hissah bhi hum laa nahiN paaye ghar say
badee mehnat say kamaayee thee woh daulat humnay
muft meiN dekay kisee aur kau aaye ghar say
jau kahaa kartay thay hum saath nahiN chaureNge
wohi dafnaanay hameN kaandhoN pe laaye ghar say
ik mufakkir nay jau daali hai nazar duniya per
"kabhie sehra kabhie darya nazar aaye ghar say"
qaulay ahmed(sawaw) yeh zamaanay kau sunaado haamid
sirf eemaano amal saath meiN jaaye ghar say
nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah
Posted: Fri Jul 20, 2007 10:03 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Haamid Baaqri SaaHib Assalam Alikum!
salamat baashad!
munfarid aor eemaanafrooz kalam aaj ke daor meN a'nqaa howaa jataa hai. aaj kee Ghazal bhee mua'asharatee aor samaajee masaai'l ke iz^haar kee bheenT chaRhtee dikhaaee detee hai. naz^m kaa bhee woh pehle saa mea'aar nah rahaa. inshapardazooN ne apnee meelan-e-t^abia'at kaa rukh aazaad-o-nacaree naz^m kee janib maooR diyaa hai. aese meN aap kee rashHaat-e-qalam tabarruk kaa darajah rakhtee haiN. Z^arurat hai keh is Ganj-e-lafz^-o-moa'anee ko qadr kee nigah se dekhaa jae. aor har fard apnaa apnaa tazkiyah-e-nafs karne kaa ehtemaam gar ho jae.
meree tamaam arakeen-e-meHfil-e-Urdubandhan se iltemaas hai keh woh aap ko bhar poor andaaz meN in kaawishooN par kheraaj-e-teHseen pesh kar ke aap kaa jaae'ij Haq aap ko deeN.
laug yeh qabr meiN kehtay huay aaye ghar say
apnay ghar hum haiN chalay aaye paraaye ghar say
maashAhha!
hum samajhtay thay keh daulat hai hamaari lekin
uska ik hissah bhi hum laa nahiN paaye ghar say
mashAllah!
badee mehnat say kamaayee thee woh daulat humnay
muft meiN dekay kisee aur kau aaye ghar say
mashallah!
jau kahaa kartay thay hum saath nahiN chaureNge
wohi dafnaanay hameN kaandhoN pe laaye ghar say
mashAllah!
ik mufakkir nay jau daali hai nazar duniya per
"kabhie sehra kabhie darya nazar aaye ghar say"
mashAllah
qaulay ahmed(sawaw) yeh zamaanay kau sunaado haamid
sirf eemaano amal saath meiN jaaye ghar say
mashAllah!
meree janib se is eeman afrooz aor rooHparwar kalam par dil kee gehraiyooN se mubarak baad aor daad qubool keejiye.
Allah aap kee taHareer-o-taqareer meN barakat Daal de aor zamanah ke dilooN se kadurat kaa gard-e-kohnah door farma kar eemaan ka daae'mee noor bhar de. Aameen!
Wassalam
mukhliS
Muzaffar A Muzaffar
shukriya
Posted: Sat Jul 21, 2007 9:29 am
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
moHtaram Biradaram Haamid Baaqri SaaHib Assalam Alikum!
muzaffar bhai saahib
salamat baashad!
munfarid aor eemaanafrooz kalam aaj ke daor meN a'nqaa howaa jataa hai. aaj kee Ghazal bhee mua'asharatee aor samaajee masaai'l ke iz^haar kee bheenT chaRhtee dikhaaee detee hai. naz^m kaa bhee woh pehle saa mea'aar nah rahaa. inshapardazooN ne apnee meelan-e-t^abia'at kaa rukh aazaad-o-nacaree naz^m kee janib maooR diyaa hai. aese meN aap kee rashHaat-e-qalam tabarruk kaa darajah rakhtee haiN.
al hamdulillah....
Z^arurat hai keh is Ganj-e-lafz^-o-moa'anee ko qadr kee nigah se dekhaa jae. aor har fard apnaa apnaa tazkiyah-e-nafs karne kaa ehtemaam gar ho jae.
Allah(sbhnwt)karay keh aisa haujaaye.
meree tamaam arakeen-e-meHfil-e-Urdubandhan se iltemaas hai keh woh aap ko bhar poor andaaz meN in kaawishooN par kheraaj-e-teHseen pesh kar ke aap kaa jaae'ij Haq aap ko deeN.
aapkay jazbaat ki hum qadr kartay haiN.JAZKALLAH
laug yeh qabr meiN kehtay huay aaye ghar say
apnay ghar hum haiN chalay aaye paraaye ghar say
maashAhha!
shukriya
hum samajhtay thay keh daulat hai hamaari lekin
uska ik hissah bhi hum laa nahiN paaye ghar say
mashAllah!
shukriya
badee mehnat say kamaayee thee woh daulat humnay
muft meiN dekay kisee aur kau aaye ghar say
mashallah!
shukriya
jau kahaa kartay thay hum saath nahiN chaureNge
wohi dafnaanay hameN kaandhoN pe laaye ghar say
mashAllah!
shukriya
ik mufakkir nay jau daali hai nazar duniya per
"kabhie sehra kabhie darya nazar aaye ghar say"
mashAllah
shukriya
qaulay ahmed(sawaw) yeh zamaanay kau sunaado haamid
sirf eemaano amal saath meiN jaaye ghar say
mashAllah!
shukriya
shukriya.....al hamdulillah
meree janib se is eeman afrooz aor rooHparwar kalam par dil kee gehraiyooN se mubarak baad aor daad qubool keejiye.
bahut bahut shukriya aapki purkhloos daad aur mubaarakbaad ka.jazakallah.
Allah aap kee taHareer-o-taqareer meN barakat Daal de aor zamanah ke dilooN se kadurat kaa gard-e-kohnah door farma kar eemaan ka daae'mee noor bhar de. Aameen!
aameen ya rabbul aalameen
Wassalam
mukhliS
Muzaffar A Muzaffar
aapka apna
haamidbaaqari