Page 1 of 1

Re: "UThe gaa sar nah tere aastaaN se"...... S. J.

Posted: Sun Jul 22, 2007 4:50 am
by Sohail Malik
Saara ji aik khubsuret ghazal per daad qabul kijiay

aap kay derj zail ashaar khasusen pasand aye

4. ruKh-e gul per yeh shubnam jaise moti
zameeN per aagaye taare kahaaN se

5. naseem-e-subH aur koyal ke naghme
ke jaise kaif barse aasmaaN se

khush rehihay

wassalam

sohail malik

Re: "UThe gaa sar nah tere aastaaN se"...... S. J.

Posted: Sun Jul 22, 2007 6:26 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:mohtaram muzaffar sahib aur Ahl-e-bazm,

Adaab arz hei.

diye gaye misre per aek koshish aapki basaaratouN ki nazar.



1. kaha chauKhat pe sar rakh kar zubaaN se
"UThe gaa sar nah tere aastaaN se"

2. chaman ko Khoon.e dil se kyuuN nah seechooN
muhabbat ho gayee hai gulistaaN se

3. bahil jaye mulaaqaatoN se yeh dil
mile kuch tou hujoom-e-dostaaN se

4. ruKh-e gul per yeh shubnam jaise moti
zameeN per aagaye taare kahaaN se

5. naseem-e-subH aur koyal ke naghme
ke jaise kaif barse aasmaaN se

6. sukooN milta nahiN duniya meN :Sara:
bohat bezaar hai dil iss jahaN se


niyazmand

sara.
Asslaam o alaikum
azeezah sara saahebah

bahut khoobsoorat ghazal kahi hai aapnay

maqta bahut pasand aaya.

dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN aapki is dilkahs kaavish per : :rose :clap01:

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

aapka bhai
haamidbaaqari

Posted: Sun Jul 22, 2007 4:51 pm
by muhammad_19k
Salam Sara,

chaliaye shukr hai k aap ki bhi koi ghazal nazar to aa- ii. pehlaa sher to mujhe samajh naheeN aayaa. haaN baaqi ashaar achchaay haiN. un meN se bhi number 4 zydaa pasand aayaa. daad qubool kijiaye.

aap doosre shuaraa ki ghazaloN ka sjaa saNwaar kar paish karti hai oar apni ghazal aisi saada? leejiaye aap ke HiSSay ka ye kaam meN kar diataa hooN.

mukhiS,
Muhmmad K. Siddiqui

Posted: Sun Jul 22, 2007 7:58 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Khawar SaaHib aadaab!

Saara SaaHibah kee Ghazal ke dusre she'er ke miSra'-e-ulaa meN lafz^ :seeNchooN: hai. jise aap ne seeNche: likhaa hai. dekh leejiye gaa! shukriyah

Wassalam
Muzaffar

Posted: Mon Jul 23, 2007 9:42 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah Saara JabeeN SaaHibah aadaab!

Mahanah mushae'irah ke liye aap ke asha'aar dekhne kee taofeeq milee. Zabaan-o-bayaan kee Safaee ko khaat^ir nasheeN rakhte huwe sehel-e-mumtinah meN iz^haar-e-kheyaal kee raheeN nikaalnaa sehel naheeN hotaa. aor khuSuSa" t^arHee GhazlooN meN jabkeh meelaan-e-t^aba' ko yaksar t^arH kee janib moRaa jaeY. aor t^abia'at par Z^aor de kar she'er kehna paReeN. aese meN she'er gaoee nah Sirf hunar aazmaa balkeh thakaa dene walaa a'mal ban jaatee hai. lekin aap ne tamaam mushkilaat ko baRee aasanee se u'boor kiyaa hai. aor nateejata" aek khubSurat takhleeq pesh kee hai. jis meN sooz, ranj, dard, naGhmagee, iZ^t^araab, aor faSaHat GharZ^ sabhee kuch shaamil hai.

1. kaha chauKhat pe sar rakh kar zubaaN se
"UThe gaa sar nah tere aastaaN se"

Waah!

2. chaman ko Khoon.e dil se kyuuN nah seechooN
muhabbat ho gayee hai gulistaaN se

Bohot khoob! Waah! Waah!

3. bahil jaye mulaaqaatoN se yeh dil
mile kuch tou hujoom-e-dostaaN se

Waah! Waah!

4. ruKh-e gul per yeh shubnam jaise moti
zameeN per aagaye taare kahaaN se

Waah!

5. naseem-e-subH aur koyal ke naghme
ke jaise kaif barse aasmaaN se

Waah!

6. sukooN milta nahiN duniya meN :Sara:
bohat bezaar hai dil iss jahaN se

Bohot khoob!

Is khubSurat kalam par meree dilee daad aor mubarak baad qubool kejiye!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar