Page 1 of 1
Kalaam e Nazir se intekhaab!
Posted: Fri Jul 20, 2007 1:37 pm
by muhammad_19k
'azeezan!
kyaa meN aap se darkhaast kar saktaa hooN ke ustaad e mohtaram janab Abdullah Nazir SaHeb ke voh ash'aar yahaaN par likheN jo aap ko beHad pasand aa-eN hoN?
shukrguzaar,
Muhammad K. Siddiqui.
Posted: Fri Jul 20, 2007 1:38 pm
by muhammad_19k
ye keh ke us ne mirii zindagii badal Daalii.
ke rasm o raah e moHabbat meN 'atedaal naheeN
Posted: Fri Jul 20, 2007 1:51 pm
by muhammad_19k
NaheeN thi jurrat e izhaar e Haal e dil mujh ko
junoon e shauq meN bay saakhtaa pukraar uthaa
Posted: Tue Jul 24, 2007 5:30 am
by muhammad_19k
baaz aa-aye gi na gardish e doraaN bhi chhaiR se
:Nazir: bhi hai uSool par apne Dataa huwaa.
Posted: Thu Aug 09, 2007 7:27 pm
by muhammad_19k
Chupaake rakhle miraa Haal-e-zaar aankhaoN meiN
Nah Doob jaauN kahiN ashkbaar aankhaoN meiN
Posted: Fri Nov 02, 2007 1:43 pm
by sbashwar
khuda tujhko hamesha dey zyada se zyada de
zaruratmand ko dene se daulat kam nahiN hoti
Posted: Mon Dec 03, 2007 3:35 pm
by sbashwar
Moghni ke labouN ko see diya tha kiske jadoo ne
Zamana dekhta hi rahgaya sa'el ki bechaini
Abdullah Nazir
Re: Kalaam e Nazir se intekhaab!
Posted: Sat Jan 08, 2011 12:32 pm
by sbashwar
کر نہ قصدِ خودکشی تو مجھ سے بےمایہ کو دیکھ
گُم سا بیٹھا ہوں کنارِ آبجو کس کے لیے
عبداللہ ناظر
Link:
http://www.abdullahnazir.com/index.php? ... b&Itemid=2